Total Pageviews

Friday, January 13, 2023

Sayyed Ulma ne Mumbai me Apna Madarsa kyu nahi banaya |Marehra Sharif | Sayyedul ulma

Huzur Sayyedul ulma ne Apna Madarsa Kyu nahi Banaya ???
Mazmoon: Moinuddin Siddiqui Barkati.

Aaj Har Gaon Me Musalmano ki Har Basti me Aap ko Madarsa milega 
Mumbai me tho Har Mohallah me Ek Madarsa ban gaya hai
Govandi me tho Har Chawl me Ek Madarsa ban gaya hai.
Mumbai me Bade bade Bhi kai Madaris hai ab 
Lekin kabhi aap ne socha ki Huzur Sayyedul ulma Maulana Syed Shah Aley Mustafa Marehravi Aleyhir Rehma ne Mumbai me apna Madarsa kyu nahi banaya ???
Jab ki Puray Hindustan me Har Shaher me Gaon Gaon me jakar madarsa ki buniyad rakhkhi.
Madarsa ka jalsa hota zarur Jaya kartay thae (Es say pata chalta hai ki taleem o Tarbiyat ko kitna ahem samjhtay thae aur uske liye kosish kartay thae )
Lekin Woh Sayyedul ulma Unhonay Mumbai me Apna Madarsa kyu nahi Banaya ???
Es sawal ka jawab yeh hai ki bahut logo ko Yeh pata hi nahi hai ki Mumbai me sab se pahla Jo Sunnio ka Madarsa Yateemkhana Daruluoom Mohammadiya banaya gaya yeh bhi Huzur Sayyedul ulma ki dain hai.
Ji Haan Daruluoom Mohammadiya
Ko Huzur Ashraful Ulma Hazrat Sayyed Hamid Ashraf sb kichochawi Aleyhir Rehma ne Qayam kiya Huzur Sayyedul ulma ke sath unke Mashura se, Huzur Sayyed Miya Mohammadiya ko apna madarsa apna Darul uloom kaha kartay thae aap kahtay thae ki 
Mera ek Beta Hasnain Hai tho ek beta Mohammadia bhi hai.
Bahut Se logo ko yeh baat Malum nahi hai ki Huzur Ashraful Ulma Hazrat Sayyed Hamid Ashraf sb Aleyhir Rehma ko Mumbai lanay wali zaat koi aur nahi thi woh zaat 
Thi Huzur Sayyedul ulma Maulana Syed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Marehravi Aleyhir Rehma ki 
Huzur Ashraful Ulma Ashrafia me padhtay thae waha se jab Dastar e Fazilat Li aap ko Huzur Hafiz e millat ne Ashrafia me hi padhane ke liye rakh liya ....
Jab Sayyed Miya Ashrafia gaye farmaya ki Hamid miya ko mujhe deden enki Mumbai me ziyada zarurat hai Hafiz e millat nahi aanay de rahe thae phir Huzur Sayyedul ulma ke esrar par Aap ne ijjazat di Zakaria masjid me wahabi imam tha Huzur Sayyedul ulma ne badi hiqmat se usko hataya aur Hamid Ashraf sb ko Zakaria masjid ki imamat aur khitabat sunpi .
Huzur Sayyedul ulma aur Hamid Ashraf sb ke bahut gahra rishta tha
Huzur Sayyedul ulma ke paas koi mureed honay aata aap usko kahtay Mufti Azam se mureed ho jao agar koi zid karta ki mujhe Sayyed se mureed hona hai Farmatay Zakariya Masjid chale jao aur Mere Bhai Hamid Ashraf se mureed ho jao.
(Yeh Sayyed Miya ka Badakpan tha apnay chotao se Muhabbat aur unpar shafqat thi ) 

Huzur Sayyedul ulma Jab Muharram me ulma Alag Alag Jagah jatay thae Bayan karne tho sath me aap muhammadiya ki Raseed diya kartay thae.
Eski tarah Ramzaan me mukhtalif Masajid me Huffaz jatay thae unko bhi Sunni jamiyatul ulema bhejti thi 
Unko ki Muhammadiya ki Raseed di jati thi. jaha tak mera Hafiza aur malumaat hai jab tak Sayyedul ulma rahe Mumbai Me Sirf Sirf Mohammadiya chaya raha 
Unkay baad dheeray dheeray 
Madarso bhi bhar maar honay lagi.
Sayyedul ulma ke zindagi me All India Sunni Jamiyatul ulema ki ek Alag hi shaan thi aur waqaar tha
Har masjid me imam Sunni jamiyatul ulema ke daftar se aata tha Muharram me khateeb Daftar se bheja jata tha Taraveeh ke liye Huffaz bhi sari Mumbai aur ahtiraf me Sunni jamiyatul ulema ke daftar se aatay thae.
Yeh sab Baaten aaj ek Tareekh ban gayi hai 
Jo seeno me Mehfooz hai usko yaha es Article ke zariye blog par upload kar raha hu.
Allah Huzur Ashraful Ulma aur Sayyedul ulma ki Qabro par Rehmato ki Barish farmaye .
Aameen
Mazmoon By : Moinuddin Siddiqui Barkati
20 Jamadil Akhir 1444 Hijri 
13/01/2023




1 comment:

  1. Masha Allah,
    Khoob likha aap ne, Allah aapko huzoor sayyedul ulama rahimahullah ke faizan o karam se khoob mala maal farmaye aur din o duniya ke barakaat se nawaze.

    ReplyDelete