Total Pageviews

Friday, July 28, 2023

Muharram ki Majalis Huzur Sayyedul Ulma ne Mumbai me Shuru ki | Marehra Sharif


Muharram ki Majlis 
Sayyedul Ulma Hazrat Maulana Syed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Aleyhir Rehma ne Mumbai me Shuru kiya 
1956 me All India Sunni Jamiyatul Ulma ka Qayam kiya aap ne aur Mumbai me Dongri , bhindi bazar area me Shia logo ka Bahut zor tha 
Woh log Matam kartay thae.
Julus nikaal Tay Imam bade me majlis e munaqid kartay the.
Huzur Sayyedul Ulma ne 
Mumbai walo ko Muharram ki Mehfil o Majlis ka Ahtamam shuru kiya ...
Aur UP se ulma ko khat dekar bulatay thae aur Galli Galli muhallah Muhallah Niyaz husein Committee Qayam ki
Ulma ke liye Nazrane ka intazam Farmatay 
Agar kisi ko jagah na milti apnay Jeb e khaas se usko aanay jane ka kiraya dete .
Aaj unhi ka sadqa hai jo Har Galli me Muharram ke waaz ho rahe hai.
Aksar logo ko Balki ulma ko bhi pata nahi ki yeh Baharen kiski den hai.
Hume Apnay Mohsin Apnay Qaid Apnay rehbar apnay peshwa ko Hamesha yaad rakhna chahiye.
Hazrat Sayyedul Ulma ki Dawat par Jo ulma aatay thae 
Hazrat Mushtaq Ahmed nizami sb Hazrat Sultan ul waizeen mujahid e millat Hazrat Sher be shay Ahley Sunnat Hazrat Mohaddis e Azam e hind Hazrat Mufti e Azam. ( Allah Sab ki Qabro par Rehmato o Noor ki barish farmaye)
12 Muharram ko Shaheed e Azam conference ki bhi Buniyad Huzur Sayyedul Ulma ne daali .. Sab ulma jin ko bulatay phir Shaheed e Azam conference hoti aur usme Saal bhar kaam karne ka agenda bataya jata tha.
Siyasi samjhi karardad manzoor hua karti thi.
Khuda ki Rehmaten ho Ay Ameer e karwa tum par.
Aaj bhi riwayaten Mumbai yeh Majalis Qayam hai ab tho la Tadad majlis e ho rahi hai
Sab ka sawab Huzur Sayyedul Ulma ko jayega in sha Allah.

Allah Paak un ulma e Ahley Sunnat ko Salamat rakhkhey jo Muharram Sharif me dil o jaan lagakar Karbala aur Ahley Bait ki shaan o fazilat bayaan kartay hai.

Mazmoon: Moinuddin Barkati
10 Muharram 1445 Hijri

Saturday, July 22, 2023

Muharram 2023 Topics of Bayaan |Moinuddin Barkati|

Muharram Bayan 
1445 Hijri July 2023
Venue : Jama masjid Chandi wali Powai - Sakinka .
Speaker : Khateeb e Ahley Sunnat Khalifa e Waqare Millat Hazrat 
MOINUDDIN SIDDIQUI BARKATI Sb. 
MSDI Mumbai.

20-7-23.  Maahe Muharram kyu ?? Tauheed Aur Risalat 

21-7-2023 
Rasool e Hashmi ki Seerat 

22-7-2023 
Hazrat Siddiq e Akbar aur muhabbat e Rasool

23-7-2023 
Hazrat Umar aur Hazrat e Usman ki Zindagi

24-7-2023
Hazrat Maula Ali Fatah e khaybar life History

25-7-2023 
Fazail e Ahley Bait 
Sayyeda Bibi Fatima Khawteen ke liye  Role Model

26-7-2023
Hasnain  ka Bachpan aur Shahdat e Imam Hasan
 
27-7-2023 
Hazrat Imam Husein Ka Safar Madine se Makkah Aur karbala tak Hazrat Imam e Muslim ki Shadat 

28-7-2023
Karbala ki ibtada aur Maidan e Karbala ka khooni Manzar .

29-7-2023 
Shahad e Hazrat Imam e Hussain aur paigham e Karbala 



Thursday, July 20, 2023

Biography Hazrat Syed Aley Rasool Hasnain Miya Nazmi | Marehra Sharif

Hazrat Allama Sayyed Shah Aley Rasool Hasnain Miya Nazmi Marehravi
Aleyhir Rehma

Naam : Syed Aley Rasool Hasnain 
Tareekhi Naam : Sayyed Fazlullah Qadri (1365) 
Payar se Ghar ka Naam: Hasnain Haider 
Takhallus  : Nazmi 

Yaume Wiladat :  6 Ramzaan 1365 ba mtabiq 4 August 1946

Maqam e Wiladat  : Marehra Sharif. Dist Etah UP India 

Walid e Mohtaram: Huzur Sayyedul Ulma Hazrat Maulana Syed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya

Bait o Khilafat : Apnay Walid e Majid Huzur Sayyedul Ulma Hazrat Allama Sayyed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Aleyhir Rehma se hai.
Sath hi Aap ko Aap ke Chacha Huzur Ahsanul ulma Hazrat Allama Maulana Mufti Syed Mustafa Haider Hasan Miya sb Marehravi Aleyhir Rehma se bhi Tamam salasil ki Ijjazat o Khilafat thi.
Es ke alawa Masauli Sharif ke Sayyed Shah Habib Ahmed sb Aleyhir Rehma  ne bhi Apni Khilafat se Nawaza tha.

Taleem O Tarbiyat: 
Aap Ne Jamia Milliya Islamiya se BA aur Islamiaat ki Degree hasil ki
Allahabad Borad se aalim Ki degree Hasil ki
14 Zabaane Jaantay thae 
Jisme Arabic Urdu English par kaafi achchi pakad thi
Es ke alawa Hindi Gujrati Sanskrit Aur Marathi bhi bahut hi umda bola aur  likha kartay thae. 
IIS Ka Exam Pass kiya aur phir 
All India Radio me sr Correspondent rahe, Durdarshan me director rahe .
Phir 3 States ke Director ban kar Retire hue .

Roohani Taleem : Machli ke bachcho ko Tairna koi sekhata nahi hai
Sher ko dhaardna koi seekhata nahi hai ,
 Apnay Walid e Majid aur chacha Ahsanul ulma se aur Huzur Tajul ulma se Iktebaas e Faiz hasil kiya 

Sajjadgi :- 
Aap ko Aap ke Walid e Majid ne apni Wasiyat me Apna Janasheen Muqarrar Farmaya 
Ulama aur Mashaikh ki Maujoodgi me Aap Ko Apnay Walid ke 40 ve din Masnad e Ghausiya Aley Ahmediya par bithaya gaya Dastaar Huzur Ahsanul ulma Ne Shuru ki aur Mufti e Azam Maulana Mustafa Raza ne apnay hatho se Dastaar Mukammal farmayi .


Ilm O Adabi Duniya me Bahut badi khidmat hai aap ki
Kai kahaniya Kai Adabi Novel aur kai Rasaail me mazmoon wagaira likhate Rahe.

Shayri : Shuru Shuru me Bahariya shayri farmayi aur phir Naat o Manqabat likhna shuru kiya 
Sab se pahley A'ala Hazrat Fazil e Barelvi Ki 17 Na'aton par Tazmeen kahi 
Jo Faiz e Kilk e Raza ke naam se Shaan e Na'at e Mustafa  ke Naam se Shaye hua.
Phir 
Maddah e Mustafa 
Tanveer e Mustafa 
Irfan e Mustafa 
Nawajish e Mustafa 
Naatiya Deewaan Shaye hua 
Uske baad sab Ko Milakar
Ba'd az Khuda 
ek Bada Naatiya Deewaan Bazm e Barkaat Aley Mustafa ne shaye kiya.

Ilmi Kaarnama : 
Aap ne Mukhtalif Mauzu par
Bahut Bada zakheera Ahley Sunnat wal Jamaat ke liye choda hai 
Sab se bada kaam aap ka 
Tafseer e Quraan Hai jo Islamic Encyclopaedia Dictionary to the Glorious Quran "Nazme Illahi " likhi Jo Surah Fatiha aur Surah Baqra sharif Ki Mukammal Tafseer hai 
Yeh Jamaat e Ahley Sunnat me Pahli English Tafseer hai Jo likhi gayi ......Surah Aley Imran ki bhi Tafseer aap ne shayad likh diya tha lekin woh Print nahi ho payi....... Hazrat ka irada pahley Puray Quran ki tafseer ka tha phir Tabiyat kharab ho Jane se aap ne Rok diya.

