Total Pageviews

Friday, January 27, 2023

Apnay Walid ke Station par Qadam chumte thae Huzoor Sayyedul ulama

Apnay Walid ke Station par Qadam chumte the Huzoor Sayyedul ulama

Mere walid Hazrat Baba Abdul Qadir Siddiqui Barkati
Huzur Sayyedul ulama Rehmatullah Alaih ke Mureed the
Apne peer par bada naaz tha har mu’aamle  me peer ki Nigrani thi, Shafqat thi, Muhabbat thi 
Apne Walid se ziyada muhabbat karte the 
Walid sb Gaon Gaye the wahan Dada se Abba ki kuch baat ho gayi or dada ne ghusse me aakar Ghar se nikal diya , Walid saheb Farmate  hain ke
Mujhe bada naaz tha ki ek baap ne nikala tho kya lekin Mera Roohani Baap abhi Zinda hai , Mai bhi ghar se nikalkar Mumbai aa gaya
Saman Qazi Mohallah me rakhkha naha dhokar seedha khadak Masjid ke Darwaze par ponhach gaya.
Bade Naaz aur Aqidat o muhabbat se Peer saheb se milne ponhcha abhi seedhiyan Chad kar andar aana jane ki ijjazat talab ki Farmaya tumhare liye faqeer ke Darwaze band hain 
Allahu Akbar 
ye sunkar pairo se zameen hil gayi .
Hazrat ne farmaya " Natay  Baba se ladkar aaye ho aur yeh samjhate  ho ki Aaley Mustafa ke daman me panah  milegi kabhi nahi ,mera Shajrah jama kardo aur nikal jao yahan se ".
Walid saheb Kahte hain mai khada rota raha meri kuch sun to lo aap ne kaha kuch nahi sunna hai Jiska Maa baap naraz uska peer us se khush nahi reh sakta hai….
Walid sb kehte hain mai Khadak masjid se utar aaya aur khudkushi karne ke irade se Muhammad Ali road par khada ho gaya ki bus aayegi uske neeche let jaunga
Magar jane kis soch or fikar me tha ki bus aayi bhi chali bhi gayi mujhe kuch pata nahi chala mai apni Qismat ko koste hue khada raha phir Chembur ki bus aayi aur mai usme baith kar chembur chala  gaya.....
Tayyab bhai ke karkhane par baitha tha achanak Sharab ki boo aayi aur ek mangne wala samne khada tha or char aane ka sawal kar raha tha maine us se kaha maaf kar den aur aage badh ja woh zid karne laga mujhse ghussa aa gaya. Mujhe woh kehne laga ek sher sunata hu 
Pahle misra Tera Mazi hai aur dusra Tera mustaqbil hai
Abba kehte hain jab us ne Mazi aur mustaqbil kaha mera matha thanka usne sher sunaya (Ittefaq aisa hai woh sher mai bhul raha hu yaad nahi aa raha hai )
Sher sunaya to Sharab ki boo jo aa rahi thi sab ghayab ho gayi
Mai ne kaha baith jao usne kaha nahi ab 8aana de Haroon Rasheed ke jannat dekhne ke baad Behlol ne Qeemat badha di thi, Allah u Akbar yeh marifat ki baaten karne wala koi aam bheekari nahi lag raha tha woh gaya phir aaya aur usne 2 sher sunaye
" Dedaar e Tajalli ki khatir Kuchh Toor pe jana Shart nahi 
Jab chahenge is aaina-e dil me Tera Nazara kar lenge
Usnay kaha sun peer ko Masjid me dhuntha hai peer Dil me rahta hai Dil me....".
Phir us Faqeer ne kaha nasihat deta hu yeh Mustaqbil ka sher bhi sunlo
Do roza Hayaat Apni Bande Mauqoof hai uski marzi par
Ab Dard mile ya chain mile har tarha Guzara kar lenge 

Phir Abba kahte hain usne mera hath pakda or bus stop par aaya hum dono bas me baithe achanak mujhe ek neend ka jhoka aaya aur woh baba Ghayab ho gaye.
Mai Bhandup me kuch din raha phir ek din Mere peer bhai Molvi Sakhawat Ali saheb (Khalifa sb ko us waqat khilafat nahi mili thi) mujhe dhundhte Dhundte Bhandup aaye 
Dargah Gaiban Shah Qadri Aleyhir Rehma ke aastane par
Bhandup se paidal chalkar.
Mere paas na ghar tha na dar ek Wali ki chaukhat par mai pada rahta tha khat mit ka jhaad tha uski ke nichay so jata tha jab Molvi sb aaye maine ek chai li hum dono ne Piye maine phool wali se bhaday par ek chatai Li Khalifa sb ke paas ek bag raha karta tha usi ka takiya banaye aur so gaye Subah Sakhawat bhai ne kaha ki peer sb ne bulaya hai chalo khadak Mai fauran tayyar hua aur Mumbai khadak masjid ponhcha Hazrat ne kaha Bohot bade Baba ban gaye ho tumko bulana padhta hai
aap ne  bohot danti diye phir seene se lagakar bohot piyaar kiya aur duaayen di 
Or  Samjhaya ki Beta Maa Baap ka Darja bohot buland hai unka Dil na dukhao unki Raza me Allah ki Raza hai.
Phir Farmaya mai All India Sunni Jamiyatul ulama ka sadar hun , Itna bada Mufti hu , Imam hu hazaro log Mere Qadam chumte hain lekin jab mai Marehra jata hu Mere Nannu bhai (Mere walid ) mujhe station lene aate hain
Mai unko dekhte hi Unke 
Qadmo par gir jata hun unke Qadmo ka Bosa leta hu
Aap ne farmaya mere walid ne dadhi nahi rakhkhi hai abhi 
Mai unpar fatwa nahi lagata mai unko Fasiq nahi kehta Balke unke Qadmo par girke unke Qadam chumta hu
Or uski ye Barkat hai ke Aaj Zamana Mere Qadam choomta hai. (Aisi taleem o Tarbiyat kiya kartay the Huzur Sayyedul ulma AlaihirRehma apne Mureedon ki )
Allah ta’ala Unki Qabre Anwar par Rahmat o Noor ki Barish Farmaye. Aameen.
Ye Mazmoon maine Apne  blog ke liye. Aaj 1 Rajab 1444 Mutabiq 24/01/2023 ko Sarkarane Marehra ke Faiz o karam se Likkha Allah Barkaati Faizaan se Mala maal Farmaye. Aameen.

1 comment: