16 June 1999
Kuch Yaaden kuch Baaten
Ek Beta tha Bade Armaan thae Beta Dulha banega
Mathe pe Sehra Sajega
Shan se Baraat jayegi
Sunnat ada ho jayegi
Khair se Ek Dulhan Kadar baba ke Ghar aayegi......
Gaon ki Rasm o Rivaaj se hat kar yeh Pahle Dulha tha Jisne Bukwa nahi lagwaya
Na hi Haldi lagwaya
Mehmaano se ghar Bhara tha Tayyari zoro par thi
Raat me 2 baje ke kareeb khabar aayi ki Bechan bhai ka Intaqal ho gaya........
Khandan ki Ek Beti Bewa ho gayi Aur ek Beti Dulhan bani ......khair
Jazaza 9 -10 baje tak Hua Tadfeen hui ....
Phir Shadi ki Tayyariya Shuru hui.......jamal Bhai aaye Surma lagaye Khande par bithaya gaya
Aaj Dulha ko Nahlaya gaya
Payar se Sajaya gaya
Sehra Genday ke phoolo wala Kazaz ki ladiyo wala
Pahnaya gaya
Na Ghoda Na Gadi
Paidal Baraat pahley Masjid gayi Allah ke Shukr ka Sajda kiya gaya aur phir Jadd e Aala Hazrat Azhar Shah Baba ke Aastanay par Salami pesh ki gayi......
Phir Jamia Barkatiya Azharul uloom Ke Sehan me Baraat ruki phir waha se Bade Abba Master sb ke Sehan me Nikah hua.
Tamanna thi ki Murshid Nikah Padhayengye
Magar Shadi Garmi me Rakhkhi gayi es liye Hazrat ne Mana kar diya ki Mai UP ki Sadi Garmi me Nahi jaunga....Phir Abba se kaha ki Sufi sahab Se Nikah Padhwa do pata chala unhonay kahi pahley se wada kiya hua tha aur woh waday ke pakkay kahi kar diya tho dusri jagah nahi jayengye ....Apni Jagah Allah Allah karke Apnay Sahabzaday ko bhej diya
Phir Maulana Habibur Rahman sahab ne Nikah Padhaya .... Humare Khalid Bhai ne Sehra likh kar Mumbai se laaye thae Baday payaar se woh Padha gaya .....
Phir khana khaya gaya
Ek Ghadi aur 5000 Rs Bhaat khilwai di gayi....
Phir Baraat angna me gayi
Waha Juta churai ki Rasm e Jahilana bhi ada ki gayi
Anchal pakadne ki bhi koi rasm hoti hai woh bhi ada hui magar bahut ahtiyat se sab ada hui ...
Phir Maghrib tak Ruksati hui aur Hum apnay Ghar aagaye ....
Nikah me White kurta Payjama jacket Silaya tha aur Nikah ke Baad Angan ke liye Coat Pant silaya gaya tha Jo Humare Shahid Bhaijaan ne Apnay Hatho se Sila tha pahna tha
UP ki itni Shiddat ki Garmi thi ki Badan me Daanay Nikal aaye thae ...
Akbar Allahabadi ka woh Sher yaad aata tha
Pad Jaye Abhi Aablay Akbar ke Badan me Padhkar Jo koi Phoonk de April May aur June .
Es ke baad Woh raat aayi Jo Zindagi ki sab Se Behtreen raat hoti hai Har jawan dil ko Jiska intazar hota hai Humari Bhabhi ne Dudh ka glass pilaya
Bahno ne raasta roka aur phir unko Bhi Nazar pesh ki gayi Shayad 2500 Rs diya maine .... phir Allah ka Shukr Ada kiya gaya Muballigue sahab ne Biwi se bhi Shukrana padhwaya aur Ek Chandi Ka breslet Tohfa me Diya Muh Ki Dikhai.......
Es ke Baaad
Meer ka sher Sun lo
Woh Aaye Bazm Me Itna tho Meer ne Dekha
Eske baad phir Charago me Roshani na rahi.
26 saal Baad Jab Sab mere Bhai Tariq Siddiqui ko Shadi ki Salgirah ki Mubarakbaad de rahe tho Apni Shadi ka Din yaad aagaya .
Aur yeh chand Line likh diya hai
Khuda se Dua hai Meri Marhooma Biwi ko Karwat Karwat Jannat Naseeb kare Jo Apni Shadi ki Har saalgirah par Biryani banati meetha banati aur Phir Fatiha Dilati thi.
Moinuddin Siddiqui Barkati
Barkati Manzil Khindipada Bhandup West Mumbai 82
moinbarkati@gmail.com
9821656862
21 June 2025
At Albarkaat
Masha Allah aameen ya rb
ReplyDelete