Dusra Bada hi Ahem Kaarnama Aap ka hai
Quran e Azeem ka Tarjuma Kanjul Imaan ka Hindi me Tarjuma sab se pahle aap ne kiya aur Hindi padhne wale Hindi Musalmano par bahut bada ahsaan hai Jisay rahti Duniya tak yaad kiya jayega 
Es ka Naam Kalamur Rehman rakhkha sirf Tarjuma kanzul Imaan  ka hi translation nahi kiya balki Tafseer e Khazainul Irfaan Ka bhi Tarjuma kiya hai
Yeh woh kaam hai Jise sonay ke pani se bhi likha Jaye tab bhi Haq ada na hoga .

3 ra Aap ka Ilmi Shaahkaar hai
Kitab " Kya Aap Jaantay hai "?????
900 pages ki yeh Kitab Apnay Aap me ek Ilmi khazana hai
Sarkar e Nazmi ke ilm ka bolta hua shaakar hai
Yeh kitab kai baar Urdu aur Hindi me chapi aur khaas o aam me bahut Maqbool hui.
Islamic madaris me Balki Har school ki Library me esko hona chahiye.
Eske Alawa Urdu Hindi English me 40 se Ziyada Kitabe Aap ne likhi hai
Khandan e Barkaat Me Huzur Tajul ulma Aleyhir Rehma ko Musannif e Kaseera kaha jata tha Lekin Unke Faiz o karam se Puray khandan me Sab se ziyada kitaben likhne ka Record Hazrat e Nazmi Miya ne Apnay Qalam se thoda.
Chand Mashoor o Maroof 
Kitaben hai
1) Nazme Illahi
2) Kalamur Rehman
3) kya aap Jantay hai 
4) Gustakhi maaf
5) Zibhe Azeem 
6) Islam Religion ultimate
7) The way to be
8) Destination paradise
9) The Great Beyond
10) Sab se Bada Allah ka Rishta
11) Madine me Marna
12) Ghar angan Milaad

Es ke illawa kai Mazmoon
Aur kai kitabo par Mukadma 
(Prephase ) Tahreer farmaya hai
Kai kitabo ko Translate bhi Kiya hai.
(Nazmi Miya ki Qalami khidmat par ek alag se Mazmoon jald aayega Insha Allah)

Aap 40 saal se Ziyada Masnad e Sajjadgi par Ronak afroz rahe ...Chahtay tho aap ke lakho laakh Mureed aur Hazaaro Khalifa hotay
Magar Aapne  peeri Mureedi ko Business nahi banaya 
Bas Koi Talib e Sadiq aaya aur Hazrat ko laga ki kaam ka hai tho Mureed kar liya 
Warna kai kai setho ko 
Kai ulma ko kai logo ko wapas kartay bhagaty hue dekha hai Maine.

Kashf o karamat :
Hazrat ki Ammi jaan Ne Farmaya Lalla bahut Jalali hai 
Jab Kuch bol dete hai apne Jazb me tho woh ho jata hai
Ek baar ka waqiya  hai ki Aap Tafseer e Qur'aan ka kaam kar rahe thae Type writer par Type kar rahe thae 12 baje tho Gadi ne Tan Tan Tan ghanti bajana 
Shuru kiya Hazrat ko distrub hua ek awaaz di Chup tho woh chup ho gayi...
Kai Ghadi walo ko dikhaya gaya....sab kahtay sab sahi hai par bolti nahi hai
Company me Humare peer Bhai ne bheja waha se bhi check hokar aagyi par boli nahi.
(Bolti bhi kaise Allah wale kaha hai chup tho chup hi rahna hai )
Bahut sarey aise Waqiyat hai mazmoon taveel ho jayega es liye aainda phir kabhi bayan kiya jayega.......

Aulaad :
1) Hazrat Waqare Millat 
Maulana Sayyed Sibtain Haider Zaidi Barkati
2) Hazrat Sayyed Shah Safi Haider Zaidi Barkati
3) Hazrat Sayyed Zulfiqar Haider Zaidi Barkati 
(Ek Sahabzade ka Bahut Bachpan me Intaqal hogaya
Naam Malum nahi)

Hazrat ko 3 Bete hai Koi Beti nahi hai.

Aap Ke Khulfa 
http://barkaati92.blogspot.com/2016/03/khulfaye-khandane-barkaat-mumbai.html?m=1

Mumbai ke Khulfa ki list 
Es link par available hai 
Enke alawa 
Allama Mufti Shariful Haq Amjadi Aleyhir Rehma
Allama Ziyaul Mustafa Qadri
Maualana Basheer Qadri Orai 
Sayyed Dilshad sb Sultanpur
Qari Naseem Akthar Sb Maghar 
Mufti Amanullah Razvi Gonda
Mufti Anwar Ahmed Qadri 
Indore
Maulana Salman Azhari
Maulana Abdul Haadi South Africa 
Mufti Abu Talib sb Sultanpur
Enke Alawa bhi kai log Hazrat ke khalifa hai 
Magar es waqat Zahen me unke Naam yaad nahi aa rahe hai 
Insha Allah Jaise jaise yaad aaye ya kisi ne bataya tho List update kar dunga.

Khususiyat :
Itni Badi Khanqah ke Sajjadah thae magar bahut Simple life thi Khane pinay Me Koi takalluf nahi Sada khana ziyada pasand kartay thae Simple se kurta pajama aur Barkati Topi ya Do palli Topi pahantay thae.
Machli pasand thi.
Aap ke sath Log Aagye pichey chalen,haat band kar samne khade rahe Bilkul pasand na tha.
Koi Chappal Juta Utha le Sakth Naraz hua kartay thae .
Badi Mushkil se hath chumnay dete thae pair chumnay par bahut bahut Naraaz hotay thae. Farmaya kartay Mujhe chuma chati yeh Bilkul pasand Nahi hai.
Bahut Saad go insaan thae Hamesha Haq baat Kiya kartay thae. 

Mureedo Se Muhabbat:
Apnay mureedo Ko bahut chahtay thae. itna chahtay Aur mantay ki sab kahtay Hazrat mujhko ziyada chahtay hai.
Gareeb Mureedo Ki Band Muththi Imdad bhi kiya kartay thae...

Wisaal:-
1 Muharram 1435 Hijri mutabiq 6 November 2013 ko Mumbai me Intaqal farmaya 
Namaz e Janaza aap ke Bade Sahabzade Sayeed Shah Sibtain Haider Barkati ne padhai.
Dusri namaz e janajah Marehra Sharif me Ulma aur Mashaikh ne Ada ki
Aur 2 Muharram ko Zohar baad Khanqah Sharif me Hazaro chahne walo ne nam aankho se Supurd e khaq kiya 
Allah ki Rehmaten ho Unki Qabar ne Anwar par.

Nazmi Kafan me yu hi nahi Muskuraye hai
Dedaar e Mustafa ki usay Puri aas hai.
Nazmi ko apnay Nasab par ghamand nahi magar
Haan yeh ki Mustafa ke gharane ka daas hai.

Nazmi Teri Naato ka Andaaz Nirala hai
Mazmoon anokhe hai ashaar ko kya kahiye


Hazrat ke 10 ve urs e Mubarak par yeh mazmoon mukammal yahikar raha hu.
Allah Kubul Farmaye aur Murshid ke Faizaan se Malamal Farmaye aameen

Mazmoon by: Moinuddin Siddiqui Barkati. (Bsc.B.ed)
Barkati Manzil khindipada Bhandup West Mumbai 78.
1St Muharram 1445 
20 July 2023.





 



Thursday, May 25, 2023

Nazim Announcer kaisa hona chahiye |Moinuddin Barkati |

Nazim e Ijlaas kaisa hona Chahiye ??

SDI ke All India Convention me Qari Rizwan Khan sb ne ek Sawal kiya tha ki Ek achcha Nazim (Announcer) kaisa hona chahiye??

Bahut Saray Ahbab ne Nazim ki alag alag Quality Batayi
Maine bhi waha chand Baaten Qalam band Kiya tha 
Qari sb ne Kai logo se pucha Mera no hi nahi aaya 
Lekin kai logo ne likha tha maine bhi chand points likhe aur ab enko save karke Apnay Blog par daal raha hu ki log padhkar Faida utha sake.

