Apnay Wisaal se pahley hi khabar de di thi Huzur Sayyedul ulma Maulana Syed Shah Aley Mustafa Marehravi Aleyhir Rehma ne
Allah walo ko Allah ke karam se Allah ke bataye se annay wali baaten malum ho jaya karti hai
Yeh Auliya Allah par Allah ka khaas Fazlo karam aur ata hua karti hai
Mere walid Hazrat Baba Abdul Qadir Siddiqui Barkati Aleyhir Rehma Bataya kartay thae ki
Akhari waqat me Jab Hazrat Sayyedul ulma Aleyhir Rehma ki tabiyat kharab Hui tho Aap Habib Hospital me admit thae
Mai apnay peer bhai Ibrahim Gulzar Barkaati aur zahoor bhai Barkati ke sath Hazrat ki aayadat ko gaya .
Hazrat se dono peer bhai baat kartay rahe mai khamosh sunta raha phir Hazrat ne kaha achcha bhai Allah Hafiz maine chaltay chaltay kaha
Hazrat se Huzur ek baat puchni thi famaya kaho
Maine kaha Hazrat es Manhoos Qaid khany (Hospital) se aap kab azaad hongye ...Hazrat ko Jalal aagaya aur mujh par bhadak gaya famaya sharam nahi aati, Jahil ho tum, peer ke Araam ki jagah ko manhoos Qaid khana kahtay ho
Maine Maafi chachi kaha ki Huzur maine hospital ki wajah se kah diya
Aap kaha rukengye Biwi bachcho ko Milana tha
eske baad kaha mulaqat kab kaise hogi
Hazrat ne farmaya "ab hogayi jo mulaqat bas ab kya milna kya Milana , hogaya dedaar jisko hona tha ".
Aap ne farmaya kaan khol kar Suno
" Meri Reports ki Jhanch ho rahi hai aur Insha Allah peer tak janch mukammal ho jayegi Mai peer ko 10 bankar 40 min par jisko tum Qaid khana kahtay ho ussay azaad ho jaunga
(Mujhe nahi pata tha ki Hazrat apnay wisal ka din aur time bata rahe hai )
Maine Hazrat se phir kaha Qayam kaha hoga
Hazrat ne farmaya Bakchoch ho tum Meri Khanqah se achchi jagah kaha hogi
Maine phir kuch aur puchna chaha Hazrat ne kaha ab chale jao mere peer bhaio ne haath pakda aur hum bahar chale aaye
10 Jamadil Akhir 1394 Ko peer ka din guzar kar 10.40 min par Hazrat se duniya e Fani se Ruksat hogaye
Inna lillah hi wa inna illayhi rajioon
Mai Bhandup me tha mere dost Sufi Ziyauddin sb bhagtay bhagtay Mumbai se Bhandup pahuche aur yeh dard naak khabar di ki
Hazrat ka Wisaal hogaya raat me mai ronay laga aur woh hospital ka manzar woh baaten dimaag me Ghumnay lagi Allahu Akbar Hazrat ne tho 4 din pahley hi bata diya tha lekin main samjh na paya tha bahut afsos karta hua
Madan pura Sunni Badi Masjid pahucha jaha Hazrat ka Jasad e khaqi rakhkha hua tha.
Akhiri ziyarat ki
Jhula maidan me Govt of India ki taraf se Topo ki salami pesh ki gayi aur wahi aap ka janaza Huzur Ashraful Ulma Hazrat Sayyed Hamid Ashraf sb ne padhya .
Allah paak Hazaro Rehmaten nazil farmaye mere peer ki Qabar e Anwar par.
Yeh Mazmoon aaj 29 Jamadil Akhir 1444Hijri 22/01/2023 ko Apnay blog pe upload ke liye likha hai.
Allah Kubul Farmaye aur Fazian e Huzur Sayyedul ulma se malamaal Farmaye
Aameen
Khandan e Barkaat Zindabad
Moinuddin Siddiqui Barkati
moinbarkati@gmail.com
No comments:
Post a Comment