Total Pageviews

Thursday, July 20, 2023

Biography Hazrat Syed Aley Rasool Hasnain Miya Nazmi | Marehra Sharif

Hazrat Allama Sayyed Shah Aley Rasool Hasnain Miya Nazmi Marehravi
Aleyhir Rehma

Naam : Syed Aley Rasool Hasnain 
Tareekhi Naam : Sayyed Fazlullah Qadri (1365) 
Payar se Ghar ka Naam: Hasnain Haider 
Takhallus  : Nazmi 

Yaume Wiladat :  6 Ramzaan 1365 ba mtabiq 4 August 1946

Maqam e Wiladat  : Marehra Sharif. Dist Etah UP India 

Walid e Mohtaram: Huzur Sayyedul Ulma Hazrat Maulana Syed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya

Bait o Khilafat : Apnay Walid e Majid Huzur Sayyedul Ulma Hazrat Allama Sayyed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Aleyhir Rehma se hai.
Sath hi Aap ko Aap ke Chacha Huzur Ahsanul ulma Hazrat Allama Maulana Mufti Syed Mustafa Haider Hasan Miya sb Marehravi Aleyhir Rehma se bhi Tamam salasil ki Ijjazat o Khilafat thi.
Es ke alawa Masauli Sharif ke Sayyed Shah Habib Ahmed sb Aleyhir Rehma  ne bhi Apni Khilafat se Nawaza tha.

Taleem O Tarbiyat: 
Aap Ne Jamia Milliya Islamiya se BA aur Islamiaat ki Degree hasil ki
Allahabad Borad se aalim Ki degree Hasil ki
14 Zabaane Jaantay thae 
Jisme Arabic Urdu English par kaafi achchi pakad thi
Es ke alawa Hindi Gujrati Sanskrit Aur Marathi bhi bahut hi umda bola aur  likha kartay thae. 
IIS Ka Exam Pass kiya aur phir 
All India Radio me sr Correspondent rahe, Durdarshan me director rahe .
Phir 3 States ke Director ban kar Retire hue .

Roohani Taleem : Machli ke bachcho ko Tairna koi sekhata nahi hai
Sher ko dhaardna koi seekhata nahi hai ,
 Apnay Walid e Majid aur chacha Ahsanul ulma se aur Huzur Tajul ulma se Iktebaas e Faiz hasil kiya 

Sajjadgi :- 
Aap ko Aap ke Walid e Majid ne apni Wasiyat me Apna Janasheen Muqarrar Farmaya 
Ulama aur Mashaikh ki Maujoodgi me Aap Ko Apnay Walid ke 40 ve din Masnad e Ghausiya Aley Ahmediya par bithaya gaya Dastaar Huzur Ahsanul ulma Ne Shuru ki aur Mufti e Azam Maulana Mustafa Raza ne apnay hatho se Dastaar Mukammal farmayi .


Ilm O Adabi Duniya me Bahut badi khidmat hai aap ki
Kai kahaniya Kai Adabi Novel aur kai Rasaail me mazmoon wagaira likhate Rahe.

Shayri : Shuru Shuru me Bahariya shayri farmayi aur phir Naat o Manqabat likhna shuru kiya 
Sab se pahley A'ala Hazrat Fazil e Barelvi Ki 17 Na'aton par Tazmeen kahi 
Jo Faiz e Kilk e Raza ke naam se Shaan e Na'at e Mustafa  ke Naam se Shaye hua.
Phir 
Maddah e Mustafa 
Tanveer e Mustafa 
Irfan e Mustafa 
Nawajish e Mustafa 
Naatiya Deewaan Shaye hua 
Uske baad sab Ko Milakar
Ba'd az Khuda 
ek Bada Naatiya Deewaan Bazm e Barkaat Aley Mustafa ne shaye kiya.

Ilmi Kaarnama : 
Aap ne Mukhtalif Mauzu par
Bahut Bada zakheera Ahley Sunnat wal Jamaat ke liye choda hai 
Sab se bada kaam aap ka 
Tafseer e Quraan Hai jo Islamic Encyclopaedia Dictionary to the Glorious Quran "Nazme Illahi " likhi Jo Surah Fatiha aur Surah Baqra sharif Ki Mukammal Tafseer hai 
Yeh Jamaat e Ahley Sunnat me Pahli English Tafseer hai Jo likhi gayi ......Surah Aley Imran ki bhi Tafseer aap ne shayad likh diya tha lekin woh Print nahi ho payi....... Hazrat ka irada pahley Puray Quran ki tafseer ka tha phir Tabiyat kharab ho Jane se aap ne Rok diya.

Dusra Bada hi Ahem Kaarnama Aap ka hai
Quran e Azeem ka Tarjuma Kanjul Imaan ka Hindi me Tarjuma sab se pahle aap ne kiya aur Hindi padhne wale Hindi Musalmano par bahut bada ahsaan hai Jisay rahti Duniya tak yaad kiya jayega 
Es ka Naam Kalamur Rehman rakhkha sirf Tarjuma kanzul Imaan  ka hi translation nahi kiya balki Tafseer e Khazainul Irfaan Ka bhi Tarjuma kiya hai
Yeh woh kaam hai Jise sonay ke pani se bhi likha Jaye tab bhi Haq ada na hoga .

3 ra Aap ka Ilmi Shaahkaar hai
Kitab " Kya Aap Jaantay hai "?????
900 pages ki yeh Kitab Apnay Aap me ek Ilmi khazana hai
Sarkar e Nazmi ke ilm ka bolta hua shaakar hai
Yeh kitab kai baar Urdu aur Hindi me chapi aur khaas o aam me bahut Maqbool hui.
Islamic madaris me Balki Har school ki Library me esko hona chahiye.
Eske Alawa Urdu Hindi English me 40 se Ziyada Kitabe Aap ne likhi hai
Khandan e Barkaat Me Huzur Tajul ulma Aleyhir Rehma ko Musannif e Kaseera kaha jata tha Lekin Unke Faiz o karam se Puray khandan me Sab se ziyada kitaben likhne ka Record Hazrat e Nazmi Miya ne Apnay Qalam se thoda.
Chand Mashoor o Maroof 
Kitaben hai
1) Nazme Illahi
2) Kalamur Rehman
3) kya aap Jantay hai 
4) Gustakhi maaf
5) Zibhe Azeem 
6) Islam Religion ultimate
7) The way to be
8) Destination paradise
9) The Great Beyond
10) Sab se Bada Allah ka Rishta
11) Madine me Marna
12) Ghar angan Milaad

Es ke illawa kai Mazmoon
Aur kai kitabo par Mukadma 
(Prephase ) Tahreer farmaya hai
Kai kitabo ko Translate bhi Kiya hai.
(Nazmi Miya ki Qalami khidmat par ek alag se Mazmoon jald aayega Insha Allah)

Aap 40 saal se Ziyada Masnad e Sajjadgi par Ronak afroz rahe ...Chahtay tho aap ke lakho laakh Mureed aur Hazaaro Khalifa hotay
Magar Aapne  peeri Mureedi ko Business nahi banaya 
Bas Koi Talib e Sadiq aaya aur Hazrat ko laga ki kaam ka hai tho Mureed kar liya 
Warna kai kai setho ko 
Kai ulma ko kai logo ko wapas kartay bhagaty hue dekha hai Maine.

Kashf o karamat :
Hazrat ki Ammi jaan Ne Farmaya Lalla bahut Jalali hai 
Jab Kuch bol dete hai apne Jazb me tho woh ho jata hai
Ek baar ka waqiya  hai ki Aap Tafseer e Qur'aan ka kaam kar rahe thae Type writer par Type kar rahe thae 12 baje tho Gadi ne Tan Tan Tan ghanti bajana 
Shuru kiya Hazrat ko distrub hua ek awaaz di Chup tho woh chup ho gayi...
Kai Ghadi walo ko dikhaya gaya....sab kahtay sab sahi hai par bolti nahi hai
Company me Humare peer Bhai ne bheja waha se bhi check hokar aagyi par boli nahi.
(Bolti bhi kaise Allah wale kaha hai chup tho chup hi rahna hai )
Bahut sarey aise Waqiyat hai mazmoon taveel ho jayega es liye aainda phir kabhi bayan kiya jayega.......

