Total Pageviews

Friday, January 6, 2023

Jinnat Bhi Mureed thae Huzur Sayyedul ulma Maulana Syed Shah Aley Mustafa Marehravi Aleyhir Rehma ke |Huzur Sayyedul ulma |Maualana Aley Mustafa |#Marehra Sharif

Jinnat bhi Mureed thae Huzur Sayyedul ulma Aleyhir Rehma ke Aur khidmat me aaya kartay thae.
Maine walid (Aashiq e Huzur Sayyedul ulma Hazrat Baba Abdul Qadir Siddiqui Barkati) Jo mureed thae Hazrat Sayyedul ulma ke unsay Baaraha yeh Baat suni ki woh Farmatay hai ki ek Raat Isha baad mai Hazrat ki khidmat me Hazir tha ek Family Hazrat se milnay aayi masjid e khadak ke Hujray me ,
Unkay aatay hi Hazrat ne farmaya sab se khuda Hafiz Sab log ek ek karke Hujray se jane lagye 
Meri aadat thi ki jab tak Hazrat yeh na kah den ki tum bhi chale jao Mai jata nahi tha es liye Mai baitha raha 
Us Family ke Head jo thoda Buzurgo thae Chahray par Dadhi thi ne Hazrat se ishara kiya meri taraf Hazrat ne farmaya aap ko jo kahna hai be jhijak kaho woh Mera Beta hai....... (Yeh unka karam tha mujh siyakaar par) 
Woh sahab apna ghar ka beti damaad ka kuch masla bata rahe thae aur apni Pareshaniya bayan kar rahe thae ...unki baato pe maine kuch khaas dhayan nahi diya Hazrat ne kaha ki aainda haftay aana mai bitya ke liye Taveez bana kar rakhkhunga 
Phir woh log aainada haftay aanay  ka wada kar ke chale gaye .
Jab woh chale gaye Hazrat ne Farmaya Beta Abdul Qadir tum daray tho nahi maine kaha nahi Hazrat mai kyu daru , Hazrat ne farmaya Jantay ho jo log aaye thae woh kaun thae maine kaha ki nahi janta Huzur . Hazrat ne Farmaya woh jinnat log thae jo mere mureed hai aur apnay liye Taveez lene aaye thae.aainda haftay sab Ghar walo ko mureed karane aur Taveez lene aayengye . 
Maine Hazrat se kaha huzur ab aainda haftay bhi aap Mujhe ijjazat deden ki mai aajau jab woh log aayen . pahley Hazrat ne  mana kiya aur phir jab maine bahut esrar kiya tho Hazrat ne aajana ..
Maine Hazrat se pucha ki Huzur eski koi nishani hai jissay enko pahchana ja sake tho Hazrat ne farmaya haa enke haath ghutno se nichay tak aatay hai .
Phir Dusray haftay bhi woh log aaye Hazrat ne sab ko mureed kiya aur mujhse kaha enko shajrah do maine shajrah nikal kar unke hath me diya.
Yeh Mere peer ka karam tha jo insaano ko hi nahi jinnato ko bhi Faiz pahuchata tha jinsay.

Mazmoon By 
Moinuddin Siddiqui Barkati Ibne Hazrat Baba Abdul Qadir Siddiqui Barkati.
13 Jamadil Akhir 1444Hijri
6/01/2023.
 

No comments:

Post a Comment