Nazim Announcer kaisa hona chahiye ?
1) Nazim Padha likha hona chahiye khaas kar Urdu achchi aani chahiye.
2) Nazim e Ijlaas ko Waqare ka paband hona chahiye.
3) Quick decision lene aana chahiye ki achanak prgm ko tabdeel ho jaye tho situation ko Handle kar sake.
4) Nazim Soft bolnay wala ho 
Chillanay wala na ho 
5) Nazim ko achchay achchay alag alag shora ke ashaar yaad hona chahiye
6) Sahi ashaar ko sahi jagah padhne ka bhi Fun hona chahiye.
7) Nazim Khud Ziyada Time na len.
8) Nazim jisko Dawat e Sukhan de uske baaray me usko jaankari hona chahiye ki public ko uski zaat ke shayaan e shaan introduce Kara sake.
9) Nazim Ghulu se kaam Na le 
Yani ki kuch bhi fekam faak na kare.
10) Prgm ko handle karne aur majme ko rok ke rakhnay ka usme fan hona chahiye.
11) Nazim Kabhi Fazilat bataye 
Kabhi Sher padh den kabhi koi chota se zarurat padhne par waqiya suna de... Yani Nazim ko All Rounder hona chahiye.
12) Nazim ko achcha libaas bhi pahanna chahiye.
13) Sakhat kalami se bachna chahiye aur Muhabbat se pesh aana chahiye.
14) Waqat ijjazat de tho Takrir par ya naat par ya prgm par tabsara achcha karne ka usme fun ho aur karna chahiye.
15) Nazim ko ilm o Amal achchay Akhlaq wala hona chahiye.
16) Nazim Baat Baat me Nara na lagaye Mauka Mahal dekhkar Nara lagaye.
Subahan Allah MashaAllah Alhamdulillah bolta rahe.
17) Mukarir ya Naat Khawan ka Time ho jaye tho pair pakadnay, mic kheechany ya payjama kheechne ki bajaye 
Payar se Jazakallah Jazakallah bol de ki samnay wala Samjh jaye ki waqat khatam ho gaya hai.
18)  Jo jaisa ho usko usi adaab o alqaab se pukare ziyada badha Chadha kar Hawa me na Imarat bandhe .

Yeh Chand baaten Maine likh diya hai hai apnay 20 saal ke Nizamat ke Tajarbey ke baad.


Article By : Moinuddin Siddiqui Barkati
Email: moinbarkati@gmail.com
9821656862 


NAYAB E SADAR E SHARIYAT HAZRAAT E SAYYED MIYA

Nayab se Sadr e Shariyat
Hazrat e Sayyed Miya

Huzur Sayyedul Ulma Hazrat Allama Maulana Mufti Sayyed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya sb Marehravi Rahmatullahi alaih
Shagird thae Huzur Sadrus-shariah Hazrat Allama Maulana Amjad Ali Sb Aley hir Rehma (Musannif e Bahar e Shariyat) ke.
Jab Shadrus Shariya Daruluoom Moiniya Ajmer Shareef me padhatay thae 
Wahi Aap ne Taleem hasil ki
Aap ko khaas ijjazat Hasil thi ki Daras gaah ke alawa bhi jab chahyen Huzur Sadrus-shariah se Alag se padh saktay thae, aur apnay doubts clear kar saktay thae.
Hazrat kaafi Muhabbat aur Shafqat farmaya kartay thae.
Huzur Sayyedul Ulma ko apnay Utaz e Mohtaram pe bada Naaz tha Aap apni Takriro me Unki Zaat par Fakhar Farmatay thae.
Ek jagah tho Farmaya ki Shadrus Shariya ki Nalain agar sar par rakhnay mil jaye tho Mai Fakhr karu
Yeh Aap ki muhabbat aur Aqidat thi apney ustaz e Kareem se 

Hazrat Nazmi Miya Farmatay hai ki 
Hazrat e Shadrus Shariya jinhai Taleem de
Nayab e Sadar e Shariyat Hazrat e Sayyed Miya.

(Urs e Amjadi ke Mauke par 
Article By Moinuddin Barkati)
24/5/2023.



Monday, May 22, 2023

4 Cheezen Zindagi me Kabhi Na Choren *چار چیزیں زندگی میں کبھی نہ چھوڑیں*

*چار چیزیں زندگی میں کبھی نہ چھوڑیں*
 
*1-* اللہ کا ذکر نہ چھوڑیں ورنہ آپ اس سے محروم ہو جائیں گے کہ اللہ آپکو یاد رکھے. *"فاذکرونی اذکرکم"* : "تم میرا ذکر کرو میں تمہیں یاد رکھوں گا". (سورة البقرة: آیت 152)

*2-* شکر نہ چھوڑیں ورنہ آپ نعمتوں میں زیادتی اور اضافے سے محروم ہو جائیں گے. *"ولئن شكرتم لأ زيدنكم"* "اگر تم شکر کرو گے تو میں تم کو مزید دوں گا". (سورة إبراهيم :آیت 7)

*3-* دعا کو نہ چھوڑیں ورنہ قبولیت سے محروم ہو جائیں گے *"أدعوني أستجب لكم"* "تم مجھے پکارو میں تمہاری دعا قبول کروں گا". (سورة غافر :آیت 60)

*4-* استغفار نہ چھوڑیں ورنہ نجات سے محروم ہو جائیں گے. *"وما كان الله معذبهم وهم يستغفرون"* "الله انکو عذاب دینے والا نہیں ہے جب کہ وہ استغفار کرتے ہوں". (سورة الأنفال :آیت 33)

دعا ہے آپ سب کی زندگی کی ہر صبح اور شام ، خیر و برکت والی ہو.

 *آمین ثم آمین* 🤲

Wednesday, February 22, 2023

Jab 2 Glass Chai me Piya 12 logo ne chai. |Karamat Huzur Sayyedul ulma Aleyhir Rehma| Marehra Sharif

Jab 2 Glass Chai me Piya 12 logo ne chai.
Karamat Huzur Sayyedul ulma Hazrat Maulana Syed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Marehravi Rehmatullah Alaih.

Mere Walid Baba Abdul Qadir Siddiqui Barkati Aleyhir Rehma ne ek baar ka bada hi Dilchab waqiya sunaya ...jisko Sunkar Aap ka Imaan Taza ho jayega.

Mere walid Sb Bayan kartay hai ki Lucknow wali Hazrat ki khala aayi Hui thi
Khad Masjid ke Huzray me
2 log aaye thae Milnay Hazrat ne mujhse kaha 2 chai le aao
Mai 2 chay laya ek ketli me aur utnay Ulma ka group Hazrat ke paas aagaya jisnay Mehboob e Millat thae Hazrat Maulana  Hashmati Ali Khan sb thae Allama Nizami thae aur Kai ulma thae mai 2 chai laya tha soch raha tha ki kya karu kisko du kisko na du utnay me Hazrat ne Farmaya
Chai pilao sab ko. Maine Andar se aur glass laya socha ki Mumbai me chai cutting chalti hai thoda thoda 3-4 logo ko de deta hu. Kaise hi pahlay glass me dartay dartay chai daala Hazrat dekh rahe thae...
Zordaar Garzdaar awaaz me Farmaya Abay kambakth Kanjoosi kya karta hai, Mainay bhi gussay me aakar bharna shuru kar diya ek Glass bhar kar diya dusra diya aisa bhar bhar ke dete ja raha hu aur chai hai ki khatam nahi ho rahi hai Subhan Allah  Maine 2 chai me 12 logo ko glass  bhar bhar
Ke pilaya aur ketli me chai 2 waisay hi bhari thi. Hazrat ki yeh karamat dekhkar Dil baagh baagh hogaya aur apnay peer ki karamat dekhkar sab chale gaye Aur mai Hazrat ke Qadmo se lipat gaya. Khala jaan aayi aur kahnay lagi waah bhai jaan 2 chai mangatay ho phir bachchay ko dant-tay ho.

Marehra ke Sayyed ka karam aur unka Faizan jari rahe.
Allah Hume en Buzurgo ke Faizan se Malamaal Farmaye aameen

Mazmoon By :
Moinuddin Siddiqui Barkati
Email : moinbarkati@gmail.com
22/02/2022.

Monday, February 20, 2023

Ustaz ki Maar aur Huzur Sayyedul ulma (Marehra Sharif)

 Ustaz ki Maar aur  Huzur Sayyedul ulma 
Hazrat Maulana Syed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Marehravi Aleyhir Rehma 

Ustaz ka Bada maqam hua karta hai Duniya me Ustaz ka Darja Maa Baap ke baad sab se bada hai

Jisne mujhe ek Haraf sikhaya Mai uska Gulam hu aur Mai uska khadim hu 
(Farmaan e Murtuza Ali )

Aaj Ustaz ki itni izzat nahi hoti hai Aaj bachchay Teacher ko
Woh izzat aur ahtaram nahi dete jo Humare buzurg diya kartay thae.
Aao aisa hi ek waqaia Huzur Sayyedul ulma Maulana Syed Shah Aley Mustafa Marehravi ka hai jab Ustaz ne Hazrat ko Peet diya Hazrat ki zubani hi sunay pura waqiya
" Ek din Humare Hafiz ji ne Hame Peet diya , Rotay hue Ghar pahuche jakar Apnay Mamu jaan se faryaad ki 
Kya kaha Hafiz ji se itmenan se Suniyeh batayen 
Allah u Akbar
 Gaye thae ki Mamu se karengye Faryaad tho Mamu Hafiz ji ko bula kar kahengye
Hafiz ji Bachchay ko aisa Martay ho tum !  Bajaye eske Mamu ne apnay Hath ko Tedha karke ek Lafa jat Se Humare kandhay par Inayat farmaya.
 Subhan Allah
Achchi Faryaad lekar aaye aap ke paas ek tho wahi se pitay pitaay aaye thae, ek tho aap ne hame aur Peet diya.
Eske baad Farmaya " Oh Nabakaar Ustaz ki Shikayat karta hai hamare aagye," Sun
" Humnay jis waqat tumhe Maktab bhejwaya tha Hafiz ji se Humnay  kah diya tha ki "Eska Gosht tumhara hai aur Haddiya Humari hai".
Humne kaha theek hai sahab !
Phir woh Hafiz ji peet-tay khoob Peet-tay Aur yeh Jo kuch aap ke samnay hai Hafiz ji ke peetnay ka natija hai.
 Aur agar woh peetay nahi hotay tho  yeh nahi hotay.
(Khutabat e Huzur Sayyedul ulma page no 88-89)

Es wakiya se Jo sabaq mila woh yeh ki Ustaz ki maar humare liye faidamand hoti hai aur maar khakar bachchey
Mehnat se ilm hasil kartay hai.

Article by:
Moinuddin Siddiqui Barkati
Email moinbarkati@gmail.com
9821656862
20/2/2023

Saturday, February 18, 2023

SHAB E MERAJ Me Wazaif aur Nawafil

SHAB E MERAJ Me Nafil Namaz 

12 Rakaat Ek Salam se 
Padhen Aur 2 Rakaat ke baad Qaida karen salam pher ke yeh padhen 
100 Baar SubhanAllahi wal Hamdulilaalhi wallahu Akbar
Padhen 
Phir 100 baar Astagfirullah hi Rabbi Min kulli zambiw wa tubu illahi padhen
Phir 100 baar Durood sharif padhe 
Aur Dua kare Insha Allah sab duaen Kubul hongi. 

Es Raat Durood o Salam ki kasrat karen 

Es Raat Zikr ki Mehfil Kare

Qur'an Sharif ki Tilawat kare.

100 Baar Subhanallah
100 baar Alhamdulilah
100 baar Allahu Akbar
100 baar Subhan Allah hi wabi Hamdihi 
En Tasbeehat ka bhi wird karen aur apnay liye Aur Tamam Musalmano ke liye 
Dua karen.

27 vi Rajjab ka Roza Rakhkhey
60 Mahino ke Rozay ke Barbar sawab Milega
Talib e Dua 
Moinuddin Siddiqui Barkati

Saturday, February 11, 2023

URS E SAYYEDI BARKATI 2023.

Muqtada e Ahley Sunnat Taajdarr Ahley Sunnat Gule Gulzaar e Barkatiyat Huzur Sayyedul Ulma Sanadul Hukma  Aulad e Haider Abul Hasnain Syed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Marehravi Rehmatullah Alaih Ka 49 wala Salana URS e Paak yani URS E SAYYEDI BARKATI
24 25 26 February 2023 ko 
Khanqah e Baraktiya Marehra Sharif me Manaya jayega.
Zere Sarparasti: 
Aabru e Khandan e Barkaat
Waris e Haft Aqtaab e Marehra
Huzur Waqare Millat Hazrat Allama Sayyed Shah Sibtain Haider Barkati Zaidi Sajjadah Nasheeen Khanqah Barkatiya Marehra Sharif UP 
Insha Allah
23 Feb Isha baad Mehfil e Maulood sharif Dargah Sharif me 
24  Feb Baad Namaz e Fajar Halka e zikr 
24 Feb Nazmi Day 
25 Feb  Morning Seminaar 
Shaam me Rasam e sajjadgi 
& Gagar chadar Juloos 
Mehfil e Sima
26 Feb Qul Sharif 
Shirkat ki gujarish 
Es Urs ki Dawat ko aam karen 



Hazrat Sufi Sakhawat Ali Barkati Aleyhir Rehma | Maghar| Kuch yaaden kuch Baaten

Thursday, February 2, 2023

Noori Gaddi ke Waris thae Sayyed Miya ...., |Marehra Sharif|

Noori Gaddi ke Waris thae 
Sayyed Miya ....,..

Huzur NoorulArifeen Shaikhul Mashaikh Hazrat Sayyed Shah Abul Hussain Ahmed e Noori
Rehmatullah Alaih.
Aap Mureed o Khalifa hai
Apnay Dada Huzur Khatimul Akabir Sayyed Shah Aley Rasool Ahmedi Aleyhir Rehma ke.
Huzur Nooi Miya sb Ko Koi beta na tha ek sahabzade thae Sai miya woh bachban me hi Wisaal farma gaye thae.....
Hazrat Noori Miya ke wisal ke baad aap ki Gaddi par aap chachazad Bhai Hazrat Mehndi Hasan Sb Aleyhir Rehma baithay aap ko bhi koi aulad nahi thi es liye aap ne apni Zindagi me hi Apni Saali ke bete Huzur Sayyedul ulma Maulana Syed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Marehravi Aleyhir ko apni Hayaat e Zahiri me hi Gaddi par bitha diya .
Aur Phir Huzur Sayyedul ulma Maulana Syed Shah Aley Mustafa Marehravi Aleyhir Rehma se 
Aap ke sahabzade Huzur Sayyed e Millat Hazrat Allama Sayyed Shah Aley Rasool Hasnain Miya Nazmi Marehravi Aleyhir Rehma ko yeh Gaddi Mili Jiski Khidmat
Hazrat Sarkar e Nazmi ne 
40 saal tak ki 
Unke Wisaal ke baad
Hazrat Nazmi Miya Aleyhir Rehma ke 40 ve me Ulma Mashaikh ki Maujoodgi me Aap ke bade Sahabzade Huzur Waqare Millat Hazrat Allama Sayyed Shah Sibtain Haider Barkati Zaidi ko Es Masnad e Ghausiya  Aley  Ahmediya par bithaya gaya.
Jo Abhi tak Ek Khanqah aur Gaddi ki khidmat kar rahe hai.
Aur Faizan e Noori bant rahe hai.
Allah salamat rakhkhey
Khandan e Aley Mustafa ko aur Faizaan e Noori jari rahe 

Huzur Sayyedul ulma
Aleyhir Rehma Farmatay hai
" Yeh Aale Noori Yeh Urs e Noori yeh Noori jalsay rahe Hamesha
Falak se Sayyed Teri Dua par sadaye Aameen aa rahi hai'.

Sarkar e Nazmi Farmatay hai
"Yeh hai Noori Taksaal Noori Miya ki 
Yaha Jannati sikkay dhaltay rahengye 
Yaha khotay sikkay ki ja hi nahi hai 
Har ek Sikka bajta hai 
Khn Khn khana khn".

Mazmoon By Moinuddin Siddiqui Barkati
moinbarkati@gmail.com
11 Rajjab 1444 Hijri 
3/2/2023.



Sunday, January 29, 2023

Biography Of Hazrat Hazrat Baba Abdul Qadir Siddiqui Qadri Barkati Aleyhir Rehma (KADAR BABA)

Hazrat Baba Abdul Qadir Siddiqui Qadri Barkati Ibn e Hazrat Baba Abdul Samad Siddiqui Barkati Aleyhir Rehma1944 ok

Wiladat: February 
Maqam e Wiladat : 
Parsa Shaikh Post Dudhara
Dist Basti UP 

Walid : Hazrat Baba Abdul Samad Siddiqui Barkati Aleyhir Rehma.
Walida : Marhooma Lais BiBi

Murshid : Huzur Sayyedul ulma
Hazrat Maulana Syed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Marehravi Aleyhir Rehma
Marehra Sharif .

Khilafat :- 
1) Hazrat Sufi Mohammaed Ali Shah Qadri
(Kota wale Baba) Khalifa
  Hazrat Maulana Baba Shah Abdul Haq Chisti Ajmeri Rehmatullah Alaih. In
2)Hazrat Moinul Haq sb Chisti S/O Hazrat Maulana Shah Abdul Haq Chisti Ajmeri Rehmatullah Alaih.
3) Hazrat Sayyed Zafar Iqbal Qutbi 
Sajjada aastana Qutbuddin Bakhtiyar kaki Aleyhir Rehma

4) Hazrat Kashmiri Baba Rehmatullah Alaih Bandra Mumbai

5) Hazrat Sufi Sayyed Dilshad Hussain Sb Qadri Barkati
Khalifa Huzur Sayyed e Millat Nazmi Miya Aleyhir Rehma.

Taleem o Tarbiyat:
Huzur Sayyedul ulma Aleyhir Rehma se khaas Tarbiyat payi 12 saal se ziyada peer ki Sohbat me rahe.
20 saal tak Hayat e zahiri me faiz uthaya.