Aulaad :
1) Hazrat Waqare Millat 
Maulana Sayyed Sibtain Haider Zaidi Barkati
2) Hazrat Sayyed Shah Safi Haider Zaidi Barkati
3) Hazrat Sayyed Zulfiqar Haider Zaidi Barkati 
(Ek Sahabzade ka Bahut Bachpan me Intaqal hogaya
Naam Malum nahi)

Hazrat ko 3 Bete hai Koi Beti nahi hai.

Aap Ke Khulfa 
http://barkaati92.blogspot.com/2016/03/khulfaye-khandane-barkaat-mumbai.html?m=1

Mumbai ke Khulfa ki list 
Es link par available hai 
Enke alawa 
Allama Mufti Shariful Haq Amjadi Aleyhir Rehma
Allama Ziyaul Mustafa Qadri
Maualana Basheer Qadri Orai 
Sayyed Dilshad sb Sultanpur
Qari Naseem Akthar Sb Maghar 
Mufti Amanullah Razvi Gonda
Mufti Anwar Ahmed Qadri 
Indore
Maulana Salman Azhari
Maulana Abdul Haadi South Africa 
Mufti Abu Talib sb Sultanpur
Enke Alawa bhi kai log Hazrat ke khalifa hai 
Magar es waqat Zahen me unke Naam yaad nahi aa rahe hai 
Insha Allah Jaise jaise yaad aaye ya kisi ne bataya tho List update kar dunga.

Khususiyat :
Itni Badi Khanqah ke Sajjadah thae magar bahut Simple life thi Khane pinay Me Koi takalluf nahi Sada khana ziyada pasand kartay thae Simple se kurta pajama aur Barkati Topi ya Do palli Topi pahantay thae.
Machli pasand thi.
Aap ke sath Log Aagye pichey chalen,haat band kar samne khade rahe Bilkul pasand na tha.
Koi Chappal Juta Utha le Sakth Naraz hua kartay thae .
Badi Mushkil se hath chumnay dete thae pair chumnay par bahut bahut Naraaz hotay thae. Farmaya kartay Mujhe chuma chati yeh Bilkul pasand Nahi hai.
Bahut Saad go insaan thae Hamesha Haq baat Kiya kartay thae. 

Mureedo Se Muhabbat:
Apnay mureedo Ko bahut chahtay thae. itna chahtay Aur mantay ki sab kahtay Hazrat mujhko ziyada chahtay hai.
Gareeb Mureedo Ki Band Muththi Imdad bhi kiya kartay thae...

Wisaal:-
1 Muharram 1435 Hijri mutabiq 6 November 2013 ko Mumbai me Intaqal farmaya 
Namaz e Janaza aap ke Bade Sahabzade Sayeed Shah Sibtain Haider Barkati ne padhai.
Dusri namaz e janajah Marehra Sharif me Ulma aur Mashaikh ne Ada ki
Aur 2 Muharram ko Zohar baad Khanqah Sharif me Hazaro chahne walo ne nam aankho se Supurd e khaq kiya 
Allah ki Rehmaten ho Unki Qabar ne Anwar par.

Nazmi Kafan me yu hi nahi Muskuraye hai
Dedaar e Mustafa ki usay Puri aas hai.
Nazmi ko apnay Nasab par ghamand nahi magar
Haan yeh ki Mustafa ke gharane ka daas hai.

Nazmi Teri Naato ka Andaaz Nirala hai
Mazmoon anokhe hai ashaar ko kya kahiye


Hazrat ke 10 ve urs e Mubarak par yeh mazmoon mukammal yahikar raha hu.
Allah Kubul Farmaye aur Murshid ke Faizaan se Malamal Farmaye aameen

Mazmoon by: Moinuddin Siddiqui Barkati. (Bsc.B.ed)
Barkati Manzil khindipada Bhandup West Mumbai 78.
1St Muharram 1445 
20 July 2023.





 



No comments:

Post a Comment