Ustaz ki Maar aur Huzur Sayyedul ulma
Hazrat Maulana Syed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Marehravi Aleyhir Rehma
Ustaz ka Bada maqam hua karta hai Duniya me Ustaz ka Darja Maa Baap ke baad sab se bada hai
Jisne mujhe ek Haraf sikhaya Mai uska Gulam hu aur Mai uska khadim hu
(Farmaan e Murtuza Ali )
Aaj Ustaz ki itni izzat nahi hoti hai Aaj bachchay Teacher ko
Woh izzat aur ahtaram nahi dete jo Humare buzurg diya kartay thae.
Aao aisa hi ek waqaia Huzur Sayyedul ulma Maulana Syed Shah Aley Mustafa Marehravi ka hai jab Ustaz ne Hazrat ko Peet diya Hazrat ki zubani hi sunay pura waqiya
" Ek din Humare Hafiz ji ne Hame Peet diya , Rotay hue Ghar pahuche jakar Apnay Mamu jaan se faryaad ki
Kya kaha Hafiz ji se itmenan se Suniyeh batayen
Allah u Akbar
Gaye thae ki Mamu se karengye Faryaad tho Mamu Hafiz ji ko bula kar kahengye
Hafiz ji Bachchay ko aisa Martay ho tum ! Bajaye eske Mamu ne apnay Hath ko Tedha karke ek Lafa jat Se Humare kandhay par Inayat farmaya.
Subhan Allah
Achchi Faryaad lekar aaye aap ke paas ek tho wahi se pitay pitaay aaye thae, ek tho aap ne hame aur Peet diya.
Eske baad Farmaya " Oh Nabakaar Ustaz ki Shikayat karta hai hamare aagye," Sun
" Humnay jis waqat tumhe Maktab bhejwaya tha Hafiz ji se Humnay kah diya tha ki "Eska Gosht tumhara hai aur Haddiya Humari hai".
Humne kaha theek hai sahab !
Phir woh Hafiz ji peet-tay khoob Peet-tay Aur yeh Jo kuch aap ke samnay hai Hafiz ji ke peetnay ka natija hai.
Aur agar woh peetay nahi hotay tho yeh nahi hotay.
(Khutabat e Huzur Sayyedul ulma page no 88-89)
Es wakiya se Jo sabaq mila woh yeh ki Ustaz ki maar humare liye faidamand hoti hai aur maar khakar bachchey
Mehnat se ilm hasil kartay hai.
Article by:
Moinuddin Siddiqui Barkati
Email moinbarkati@gmail.com
9821656862
20/2/2023
No comments:
Post a Comment