Amal Amaliyaat:-
Huzur Sayyed e Millat Hazrat Allama Sayed Shah Aley Rasool Hasnain Miya Nazmi Marehravi Aleyhir Rehma se, aur Apnay Walid Hazrat Baba Abdul Samad Siddiqui Barkati se Aur Khalifa e Huzur Sayyedul ulma Hazrat Sufi Sakhawat Ali sb Maghar se amal aur Amaliyaat ki ijjazat thi


Halat e Zindagi :-
1957 me Mumbai aagaye Yaha par Chapai ka kaam kartay rahe (Aap ke sath Maulana Basheer sb Orai wale bhi Chapai ka kaam kartay thae )
Phir 1968 me Bhandup Dargah Gaibanshah Qadri Par Fatiha padhne aaye aur phir yahi ke hokar rah gaye.

Ahem Kaam :
Khindi pada Yaha aaKar 
Masjid Qayam Farmayi.
Madarsa Qayam Farmaya.
Jamaat banai 
Pahlay Jamaat Barkatiya Banai phir Jamaat Dargah Gaibanshah Muslimeen
Phir Jamat Sunni Islahul Muslimeen banai gayi aur uskay ta haayat (zindagi bhar)
Sadar rahe. 
Khindipada Ke Kafir o ko sath lekar Khindi Pada Rahiwasi sang Banai
Jamat aur Khindipada Rahiwasi sang ke Sath Milkar 
Muslim Qabristan Khindipada me banai ,Mantaralay sachwalay ka Gherav kiya 
2-3 baar Mulund police station
Morcha lekar waha bhook hartal kiya itni Mehnato Mashakat se Sharad Pawar Govt se Qabristan pass karwai .
Govt Ne Dargah Gaibanshah ke samnay Sandaas Ki Taaki Khod di thi Uske liye Morcha aur Andolan karke Govt se ladkar khadda band karwaya BMC ki Dewaar uthwai.
Khindipada Me light Nahi thi Road nahi thae Khindipada Rahiwasi sang ke Zariye Harishchandra Govind Pastay ke sath milkar bahut mehnat ki aur khindipada me light aayi, paani aaya, road bana.

Dawat o Tableegh :
Apni Zindagi me 40 se Ziyada logo ko kalma padhakar apnay haath par Musalmaan Banaya.

Deen o Sunniyat ka Bahut kaam kiya jiske liye ek Book likhi ja sakti hai.

Aaj jahan Sonapur Nake ki Masjid jaha hai Woh Jagah Umar Seth ne kuch kaam ho gaya tha tho Nazar me Abba ko de diya tha waha unka Bail bandha jata tha Bailo ki ghari thi . Walid sb ne umar Seth se kaha ki maine kubul kar liya ab aap ko Mai kahta hu ki yaha choti si masjid bana do Umar Seth ne Masjid banai aur uska Sadar Abba ko bana. Pahley Daragh aur Mohammadi masjid Sonapur Unar compound ki ek jamat thi aur Uskay sadar Bhi walid sb thae.
Zakariya Compund Qadriya Masjid jo nai bani hai uski buniyad bhi walid sb ke haatho rakhkhi gayi thi.
Walid sb Gaon gaye tho yaha ke deobandio ne dargah aur sonapur ki masjid me apna imam rakh diya tha
Walid sb Maghar gaye Bade Hazrat (Huzur Sayyedul ulma) se milnay Hazrat ne Farmaya
Bambai kyu nahi gaye
Abba ne kaha Huzur Safar ka Mahina Hai. Hazrat ne Daantkar kaha Safar Me Hasnain Safar kar sakta hai aur tum nahi , Phir Aap ne kaha " Bhandup ki Falti Phoolti Deobandiyat ka Mehshar me tum jawab dena ". 
Abba usi haftay me Basti se Mumbai aagye, yaha aakar dekha ki Nake pe bhi Deobandi imam hai Aur Dargah masjid me bhi Deobandi imam hai.
Badi Hiqmat aur badi danaai se dono jagah se imam ko hatakar Sunni Imam ko rakhkha

Mujahid e Sunniyat thae Mere Walid Kadar Baba
Deobandio ne Zakariya Compund Bhandup sonapur me Tahir Gayavi ka Prgm rakhkha tha aur sab ko pata hai ki woh kis tarah se bakwas Kiya karta tha....
Sunni bhi gaye thae ki dekhen kya bolta hai
Walid sb Hafiz Sabir sb Aur kai logo ke sath Pahli ya dusri saf me thae jab Tahir Gayavi ne bakwaas shuru kiya Aala Hazrat ko kaala Hazrat kaha aur Nabaligh ke wazu aur gusul ka masla cheda aur usme Aala Hazrat ko bura kahne laga Mere Walid sb Hazrat Baba Abdul Qadir Siddiqui Barkati ne Majme me khade hokar usko lalkara ki khabees hawala dekar baat kar aur jhoot mat bol aur band kar Takrir 
Abba ka itna lalkaarna tha ki Sunnio ne Naray Risalat buland kiya aur Akhir usko Takrir band karna pada aur aaj tak Phir deobandio ki itni himmat na hui ki phir Us khabees ko bula saken.

Es tarah ke saikdo waqiyat hai 
Unki zindagi ke...

Shadi aur Aulaad :-
Aap ki Pahli Shadi Basti zila Ke Gaon Gajauli Me aap ki Sagi Phuphi ki beti Sadrun Nisa bint e Mohammed Hanif Sb  se hui thi.
Aap ki pahli biwi Shadi ke 2-3 saal me hi TB ho jane se Intaqal kar gayi.
Parsa shaikh ke Gulam Rab Seth (Farooq aur Zubair bhai ke Walid) aap ke sage Sadhu thae.
Aap Ki Dusri Shadi zila Basti me hi Naugarh ke paas Lotan Thana ke paas gaon Pokhar Bhinda me Janaab Mukhtar Hussain sb ki Sahabzadi Se Hui
Jin se 4 Betiya aur 1 Beta hua
1) Tahira khatoon 
2) Moinuddin Siddiqui
 3) Arifa Khatoon 
4) Zainab Khatoon 
5) Rabia Khatoon (Khalida)

Aadat aur Khubiya :-
Sab Se Badi khubi yeh thi ki 5 waqat Ki Namaz ki pabandi thi eske Alawa unke murshid ne 6Rakaat Nafal Maghrib baad Padhne ki aadat daali thi usko bhi kabhi nahi chortay thae.
Dalailul khairat Sharif  bhi pabandi ke sath padha kartay thae, Kabi Bahut emergency ya koi bada problem ho jaye tho Uski bhi Qaza kiya kartay thae.
Akhari Akhari Saalo se me Tahajuud ki bhi pabandi kiya kartay thae.
Ek saans me 100 baar Qulhu wallah padha kartay thae.
Zikar padhne ka bahut Shauk tha aur yeh unko apnay Walid se wirsay me mila tha Har mehfil ya prgm ke baad kaha kartay thae ki 10 min padh liya jaye.
Saadgi pasand insaan thae Bahut saafgo aur Hamesha Haq ki awaaz buland kartay thae, Shariyat ke khilaf kuch bardasth nahi tha kisi ki bhi ghalti hoti bila jhijhak bila rok thok Bola kartay thae.
Khandan e Barkaat ke tamam Makhdoomo par apni jaan Nichawar karne ko Hamesha tayyar rahtay thae Marehra Sharif ya kisi bhi Makhdoom ke khilaf ek lafz bhi bura nahi sunsaktay thae.
Sadaat koi bhi bas pata chal jaye uska haath pair sab chum daaltay thae. Bahut bahut Adab kartay thae.
Sadaat ke sath hi ulma se bahut bahut Muhabbat kartay thae aur ulma nawaaz thae.
Bahut sada libas zebtan kiya kartay thae . safed colour ziyada pasand tha Do Pallli topi lagaya kartay thae.


Khandan ke Afraad :-
Aap ke 6 Bhai aur 6 Bahney hai
Bhai o me 
1)Baba Abdul Rehman Siddiqui
2)Baba Abdul Mustafa Siddiqui
3)Baba Abdul Nabi Siddiqui
4)Baba Abdul wali Siddiqui 
5)Baba Abdul Gani Siddiqui
6)Baba Abdul Hai Siddiqui.
Enme se Baba Abdul Mustafa aur Maulana Abdul wali aur Haji Abdul Nabi sb ka intaqal ho chuka hai. Allah unsab ki Maghfirat Farmaye aur Jannat me aala maqam ata farmaye aameen.
Bahno me 
1) Sahran
2Sahrun
3) Fatima 
4) Zohra 
5 Qayamun 
6) Enka naam Malum Nahi hai
Enme se Qayyamun Phuphi Zinda hai Baki sab ka intaqal hogaya hai.
Allah sab ki maghfirat farmaye ameen 

Intaqal Purmalal :-
Aap ne apnay Intaqal ki khabar Ek Hafta pahley Masjid e Dargah Gaibanshah Qadri
Me Juma ke khitab me de diya tha aur kaha tha ki " Yeh Meri Akhari Takrir hai eske baad mai Takreer nahi karunga"
27 January ko aap Isha ki Namaz aur wazaif se Fariq hokar lete thae achanak raat me 11.30 ke aas paas Seene me dard hua apna likha hua pani piya Utara kiye istinja kiye farmaya Rkshaw bulao aur mai aur bahen Rkshaw me sath lekar ja rahe thae mujhse kah rahe thae kuch padho mai kalma aur dua padhta raha Hospital pahuchtay pahuchtay mere Haatho me hi dam nikal gaya takreeban 12 baje ke aas paas aap ne Wisal farmaya.
28 January 2011 juma ke baad 
Dargah Gaibanshah Qadri Aleyhir Rehma Bhandup ke Ground me Namaz e Janaza ada ki gayi.
Hazaaro Hazaar ka majma tha anginat sar thae Record hai ki aaj tak Khindipada me Kisi janaza me Itni public jama nahi hui.
Ulma Aaimma huffaz aur awaam ke alawa Neta har party ke , Nagar sewak, MLA, MP, shaka Parmukh, senior SP DCP Senior Mulund Bhandup ke sab Shareeq thae.
Amar nagar se Traffic band Kara Diya gaya tha....

