Total Pageviews

Monday, November 3, 2025

Happy wala Birthday

 Alhamdulillah 

Zindagi ka 50 va Birthday 

Madina me kiya 

Aur 51.wa Birthday 

Barkati manzil me

In Sha Allah 


Es zindagi me Alhamdulillah aap Sab ka bahut payar dekha muhabbat dekhi 

Shafqat dekhi 

Maa Baap ne pala posa

Muhabbaten di 

Shafqat e di 

 Biwi ne shadi baad Sahara diya payar diya sukoon diya aur Himmat o Hausla diya 

Bachcho ne Ankho ko thandak aur dil ko Rahat di

Baheno ne payar o Muhabbat ko badhaya 

Kabhi hansaya kabhi rulaya 

Aaj Bhi Himmat aur Sahara deti hi hai.... kabhi kabhi Dil se Duaen bhi...

Dosto ke Bina zindagi Badi hi adhuri hai

Dukh sukh me sath sath 

Kabhi Khushi kabhi gham

Kabhi Dukh Dard baant Diya kabhi badha diya 

Kabhi Zakham lagye aur Kabhi zakham badha diya 

Kabhi aisa payar diya ki Hum sab dukh dard bhul gaye .....

Zindagi ke es safar me bahut kuch khoya 

Bahut kuch paaya 

Allah ne Har cheez se Nawaza uska Shukr hai 

Allah Izzat diya Soharat di

Taqat diya Himmat diya 

Har saans ke badley uska Shukr ada karu tho kam hai

Choti si umr me Talib e Ilm bana Aur Muallim e kainaat ke Sadqe  Muallim bhi ban gaya. MUREED BANA 

Muraad Bana 

Peeranay Marehra ke sadqe me Peer bhi ban gaya.



Momin ki yeh pahchan hai 

Simtay tho mushte khaq aur failay tho zamana .


Ummed hai ki Khushi ke es Mauke par Aap sab 

Duao se nawazen gye


Aap ka Moinuddin Siddiqui Barkati 


Thursday, June 26, 2025

SURAH Fatiha Ke Alag Alag Naam aur Fazilat


🌺 Surah Al-Fatiha – Fazilat, Naam, Waqia aur Maloomat (Tajweed ke Saath Tilawat aur Manzil-e-Iman ka Tarjuma)


Surah Al-Fatiha Qur’an Majid ki pehli surah hai jo itni badi ahmiyat rakhti hai ke ise “Umm al-Qur’an” yaani Qur’an ki Maa kaha gaya hai. Is surah mein poore Qur’an ka paighaam mukhtasir taur par samaya hua hai — Tauheed, Risalat, Ibadat, Hidayat aur Dua.

📍 Nuzool ka Maqam (Kahan Nazil Hui?)

Surah Al-Fatiha ka nuzool Makkah mein hua, is liye yeh ek Makki Surah hai.

🔢 Aayaton ki Tadad

Is surah mein 7 Aayatein hain. Isi wajah se isay Qur’an mein “As-Sab‘ al-Mathani” bhi kaha gaya hai.


📘 Kaun se Para (Juz) Mein Hai?

Yeh surah Pehle Para (Juz 1) mein hai. Qur’an ki shuruaat isi se hoti hai.


🌿 Surah Al-Fatiha ke Naam


1. Al-Fatiha – Shuruaat karne wali

2. Umm al-Kitab – Kitab ki maa

3. Umm al-Qur’an – Qur’an ki maa

4. As-Sab‘ al-Mathani – Saat dohrayi gayi aayatein

5. Al-Hamd – Tareef

6. As-Salah – Namaz

7. Ash-Shifa – Shifa dene wali

8. Ar-Ruqyah – Jadoo aur bimari se hifazat

9. Al-Kanz – Khazana

🕋 Surah Al-Fatiha – Tilawat aur Tarjuma (Manzil-e-Iman se)

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

Bismillāhir-Raḥmānir-Raḥīm

 Allah ke naam se Shuru , jo bara Meherban nihayat Reham karne wala hai.


الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ

Al-ḥamdu lillāhi Rabbil-‘ālamīn

Sab tareefein Allah ke liye hain jo saare jahan ka paalnewala hai.


الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

Ar-Raḥmānir-Raḥīm

Jo bara Meherban, nihayat Reham karne wala hai.


مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ

Māliki Yawmid-Dīn

Jo Roz-e-Jaza (Qayamat ke din) ka malik hai.


إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ

Iyyāka na‘budu wa iyyāka nasta‘īn

Sirf Tujhi ki hum ibadat karte hain, aur Sirf Tujhi se madad maangte hain.


اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ

Ihdinaṣ-ṣirāṭal-mustaqīm

Humein seedha raasta chala .


صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّينَ

Ṣirāṭal-lażīna an‘amta ‘alaihim ġairil-maġżūbi ‘alaihim wa laż-żāllīn

Un logon ka raasta jin par Tu ne apna in’aam kiya, na ke un par jin par ghazab hua, aur na hi jo gumrah hue.


📜 Fazilat – Ahadith ki Roshni Mein


✅ Sabse Azeem Surah

Nabi Kareem ﷺ ne farmaya:

"Kya main tumhein Qur’an ki sabse azeem surah na bataoon?"

Phir farmaya: "Woh Surah Al-Hamd Lillahi Rabbil Aalamin hai."

— (Sahih Bukhari)


✅ Shifa ka Zariya

Nabi ﷺ ne farmaya:

"Surah Al-Fatiha har bimari ke liye shifa hai."

— (Bayhaqi)


✅ Har Rakat Mein Lazmi

Nabi ﷺ ne farmaya:

"Jis ne aisi namaz padhi jisme Umm al-Qur’an (Fatiha) nahi padhi, uski namaz mukammal nahi."

— (Sahih Muslim)


✅ Allah Har Ayat ka Jawab Deta Hai

Hadith Qudsi mein:

"Jab banda kehta hai: ‘Alhamdulillahi Rabbil Aalamin’,

Allah farmata hai: ‘Mere banday ne meri tareef ki.’...”

— (Sahih Muslim)


📖 Ek Waqia – Sahabi aur Shifa

Ek qabeelay ka sardar bichhu ke kaatne se bemaar ho gaya.

Ek sahabi ne Surah Al-Fatiha padh kar us par dum kiya, aur woh turant shifa pa gaya.

Jab yeh baat Nabi ﷺ tak pohnchi to aap ﷺ ne farmaya:

> “Tumhein kaise pata chala ke yeh ruqyah hai?”

Aur aap ﷺ ne is amal ki tasdeeq ki.

— (Sahih Bukhari)


🌹 Natija (Conclusion)

Surah Al-Fatiha:

Qur’an ka mukhtasir paighaam hai

Har rak‘at mein farz hai

Shifa, duaa, aur hidayat ka zariya hai

Allah se seedha rabta hai

Har musalmaan ke dil 

aur zaban par honi chahiye

https://youtu.be/dk3P0MeLXsg?si=wSCQHt2D4YmPFZSM

An Article By Moinuddin Siddiqui Barkati MSDI Bhandup Mumbai.

moinmsdi@gmail.com 

9821656862



Friday, June 20, 2025

Humari Shadi ki Kuch yaaden Kuch Baaten 16 June 1999

 16 June 1999

Kuch Yaaden kuch Baaten 


Ek Beta tha Bade Armaan thae Beta Dulha banega 

Mathe pe Sehra Sajega 

Shan se Baraat jayegi 

Sunnat ada ho jayegi

Khair se Ek Dulhan Kadar baba ke Ghar aayegi......

Gaon ki Rasm o Rivaaj se hat kar yeh Pahle Dulha tha Jisne Bukwa nahi lagwaya 

Na hi Haldi lagwaya 

Mehmaano se ghar Bhara tha Tayyari zoro par thi 

Raat me 2 baje ke kareeb khabar aayi ki Bechan bhai ka Intaqal ho gaya........

Khandan ki Ek Beti Bewa ho gayi Aur ek Beti Dulhan bani ......khair 

Jazaza 9 -10 baje tak Hua Tadfeen hui ....

Phir Shadi ki Tayyariya Shuru hui.......jamal Bhai aaye Surma lagaye Khande par bithaya gaya 

Aaj Dulha ko Nahlaya gaya 

Payar se Sajaya gaya 

Sehra Genday ke phoolo wala Kazaz ki ladiyo wala 

Pahnaya gaya 

Na Ghoda Na Gadi 

Paidal Baraat pahley Masjid gayi Allah ke Shukr ka Sajda kiya gaya aur phir Jadd e Aala Hazrat Azhar Shah Baba ke Aastanay par Salami pesh ki gayi......

Phir Jamia Barkatiya Azharul uloom Ke Sehan me Baraat ruki phir waha se Bade Abba Master sb ke Sehan me Nikah hua.

Tamanna thi ki Murshid Nikah Padhayengye 

Magar Shadi Garmi me Rakhkhi gayi es liye Hazrat ne Mana kar diya ki Mai UP ki Sadi Garmi me Nahi jaunga....Phir Abba se kaha ki Sufi sahab Se Nikah Padhwa do pata chala unhonay kahi pahley se wada kiya hua tha aur woh waday ke pakkay kahi kar diya tho dusri jagah nahi jayengye ....Apni Jagah Allah Allah karke Apnay Sahabzaday ko bhej diya 

Phir Maulana Habibur Rahman sahab ne Nikah Padhaya .... Humare Khalid Bhai ne Sehra likh kar Mumbai se laaye thae Baday payaar se woh Padha gaya .....

Phir khana khaya gaya 

Ek Ghadi aur 5000 Rs Bhaat khilwai di gayi....

Phir Baraat angna me gayi 

Waha Juta churai ki Rasm e Jahilana bhi ada ki gayi 

Anchal pakadne ki bhi koi rasm hoti hai woh bhi ada hui magar bahut ahtiyat se sab ada hui ...

Phir Maghrib tak Ruksati hui aur Hum apnay Ghar aagaye ....

Nikah me White kurta Payjama jacket Silaya tha aur Nikah ke Baad Angan ke liye Coat Pant silaya gaya tha Jo Humare Shahid Bhaijaan ne Apnay Hatho se Sila tha pahna tha 

UP ki itni Shiddat ki Garmi thi ki Badan me Daanay Nikal aaye thae ...

Akbar Allahabadi ka woh Sher yaad aata tha 

Pad Jaye Abhi Aablay Akbar ke Badan me Padhkar Jo koi Phoonk de April May aur June .

Es ke baad Woh raat aayi Jo Zindagi ki sab Se Behtreen raat hoti hai Har jawan dil ko Jiska intazar hota hai Humari Bhabhi ne Dudh ka glass pilaya 

Bahno ne raasta roka aur phir unko Bhi Nazar pesh ki gayi Shayad 2500 Rs diya maine .... phir Allah ka Shukr Ada kiya gaya Muballigue sahab ne Biwi se bhi Shukrana padhwaya aur Ek Chandi Ka breslet Tohfa me Diya Muh Ki Dikhai.......

Es ke Baaad 

Meer ka sher Sun lo 

Woh Aaye Bazm Me Itna tho Meer ne Dekha 

Eske baad phir Charago me Roshani na rahi.


26 saal Baad Jab Sab mere Bhai Tariq Siddiqui ko Shadi ki Salgirah ki Mubarakbaad de rahe tho Apni Shadi ka Din yaad aagaya .

Aur yeh chand Line likh diya hai 

Khuda se Dua hai Meri Marhooma Biwi ko Karwat Karwat Jannat Naseeb kare Jo Apni Shadi ki Har saalgirah par Biryani banati meetha banati aur Phir Fatiha Dilati thi.


Moinuddin Siddiqui Barkati 

Barkati Manzil Khindipada Bhandup West Mumbai 82 

moinbarkati@gmail.com 

9821656862  

21 June 2025

At Albarkaat 


Sunday, June 15, 2025

Happy Father's Day Par Moin ki kuch yaaden



🌸 Happy Father’s Day 🌸
15th June 2025
Ek Khiraj-e-Aqeedat Apne Walid Ke Naam

Humein humare Abba ne...
Naam diya, taleem di, tarbiyat di, paala posa, bada kiya...
Padhaya, likhaya, shaadi karwayi.

Aur marnay se pehle jab unko falij ka attack aaya tha,
Tab Maulana Ejaz aur Maulana Sharfuddin Misbahi ke samne
Apni zindagi mein apne tamam wazaif ki ijazat bhi di,
Apni zubani khilafat ata farma di.

Woh Intaqal se pehle khoob duayein de gaye.
Main ne apne walid se Zikr karna aur karwana seekha.
Mujhe 16 khane wala Naqsh bharna,
Seekhaya, Naad-e-Ali yaad karwai
Utara karne ka tareeqa sikhaya,
Badi sardi jhaadne ka tareeqa bhi sikhaya. Humesha kahtay 10k mujh se le har mahina aur Mere paas seekh yaha bhaagh mat

Main ne unse bolna – yaani speech dena bhi seekha.
Woh bohot achhe speaker the.
Unse masjid madarsa kaise chalana hai,
Ulama ka adab, sadaat ka ihtiraam,
Rishton ko nibhana, sab kuch seekha.

Unse main ne Marehra ki muhabbat seekhi.
Murshid ka adab, unka ihtiraam,
Sadaat ki kadambosi aur izzat karna,
Khawateen ka adab,
Aur muhboli maa ka waise hi izzat karna
Jaise saghi maa ki ki jati hai.

Unke andar dileri thi – thodi hum mein bhi hai.
Bagair dar ke, barsaray member haq baat kehna –
Alhamdulillah, faqeer bhi unke janashin hone ka haq adaa kar raha hai.

Hindu-Muslim ekta mein unka koi sani nahi tha.
Thoda bahut humne bhi unse seekha, Aur Es kosish me laga rahta hu ki Aman o Shanti bani rahe 

Unka inteqal 28 January 2011 ko hua.
Phir 17 March ko mujhe
Sadar – Jamaat Sunni Islahul Muslimeen Khindipada
chuna gaya, Yeh Aijaz unki wajah se Mila .

Unke baad unki jagah
President – Khindipada Rahiwasi Sangh
bhi bana.
Unki pehchaan, unka naam, unki shohrat –
sab kuch ek misaal hai.

Unki Ek bahut achchi aadat thi agar kisi se kaha suni ho jati aur samnay wala Naraaz ho jata tho Dusray hi din jakar ussay mana letay thae.

Bade honay ke baad bhi apnay chotay se bhi maafi bhi mangna padhta maang letay thae

Bachcho ka Hum bhai Bahen ka jhagda ho jata tho Dono ko bulakar samjhatay aur apas me sulah kara detay 

Chotay se khatay maafi mango Jo pahlay maafi mangta hai Jannat me woh pahley jayega 

Baday se kahtay tum bade ho maaf karo Allah khush ho jayega

Aaj bhi unka banaya hua ghar
Jahan main rehta hoon – woh unki mohabbat ka nishaan hai.
Durveshi mein badshahat,
Achha khilaya, achha pehnaya, ghumaya...
Ajmer Sharif, Delhi Sharif, Marehra Sharif, Bareilly Sharif –
Sab dikhaya.

Aaj main jo bhi hoon –
Apne walid ki badaulat hoon.

