๐ธ Happy Father’s Day ๐ธ
15th June 2025
Ek Khiraj-e-Aqeedat Apne Walid Ke Naam
Humein humare Abba ne...
Naam diya, taleem di, tarbiyat di, paala posa, bada kiya...
Padhaya, likhaya, shaadi karwayi.
Aur marnay se pehle jab unko falij ka attack aaya tha,
Tab Maulana Ejaz aur Maulana Sharfuddin Misbahi ke samne
Apni zindagi mein apne tamam wazaif ki ijazat bhi di,
Apni zubani khilafat ata farma di.
Woh Intaqal se pehle khoob duayein de gaye.
Main ne apne walid se Zikr karna aur karwana seekha.
Mujhe 16 khane wala Naqsh bharna,
Seekhaya, Naad-e-Ali yaad karwai
Utara karne ka tareeqa sikhaya,
Badi sardi jhaadne ka tareeqa bhi sikhaya. Humesha kahtay 10k mujh se le har mahina aur Mere paas seekh yaha bhaagh mat
Main ne unse bolna – yaani speech dena bhi seekha.
Woh bohot achhe speaker the.
Unse masjid madarsa kaise chalana hai,
Ulama ka adab, sadaat ka ihtiraam,
Rishton ko nibhana, sab kuch seekha.
Unse main ne Marehra ki muhabbat seekhi.
Murshid ka adab, unka ihtiraam,
Sadaat ki kadambosi aur izzat karna,
Khawateen ka adab,
Aur muhboli maa ka waise hi izzat karna
Jaise saghi maa ki ki jati hai.
Unke andar dileri thi – thodi hum mein bhi hai.
Bagair dar ke, barsaray member haq baat kehna –
Alhamdulillah, faqeer bhi unke janashin hone ka haq adaa kar raha hai.
Hindu-Muslim ekta mein unka koi sani nahi tha.
Thoda bahut humne bhi unse seekha, Aur Es kosish me laga rahta hu ki Aman o Shanti bani rahe
Unka inteqal 28 January 2011 ko hua.
Phir 17 March ko mujhe
Sadar – Jamaat Sunni Islahul Muslimeen Khindipada
chuna gaya, Yeh Aijaz unki wajah se Mila .
Unke baad unki jagah
President – Khindipada Rahiwasi Sangh
bhi bana.
Unki pehchaan, unka naam, unki shohrat –
sab kuch ek misaal hai.
Unki Ek bahut achchi aadat thi agar kisi se kaha suni ho jati aur samnay wala Naraaz ho jata tho Dusray hi din jakar ussay mana letay thae.
Bade honay ke baad bhi apnay chotay se bhi maafi bhi mangna padhta maang letay thae
Bachcho ka Hum bhai Bahen ka jhagda ho jata tho Dono ko bulakar samjhatay aur apas me sulah kara detay
Chotay se khatay maafi mango Jo pahlay maafi mangta hai Jannat me woh pahley jayega
Baday se kahtay tum bade ho maaf karo Allah khush ho jayega
Aaj bhi unka banaya hua ghar
Jahan main rehta hoon – woh unki mohabbat ka nishaan hai.
Durveshi mein badshahat,
Achha khilaya, achha pehnaya, ghumaya...
Ajmer Sharif, Delhi Sharif, Marehra Sharif, Bareilly Sharif –
Sab dikhaya.
Aaj main jo bhi hoon –
Apne walid ki badaulat hoon.
Allah unki bakhshish aur maghfirat farmaye.
Jannat mein aala maqam ata farmaye. Aameen.
Aaj 15 June, Father's Day guzra –
Toh chand jazbaat qalam band kar diye.
Agar main kitaab bhi likhoon –
Toh unke ahsaanon ka badla nahi chuka sakta.
Happy Father’s Day
Ek maqala by:
Moinuddin Siddiqui B.Sc., B.Ed., MSdi
President – Jamaat Sunni Islahul Muslimeen
๐ง moinmsdi@gmail.com
๐ 9821656862
๐ Dated: 16/06/2025
No comments:
Post a Comment