Namaz e Janaza :
Hindustan ki Mashoor o Maroof Khanqah, Roohaniyat ka Markaz Marehra Sharif ke Sahib e Sajjadah Huzur Sayyed e Millat Hazrat Allama Sayyed Shah Aley Rasool Hasnain Miya Nazmi Marehravi ne Padhai .
Aap Qabristan tak bhi sath tashreef le gaye aur kadi Dhoop me ek Pathar par baithe rahe.
Qabar Par Huzur Waqare Millat Hazrat Allama Sayyed Shah Sibtain Haider Barkati Zaidi ne Fatiha Padha aur azaan bhi aap ne hi di.

Allah paak Khandan e Barkaat ke Es Wafadar Mureed aur Aashiq e Murshid Khadim e Barkatiyat Ko apnay Musrhid ke Sadqe me Karwat karwat jannat ata farmaye unki Bakshish aur Maghfirat Farmaye aameen.

Yeh Mazmoon Maine 28 Jan 2023 ko likhna shuru kiya aur Allah ke karam se 29 Jan ko Isha me Mukammal hua.

Khadim e Barkatiyat
Moinuddin Siddiqui Barkati
moinbarkati@gmail.com
29/01/2023.











Saturday, January 28, 2023

Manqabat Hazrat Baba Abdul Qadir Siddiqui Barkati Aleyhir Rehma ki shan Me


Zindagi peer par kiya Qurban
Hazrat e Abdul Qadir ne
Apni alag banai pahchaan
Hazrat e Abdul Qadir ne

Kiya aabaad khindipada apney Qadam se
Basaya yaha Musalman
Hazrat e Abdul Qadir ne

Na darey kabhi Batil se na kabi  ghabray
Aisi payi  shaan
Hazrat e Abdul Qadir ne

Ab na bolunga aainda se Takrir kabhi
Akhari kiya yeh Ellan
Hazrat e Abdul Qadir ne

Hazrat e Nazmi ke diwanay
Hazrat e Sayyed ke Shaidai
Zindagi peer par  kiya Qurban
Hazrat e Abdul Qadir ne

Masjid banai Madrasa banaya aur Muslim Jamat
Phir  Banayi Qabristan
Hazrat e Abdul Qadir ne

Kabi Taveez kabhi dua kabhi utara logo ka
Aisi bachayi jaan
Hazrat e Abdul Qadir ne

Ishq me peer ke lagatay Nara hardam
Ghar baar bhi kiya Qurban
Hazrat e Abdul Qadir ne

28 Jan 2022 ko yeh Chand jazbaat hai dil  ke jo Qalam band kar diya hai
(Radeef Kaafiya Sher ka wazan na dekhna Yeh Muhabbat aur aqidat ke alfaaz hai bas )
Moinuddin siddiqui Barkati
Barkati Manzil khindipada Dargah Road Bhandup West Mumbai 78

Friday, January 27, 2023

Apnay Walid ke Station par Qadam chumte thae Huzoor Sayyedul ulama

Apnay Walid ke Station par Qadam chumte the Huzoor Sayyedul ulama

Mere walid Hazrat Baba Abdul Qadir Siddiqui Barkati
Huzur Sayyedul ulama Rehmatullah Alaih ke Mureed the
Apne peer par bada naaz tha har mu’aamle  me peer ki Nigrani thi, Shafqat thi, Muhabbat thi 
Apne Walid se ziyada muhabbat karte the 
Walid sb Gaon Gaye the wahan Dada se Abba ki kuch baat ho gayi or dada ne ghusse me aakar Ghar se nikal diya , Walid saheb Farmate  hain ke
Mujhe bada naaz tha ki ek baap ne nikala tho kya lekin Mera Roohani Baap abhi Zinda hai , Mai bhi ghar se nikalkar Mumbai aa gaya
Saman Qazi Mohallah me rakhkha naha dhokar seedha khadak Masjid ke Darwaze par ponhach gaya.
Bade Naaz aur Aqidat o muhabbat se Peer saheb se milne ponhcha abhi seedhiyan Chad kar andar aana jane ki ijjazat talab ki Farmaya tumhare liye faqeer ke Darwaze band hain 
Allahu Akbar 
ye sunkar pairo se zameen hil gayi .
Hazrat ne farmaya " Natay  Baba se ladkar aaye ho aur yeh samjhate  ho ki Aaley Mustafa ke daman me panah  milegi kabhi nahi ,mera Shajrah jama kardo aur nikal jao yahan se ".
Walid saheb Kahte hain mai khada rota raha meri kuch sun to lo aap ne kaha kuch nahi sunna hai Jiska Maa baap naraz uska peer us se khush nahi reh sakta hai….
Walid sb kehte hain mai Khadak masjid se utar aaya aur khudkushi karne ke irade se Muhammad Ali road par khada ho gaya ki bus aayegi uske neeche let jaunga
Magar jane kis soch or fikar me tha ki bus aayi bhi chali bhi gayi mujhe kuch pata nahi chala mai apni Qismat ko koste hue khada raha phir Chembur ki bus aayi aur mai usme baith kar chembur chala  gaya.....
Tayyab bhai ke karkhane par baitha tha achanak Sharab ki boo aayi aur ek mangne wala samne khada tha or char aane ka sawal kar raha tha maine us se kaha maaf kar den aur aage badh ja woh zid karne laga mujhse ghussa aa gaya. Mujhe woh kehne laga ek sher sunata hu 
Pahle misra Tera Mazi hai aur dusra Tera mustaqbil hai
Abba kehte hain jab us ne Mazi aur mustaqbil kaha mera matha thanka usne sher sunaya (Ittefaq aisa hai woh sher mai bhul raha hu yaad nahi aa raha hai )
Sher sunaya to Sharab ki boo jo aa rahi thi sab ghayab ho gayi
Mai ne kaha baith jao usne kaha nahi ab 8aana de Haroon Rasheed ke jannat dekhne ke baad Behlol ne Qeemat badha di thi, Allah u Akbar yeh marifat ki baaten karne wala koi aam bheekari nahi lag raha tha woh gaya phir aaya aur usne 2 sher sunaye
" Dedaar e Tajalli ki khatir Kuchh Toor pe jana Shart nahi 
Jab chahenge is aaina-e dil me Tera Nazara kar lenge
Usnay kaha sun peer ko Masjid me dhuntha hai peer Dil me rahta hai Dil me....".
Phir us Faqeer ne kaha nasihat deta hu yeh Mustaqbil ka sher bhi sunlo
Do roza Hayaat Apni Bande Mauqoof hai uski marzi par
Ab Dard mile ya chain mile har tarha Guzara kar lenge 

Phir Abba kahte hain usne mera hath pakda or bus stop par aaya hum dono bas me baithe achanak mujhe ek neend ka jhoka aaya aur woh baba Ghayab ho gaye.
Mai Bhandup me kuch din raha phir ek din Mere peer bhai Molvi Sakhawat Ali saheb (Khalifa sb ko us waqat khilafat nahi mili thi) mujhe dhundhte Dhundte Bhandup aaye 
Dargah Gaiban Shah Qadri Aleyhir Rehma ke aastane par
Bhandup se paidal chalkar.
Mere paas na ghar tha na dar ek Wali ki chaukhat par mai pada rahta tha khat mit ka jhaad tha uski ke nichay so jata tha jab Molvi sb aaye maine ek chai li hum dono ne Piye maine phool wali se bhaday par ek chatai Li Khalifa sb ke paas ek bag raha karta tha usi ka takiya banaye aur so gaye Subah Sakhawat bhai ne kaha ki peer sb ne bulaya hai chalo khadak Mai fauran tayyar hua aur Mumbai khadak masjid ponhcha Hazrat ne kaha Bohot bade Baba ban gaye ho tumko bulana padhta hai
aap ne  bohot danti diye phir seene se lagakar bohot piyaar kiya aur duaayen di 
Or  Samjhaya ki Beta Maa Baap ka Darja bohot buland hai unka Dil na dukhao unki Raza me Allah ki Raza hai.
Phir Farmaya mai All India Sunni Jamiyatul ulama ka sadar hun , Itna bada Mufti hu , Imam hu hazaro log Mere Qadam chumte hain lekin jab mai Marehra jata hu Mere Nannu bhai (Mere walid ) mujhe station lene aate hain
Mai unko dekhte hi Unke 
Qadmo par gir jata hun unke Qadmo ka Bosa leta hu
Aap ne farmaya mere walid ne dadhi nahi rakhkhi hai abhi 
Mai unpar fatwa nahi lagata mai unko Fasiq nahi kehta Balke unke Qadmo par girke unke Qadam chumta hu
Or uski ye Barkat hai ke Aaj Zamana Mere Qadam choomta hai. (Aisi taleem o Tarbiyat kiya kartay the Huzur Sayyedul ulma AlaihirRehma apne Mureedon ki )
Allah ta’ala Unki Qabre Anwar par Rahmat o Noor ki Barish Farmaye. Aameen.
Ye Mazmoon maine Apne  blog ke liye. Aaj 1 Rajab 1444 Mutabiq 24/01/2023 ko Sarkarane Marehra ke Faiz o karam se Likkha Allah Barkaati Faizaan se Mala maal Farmaye. Aameen.