Allah unki bakhshish aur maghfirat farmaye.
Jannat mein aala maqam ata farmaye. Aameen.

Aaj 15 June, Father's Day guzra –
Toh chand jazbaat qalam band kar diye.

Agar main kitaab bhi likhoon –
Toh unke ahsaanon ka badla nahi chuka sakta.

Happy Father’s Day


Ek maqala by:
Moinuddin Siddiqui B.Sc., B.Ed., MSdi
President – Jamaat Sunni Islahul Muslimeen
📧 moinmsdi@gmail.com
📞 9821656862
📆 Dated: 16/06/2025


Tuesday, June 10, 2025

Life History of Hazrat Usman e Ghani Radhi Allahu Anhu



🌹 Hazrat Usman-e-Ghani (RA): The Martyr of the Qur'an

The Light of Modesty, The Man of Generosity

Hazrat Usman ibn Affan (رضی اللہ عنہ), the third Caliph of Islam and one of the Asharah Mubasharah (ten promised Jannah), was a man of unmatched modesty, humility, and generosity. A nobleman from the Quraysh tribe, he accepted Islam at the hands of Hazrat Abu Bakr Siddiq (RA) and was among the earliest converts.

Titles and Virtues

  • 🕋 Zun-Nurayn (The Possessor of Two Lights) — because he married two daughters of the Prophet Muhammad ﷺ, first Ruqayyah (RA) and after her passing, Umm Kulthum (RA).
  • 📖 Compiler of the Qur’an — During his caliphate, he ordered the standardization of the Qur’an into one dialect (Qurayshi), preserving its unity and authenticity.
  • 💎 Generous to the Core — Donated hundreds of camels, gold, and silver during the Battle of Tabuk and purchased the well of Rumah to provide free water to Muslims.

His Caliphate

Hazrat Usman (RA) ruled for about 12 years (644–656 CE), the longest reign among the first four rightly guided caliphs. The first half of his caliphate was peaceful and prosperous, marked by expansion of the Islamic empire into North Africa and Central Asia. The second half, however, faced political unrest and internal conspiracies.

The Tragic Martyrdom

In 35 AH (656 CE), rebels, misled by fitnah (discord), surrounded his house in Madinah. Despite repeated calls for help, he refused to allow violence for his protection, fearing bloodshed in the city of the Prophet ﷺ.

🔸 On 18th Dhul-Hijjah, Hazrat Usman (RA) was reciting the Qur'an when the rebels broke in and martyred him brutally. His blood fell on the page of the Qur’an near the verse:

"فَسَيَكْفِيكَهُمُ اللَّهُ ۚ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ"
(Surah Al-Baqarah, 137)
"So Allah will suffice you against them, and He is the All-Hearing, the All-Knowing."

His Legacy

Hazrat Usman (RA) left behind a legacy of piety, patience, and sacrifice. His role in preserving the Qur’an and strengthening the Islamic state remains one of the most profound contributions in Islamic history.

A Silent Hero

He faced slander with silence, rebellion with patience, and martyrdom with the Qur’an in his hands. Indeed, Hazrat Usman-e-Ghani (RA) is a symbol of humility and sacrifice — a martyr who died for unity, with the Word of Allah on his lips and in his heart.

An Article By 

Moinuddin Siddiqui B.sc B.ed

Khadim SDI Bhandup 

Friday, June 6, 2025

Bakra Eid Ka Faida Kisko ?

 Bakra Eid  

Bakra Eid Yeh Sirf Ek Festival yani Tauhaar nahi hai , Es Tauhaar se Millions of Muslims ki Aastha judi hui hai Jo Apnay Paighambar ki Sunnat ko Zinda kartay hai 

Logo ne Prophet Hazrat Muhammad Sallallahu alaihi wasallam se pucha tha Qurbani kya hai

Tho Aapne kaha tha Humare Baap Hazrat Ibrahim Aleyhissalam ki Sunnat hai.

