Zindagi peer par kiya Qurban
Hazrat e Abdul Qadir ne
Apni alag banai pahchaan
Hazrat e Abdul Qadir ne
Kiya aabaad khindipada apney Qadam se
Basaya yaha Musalman
Hazrat e Abdul Qadir ne
Na darey kabhi Batil se na kabi ghabray
Aisi payi shaan
Hazrat e Abdul Qadir ne
Ab na bolunga aainda se Takrir kabhi
Akhari kiya yeh Ellan
Hazrat e Abdul Qadir ne
Hazrat e Nazmi ke diwanay
Hazrat e Sayyed ke Shaidai
Zindagi peer par kiya Qurban
Hazrat e Abdul Qadir ne
Masjid banai Madrasa banaya aur Muslim Jamat
Phir Banayi Qabristan
Hazrat e Abdul Qadir ne
Kabi Taveez kabhi dua kabhi utara logo ka
Aisi bachayi jaan
Hazrat e Abdul Qadir ne
Ishq me peer ke lagatay Nara hardam
Ghar baar bhi kiya Qurban
Hazrat e Abdul Qadir ne
28 Jan 2022 ko yeh Chand jazbaat hai dil ke jo Qalam band kar diya hai
(Radeef Kaafiya Sher ka wazan na dekhna Yeh Muhabbat aur aqidat ke alfaaz hai bas )
Moinuddin siddiqui Barkati
Barkati Manzil khindipada Dargah Road Bhandup West Mumbai 78
No comments:
Post a Comment