Sunday, January 22, 2023

Apnay Wisaal se pahley hi khabar de di thi Huzur Sayyedul ulma Maulana Syed Shah Aley Mustafa Marehravi Aleyhir Rehma ne

Apnay Wisaal se pahley hi khabar de di thi Huzur Sayyedul ulma Maulana Syed Shah Aley Mustafa Marehravi Aleyhir Rehma ne

Allah walo ko Allah ke karam se Allah ke bataye se annay wali baaten malum ho jaya karti hai
Yeh Auliya Allah par Allah ka khaas Fazlo karam aur ata hua karti hai
Mere walid Hazrat Baba Abdul Qadir Siddiqui Barkati Aleyhir Rehma Bataya kartay thae ki 
Akhari waqat me Jab Hazrat Sayyedul ulma Aleyhir Rehma ki tabiyat kharab Hui tho Aap Habib Hospital me admit thae
Mai apnay peer bhai Ibrahim Gulzar Barkaati aur zahoor bhai Barkati ke sath Hazrat ki aayadat ko gaya .
Hazrat se dono peer bhai baat kartay rahe mai khamosh sunta raha phir Hazrat ne kaha achcha bhai Allah Hafiz maine chaltay chaltay kaha 
Hazrat se Huzur  ek baat puchni thi famaya kaho
Maine kaha Hazrat es Manhoos Qaid khany (Hospital) se aap kab azaad hongye ...Hazrat ko Jalal aagaya aur mujh par bhadak gaya famaya sharam nahi aati, Jahil ho tum, peer ke Araam ki jagah ko manhoos Qaid khana kahtay ho  
Maine Maafi chachi kaha ki Huzur maine hospital ki wajah se kah diya 
Aap kaha rukengye Biwi bachcho ko Milana tha 
 eske baad kaha mulaqat kab kaise hogi
Hazrat ne farmaya "ab hogayi jo mulaqat bas ab kya milna kya Milana , hogaya dedaar jisko hona tha ".
Aap ne farmaya kaan khol kar Suno 
" Meri Reports ki Jhanch ho rahi hai aur Insha Allah peer tak janch mukammal ho jayegi Mai peer ko 10 bankar 40 min par jisko tum Qaid khana kahtay ho ussay azaad ho jaunga 
(Mujhe nahi pata tha ki Hazrat apnay wisal ka din aur time bata rahe hai )
Maine Hazrat se phir kaha Qayam kaha hoga 
Hazrat ne farmaya Bakchoch ho tum Meri Khanqah se achchi jagah kaha hogi 
Maine phir kuch aur puchna chaha Hazrat ne kaha ab chale jao mere peer bhaio ne haath pakda aur hum bahar chale aaye 
10 Jamadil Akhir 1394 Ko peer ka din guzar kar 10.40 min par Hazrat se duniya e Fani se Ruksat hogaye 
Inna lillah hi wa inna illayhi rajioon 
Mai Bhandup me tha mere dost Sufi Ziyauddin sb bhagtay bhagtay Mumbai se Bhandup pahuche aur yeh dard naak khabar di ki
Hazrat ka Wisaal hogaya raat me mai ronay laga aur woh hospital ka manzar woh baaten dimaag me Ghumnay lagi Allahu Akbar Hazrat ne tho 4 din pahley hi bata diya tha lekin main samjh na paya tha bahut afsos karta hua 
Madan pura Sunni Badi Masjid pahucha jaha Hazrat ka Jasad e khaqi rakhkha hua tha.
Akhiri ziyarat ki 
Jhula maidan me Govt of India ki taraf se Topo ki salami pesh ki gayi aur wahi aap ka janaza Huzur Ashraful Ulma Hazrat Sayyed Hamid Ashraf sb ne padhya .
Allah paak Hazaro Rehmaten nazil farmaye mere peer ki Qabar e Anwar par.

Yeh Mazmoon  aaj 29 Jamadil Akhir 1444Hijri   22/01/2023 ko  Apnay blog pe upload ke liye likha hai.
Allah Kubul Farmaye aur Fazian e Huzur Sayyedul ulma se malamaal Farmaye
Aameen
Khandan e Barkaat Zindabad
Moinuddin Siddiqui Barkati
moinbarkati@gmail.com

Friday, January 13, 2023

Sayyed Ulma ne Mumbai me Apna Madarsa kyu nahi banaya |Marehra Sharif | Sayyedul ulma

Huzur Sayyedul ulma ne Apna Madarsa Kyu nahi Banaya ???
Mazmoon: Moinuddin Siddiqui Barkati.

Aaj Har Gaon Me Musalmano ki Har Basti me Aap ko Madarsa milega 
Mumbai me tho Har Mohallah me Ek Madarsa ban gaya hai
Govandi me tho Har Chawl me Ek Madarsa ban gaya hai.
Mumbai me Bade bade Bhi kai Madaris hai ab 
Lekin kabhi aap ne socha ki Huzur Sayyedul ulma Maulana Syed Shah Aley Mustafa Marehravi Aleyhir Rehma ne Mumbai me apna Madarsa kyu nahi banaya ???
Jab ki Puray Hindustan me Har Shaher me Gaon Gaon me jakar madarsa ki buniyad rakhkhi.
Madarsa ka jalsa hota zarur Jaya kartay thae (Es say pata chalta hai ki taleem o Tarbiyat ko kitna ahem samjhtay thae aur uske liye kosish kartay thae )
Lekin Woh Sayyedul ulma Unhonay Mumbai me Apna Madarsa kyu nahi Banaya ???
Es sawal ka jawab yeh hai ki bahut logo ko Yeh pata hi nahi hai ki Mumbai me sab se pahla Jo Sunnio ka Madarsa Yateemkhana Daruluoom Mohammadiya banaya gaya yeh bhi Huzur Sayyedul ulma ki dain hai.
Ji Haan Daruluoom Mohammadiya
Ko Huzur Ashraful Ulma Hazrat Sayyed Hamid Ashraf sb kichochawi Aleyhir Rehma ne Qayam kiya Huzur Sayyedul ulma ke sath unke Mashura se, Huzur Sayyed Miya Mohammadiya ko apna madarsa apna Darul uloom kaha kartay thae aap kahtay thae ki 
Mera ek Beta Hasnain Hai tho ek beta Mohammadia bhi hai.
Bahut Se logo ko yeh baat Malum nahi hai ki Huzur Ashraful Ulma Hazrat Sayyed Hamid Ashraf sb Aleyhir Rehma ko Mumbai lanay wali zaat koi aur nahi thi woh zaat 
Thi Huzur Sayyedul ulma Maulana Syed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Marehravi Aleyhir Rehma ki 
Huzur Ashraful Ulma Ashrafia me padhtay thae waha se jab Dastar e Fazilat Li aap ko Huzur Hafiz e millat ne Ashrafia me hi padhane ke liye rakh liya ....
Jab Sayyed Miya Ashrafia gaye farmaya ki Hamid miya ko mujhe deden enki Mumbai me ziyada zarurat hai Hafiz e millat nahi aanay de rahe thae phir Huzur Sayyedul ulma ke esrar par Aap ne ijjazat di Zakaria masjid me wahabi imam tha Huzur Sayyedul ulma ne badi hiqmat se usko hataya aur Hamid Ashraf sb ko Zakaria masjid ki imamat aur khitabat sunpi .
Huzur Sayyedul ulma aur Hamid Ashraf sb ke bahut gahra rishta tha
Huzur Sayyedul ulma ke paas koi mureed honay aata aap usko kahtay Mufti Azam se mureed ho jao agar koi zid karta ki mujhe Sayyed se mureed hona hai Farmatay Zakariya Masjid chale jao aur Mere Bhai Hamid Ashraf se mureed ho jao.
(Yeh Sayyed Miya ka Badakpan tha apnay chotao se Muhabbat aur unpar shafqat thi ) 

