🖊️ Apni Lakeer Ko Badi Bana Do
(Huzur Sayyedul Ulma)
Huzur Sayyedul Ulma Hazrat Maulana Sayyed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Marehra Sharif
Apni ek taqreer mein aap farmatay hain:
> "Ek aadmi ne blackboard par ek lakeer kheench di aur elaan kiya:
'Na kaatna hai, na mitaana hai, is lakeer ko chhota karke dikhao.'
Sab hairaan the, sab pareshan the. Samajh nahi aa raha tha ki jab kaatna bhi nahi hai, mitaana bhi nahi hai, to lakeer ko chhota kaise kiya jaye...
Ek aqalmand aaya, haath mein chalk liya,
usne us lakeer ke bagal mein ek usse badi lakeer kheench di.
Dekha aap ne? Pehli lakeer khud-ba-khud chhoti ho gayi.
Huzur Sayyedul Ulma farmatay hain:
'Yehi main tumse kehta hoon – unko kaato mat, mitao mat,
bas apni lakeer ko badi kar do.
Unki lakeer apne aap chhoti ho jaayegi.'**
📌 Nasihat (Advice):
Is waqiya se humein yeh sabak milta hai ki:
Humein doosron ki burai ya tanqeed mein waqt zaya nahi karna chahiye.
Apne kaam par tawajju dein, mehnat aur lagan se kaam karein.Doosron ko neecha dikhane ke bajaye, apne aamaal aur apni koshishon ko behtar banayein.
Achi niyyat, sachai aur mehnat hi insaan ki asal pehchaan hoti hai.
✍️ Article by: Moinuddin Barkati
📅 Date: 31st May 2025
हज़रत आले रसूल हमारे सर के ताज हैं जिनकी हर हिदायत के हम मोहताज हैं
ReplyDeleteYunus khan