Hazrat e Ibrahim ne Apnay bete ko Wadi e Mina me Qurbani ke liye litaya aur churi chalayi Allah ne Jibraiel Aleyhissalam ko Huqum diya Ismail ko Hata kar Jannat ka dumba liya do aur Phir Dumba Zaibah ho gaya aur Hazrat e Ismail Aleyhissalam Bachgaye .

Es Sunnat ko Har saal Musalman Ada karta hai.

Eska Gosth aur khoon Nahi Allah ke Niyyat dekhi jati hai Qurbani me Log Allah Ki Raza ke liye Janwar Qurbani kartay hai aur Esme Humara faida kya hai tho Prophet Hazrat Muhammad Sallallahu alaihi wasallam ne bataya tha ki Har baal ke badlay Allah neki deta hai aur Janwar ka khoon Zameen par Girnay se pahley Allah us banday ki Maghfirat farma deta hai.

Ek Aur Riwayat me Hai ki 

Qurbani ka janwar kal pulsiraat par tumhari sawari ka kaam karega .

Yeh Tho sab Akhirat ka  Faida hai .

Ab Aao dekhen Qurbani se Duniya me kis kisko kitna aur kaisa faida hota hai

1) Kisaan Janwar palta Hai har saal uska janwar Qurbani me Achchay daam me bik jata hai

2) Kisan Se Dealers letay waha se transport se laatay hai tho transport wale ka Faida hota hai 

3) waha Se Mandi me aata hai Mandi ki market ka faida BMC ka Faida 

4) Coustomer leta hai usko  faida 

5) Coustomer kaisai se Katwata hai Qureshi Brothers ka faida .

6) Phir khaal se Madarsa Masjid walo ka Faida (Jo ab 4 saal se nahi ho pa raha hai )

5) Phir Chamda se Wapario ka faida Belt Purse aur Shoes bananay ke liye kaam aata tha ....


Ek Qurbani se Lakho lakh logo me Money Circulation hota hai Jissay Desh ki GDP growth me madad milti hai

Article By 

 Moinuddin Siddiqui Barkati BSC.B.ed

President Jamaat Sunni Islahul Muslimeen Khindipada Bhandup 

Saturday, May 31, 2025

🖊️ Apni Lakeer Ko Badi Bana Do (Huzur Sayyedul Ulma)

 🖊️ Apni Lakeer Ko Badi Bana Do

(Huzur Sayyedul Ulma)

Huzur Sayyedul Ulma Hazrat Maulana Sayyed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Marehra Sharif

Apni ek taqreer mein aap farmatay hain:

> "Ek aadmi ne blackboard par ek lakeer kheench di aur elaan kiya:

'Na kaatna hai, na mitaana hai, is lakeer ko chhota karke dikhao.'

Sab hairaan the, sab pareshan the. Samajh nahi aa raha tha ki jab kaatna bhi nahi hai, mitaana bhi nahi hai, to lakeer ko chhota kaise kiya jaye...

Ek aqalmand aaya, haath mein chalk liya,

usne us lakeer ke bagal mein ek usse badi lakeer kheench di.


Dekha aap ne? Pehli lakeer khud-ba-khud chhoti ho gayi.


Huzur Sayyedul Ulma farmatay hain:

'Yehi main tumse kehta hoon – unko kaato mat, mitao mat,

bas apni lakeer ko badi kar do.

Unki lakeer apne aap chhoti ho jaayegi.'**


📌 Nasihat (Advice):

Is waqiya se humein yeh sabak milta hai ki:

Humein doosron ki burai ya tanqeed mein waqt zaya nahi karna chahiye.

Apne kaam par tawajju dein, mehnat aur lagan se kaam karein.Doosron ko neecha dikhane ke bajaye, apne aamaal aur apni koshishon ko behtar banayein.

Achi niyyat, sachai aur mehnat hi insaan ki asal pehchaan hoti hai.

✍️ Article by: Moinuddin Barkati

📅 Date: 31st May 2025