Huzur Sayyedul ulma Jab Muharram me ulma Alag Alag Jagah jatay thae Bayan karne tho sath me aap muhammadiya ki Raseed diya kartay thae.
Eski tarah Ramzaan me mukhtalif Masajid me Huffaz jatay thae unko bhi Sunni jamiyatul ulema bhejti thi 
Unko ki Muhammadiya ki Raseed di jati thi. jaha tak mera Hafiza aur malumaat hai jab tak Sayyedul ulma rahe Mumbai Me Sirf Sirf Mohammadiya chaya raha 
Unkay baad dheeray dheeray 
Madarso bhi bhar maar honay lagi.
Sayyedul ulma ke zindagi me All India Sunni Jamiyatul ulema ki ek Alag hi shaan thi aur waqaar tha
Har masjid me imam Sunni jamiyatul ulema ke daftar se aata tha Muharram me khateeb Daftar se bheja jata tha Taraveeh ke liye Huffaz bhi sari Mumbai aur ahtiraf me Sunni jamiyatul ulema ke daftar se aatay thae.
Yeh sab Baaten aaj ek Tareekh ban gayi hai 
Jo seeno me Mehfooz hai usko yaha es Article ke zariye blog par upload kar raha hu.
Allah Huzur Ashraful Ulma aur Sayyedul ulma ki Qabro par Rehmato ki Barish farmaye .
Aameen
Mazmoon By : Moinuddin Siddiqui Barkati
20 Jamadil Akhir 1444 Hijri 
13/01/2023




Saturday, January 7, 2023

Huzur Sayyedul ulma ki Qurbaniya #marehrasharif #Sayyedululma

Salam e Masnon 
Hum us Zamanay me jee rahe hai 
Jab Beta Baap ko Marnay ke baad 40 din baad ya bahut yaad rakhnay wala hai tho saal bhar yaad rakha phir bhul jata hai..
Aisay me Agar aaj 50 saal baad bhi Sunni Duniya Apnay Qaid Apnay Rehbar Apnay Peshwa Apnay Muqtada yani Gule Gulzaar e Barkatiyat Peer e Tariqat Muqtada e Aley Sunnat Huzur Sayyedul ulma Sanadul Hukma Aaulad e Haider Abul Hasnain Syed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Marehravi ka 50 wa salana Urs e paak mana rahi hai tho badi khushi ki baat hai 
Kam se kam Kuch logo ko yaad tho aayi apnay Mohsin ki.
Warna unkay ahsanaat tho itnay hai ki Har din bhi urs kiya jaye tho Kam hai .
Ek baat lekin jaan lo aisay hi koi kisi ko yaad nahi karta hai, Duniya walo ke dilo par chap chornay ke liye Badi Qurbaniya Deni padhti hai
Apna ghar baar chorna padhta hai 
Jo Qurbaniya Huzur Sayyedul ulma ne pesh kiya hai es Qaum ke liye Woh sonay ke pani se bhi likha jaye tho Kam hai.
Marehra ka woh Sahzada Jiske ek Hukum par Naukar chakar daudh padhtay ho jo ek Badi Haveli me rahta ho woh Mumbai me aakar Ek 10×10 ke Huzrey me rah raha ho
Qaum ko millat ko ek platform par jama karnay ke liye Galli Galli Mohallah Mohallah ek Kar deta ho .
Kabhi Logo ko Ishq e Ahley Bait ka jaam pilane ke liye Galli Galli jakar Niyaz committee banaye kabhi Moharram committee banaye .
Mumbai ki badi masjid ke Bade Maulana agar jail me chale jaye unke liye yeh Sahzada road par nikal kar Madanpura ki galliyo me Sada lagaye ki aaj Jo mehboob e Millat ko chudane me ek Rupya bhi dega Marehra ka Sayyed wada karta hai ki woh Jannat me us waqat tak nahi jayega jabtak apnay sath usko na le jayega.
Bhagalpur me fasaad ho jaye tho Mumbai. Ki khadak masjid ke Hujray me tadapta rahe aur Relief lekar bhagalpur jaye kabhi Bhiwandi ka fasad ho tho bhiwandi jaye..
Masjid e Aqsa ka masla ho tho lakho ka offer thukra de apna Julus alag nikal kar Huqumat tak nahi Duniya tak apni awaaz pahucha den.
Kabhi Wohi Faqeer Masti me aajaye tho PM ko yu Lalkaar de ki Betiya Indira kaan khol kar sunlo Tumhare paas kursi hai tho Humare paas Aytul Kursi hai.
Sirf Mumbai me hi nahi Puray Hindustan me ghoom ghoom kar madarso ki buniyad daali,  Ashrafia Mubarakpur me Hafiz e millat ne Ek Arabic University bananay ka khawab dekha tho Marehra ka yehi Sayyed Apno aur begano ke samnay Seena taan kar khada ho gaya aur us khawab ko Haqiqat me badal diya.
Farmaya Aley Mustafa tumhara hai Hafiz sahab aapka paseena girega humare Barkaati apna khoon baha dengye lekin Ashrafia par aanch nahi aanay dengye.
Kya kya Qurbaniya likhu bas itna sun lo
Feeka pada hai jab bhi kuch rang Sunniyat ka 
Apnay lahu ki rangat Sayyed Miya ne di hai
(Allama Nazmi Marehravi)
Mazmoon by 
Moinuddin Barkati 
Khadim Bazm e Barkaat Aley Mustafa Mumbai
08/01/2023

Friday, January 6, 2023

Jinnat Bhi Mureed thae Huzur Sayyedul ulma Maulana Syed Shah Aley Mustafa Marehravi Aleyhir Rehma ke |Huzur Sayyedul ulma |Maualana Aley Mustafa |#Marehra Sharif

Jinnat bhi Mureed thae Huzur Sayyedul ulma Aleyhir Rehma ke Aur khidmat me aaya kartay thae.
Maine walid (Aashiq e Huzur Sayyedul ulma Hazrat Baba Abdul Qadir Siddiqui Barkati) Jo mureed thae Hazrat Sayyedul ulma ke unsay Baaraha yeh Baat suni ki woh Farmatay hai ki ek Raat Isha baad mai Hazrat ki khidmat me Hazir tha ek Family Hazrat se milnay aayi masjid e khadak ke Hujray me ,
Unkay aatay hi Hazrat ne farmaya sab se khuda Hafiz Sab log ek ek karke Hujray se jane lagye 
Meri aadat thi ki jab tak Hazrat yeh na kah den ki tum bhi chale jao Mai jata nahi tha es liye Mai baitha raha 
Us Family ke Head jo thoda Buzurgo thae Chahray par Dadhi thi ne Hazrat se ishara kiya meri taraf Hazrat ne farmaya aap ko jo kahna hai be jhijak kaho woh Mera Beta hai....... (Yeh unka karam tha mujh siyakaar par) 
Woh sahab apna ghar ka beti damaad ka kuch masla bata rahe thae aur apni Pareshaniya bayan kar rahe thae ...unki baato pe maine kuch khaas dhayan nahi diya Hazrat ne kaha ki aainda haftay aana mai bitya ke liye Taveez bana kar rakhkhunga 
Phir woh log aainada haftay aanay  ka wada kar ke chale gaye .
Jab woh chale gaye Hazrat ne Farmaya Beta Abdul Qadir tum daray tho nahi maine kaha nahi Hazrat mai kyu daru , Hazrat ne farmaya Jantay ho jo log aaye thae woh kaun thae maine kaha ki nahi janta Huzur . Hazrat ne Farmaya woh jinnat log thae jo mere mureed hai aur apnay liye Taveez lene aaye thae.aainda haftay sab Ghar walo ko mureed karane aur Taveez lene aayengye . 
Maine Hazrat se kaha huzur ab aainda haftay bhi aap Mujhe ijjazat deden ki mai aajau jab woh log aayen . pahley Hazrat ne  mana kiya aur phir jab maine bahut esrar kiya tho Hazrat ne aajana ..
Maine Hazrat se pucha ki Huzur eski koi nishani hai jissay enko pahchana ja sake tho Hazrat ne farmaya haa enke haath ghutno se nichay tak aatay hai .
Phir Dusray haftay bhi woh log aaye Hazrat ne sab ko mureed kiya aur mujhse kaha enko shajrah do maine shajrah nikal kar unke hath me diya.
Yeh Mere peer ka karam tha jo insaano ko hi nahi jinnato ko bhi Faiz pahuchata tha jinsay.

Mazmoon By 
Moinuddin Siddiqui Barkati Ibne Hazrat Baba Abdul Qadir Siddiqui Barkati.
13 Jamadil Akhir 1444Hijri
6/01/2023.