Hazrat Baba Abdul Qadir Siddiqui Qadri Barkati Ibn e Hazrat Baba Abdul Samad Siddiqui Barkati Aleyhir Rehma1944 ok
Wiladat: February
Maqam e Wiladat :
Parsa Shaikh Post Dudhara
Dist Basti UP
Walid : Hazrat Baba Abdul Samad Siddiqui Barkati Aleyhir Rehma.
Walida : Marhooma Lais BiBi
Murshid : Huzur Sayyedul ulma
Hazrat Maulana Syed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Marehravi Aleyhir Rehma
Marehra Sharif .
Khilafat :-
1) Hazrat Sufi Mohammaed Ali Shah Qadri
(Kota wale Baba) Khalifa
Hazrat Maulana Baba Shah Abdul Haq Chisti Ajmeri Rehmatullah Alaih. In
2)Hazrat Moinul Haq sb Chisti S/O Hazrat Maulana Shah Abdul Haq Chisti Ajmeri Rehmatullah Alaih.
3) Hazrat Sayyed Zafar Iqbal Qutbi
Sajjada aastana Qutbuddin Bakhtiyar kaki Aleyhir Rehma
4) Hazrat Kashmiri Baba Rehmatullah Alaih Bandra Mumbai
5) Hazrat Sufi Sayyed Dilshad Hussain Sb Qadri Barkati
Khalifa Huzur Sayyed e Millat Nazmi Miya Aleyhir Rehma.
Taleem o Tarbiyat:
Huzur Sayyedul ulma Aleyhir Rehma se khaas Tarbiyat payi 12 saal se ziyada peer ki Sohbat me rahe.
20 saal tak Hayat e zahiri me faiz uthaya.
Amal Amaliyaat:-
Huzur Sayyed e Millat Hazrat Allama Sayed Shah Aley Rasool Hasnain Miya Nazmi Marehravi Aleyhir Rehma se, aur Apnay Walid Hazrat Baba Abdul Samad Siddiqui Barkati se Aur Khalifa e Huzur Sayyedul ulma Hazrat Sufi Sakhawat Ali sb Maghar se amal aur Amaliyaat ki ijjazat thi
Halat e Zindagi :-
1957 me Mumbai aagaye Yaha par Chapai ka kaam kartay rahe (Aap ke sath Maulana Basheer sb Orai wale bhi Chapai ka kaam kartay thae )
Phir 1968 me Bhandup Dargah Gaibanshah Qadri Par Fatiha padhne aaye aur phir yahi ke hokar rah gaye.
Ahem Kaam :
Khindi pada Yaha aaKar
Masjid Qayam Farmayi.
Madarsa Qayam Farmaya.
Jamaat banai
Pahlay Jamaat Barkatiya Banai phir Jamaat Dargah Gaibanshah Muslimeen
Phir Jamat Sunni Islahul Muslimeen banai gayi aur uskay ta haayat (zindagi bhar)
Sadar rahe.
Khindipada Ke Kafir o ko sath lekar Khindi Pada Rahiwasi sang Banai
Jamat aur Khindipada Rahiwasi sang ke Sath Milkar
Muslim Qabristan Khindipada me banai ,Mantaralay sachwalay ka Gherav kiya
2-3 baar Mulund police station
Morcha lekar waha bhook hartal kiya itni Mehnato Mashakat se Sharad Pawar Govt se Qabristan pass karwai .
Govt Ne Dargah Gaibanshah ke samnay Sandaas Ki Taaki Khod di thi Uske liye Morcha aur Andolan karke Govt se ladkar khadda band karwaya BMC ki Dewaar uthwai.
Khindipada Me light Nahi thi Road nahi thae Khindipada Rahiwasi sang ke Zariye Harishchandra Govind Pastay ke sath milkar bahut mehnat ki aur khindipada me light aayi, paani aaya, road bana.
Dawat o Tableegh :
Apni Zindagi me 40 se Ziyada logo ko kalma padhakar apnay haath par Musalmaan Banaya.
Deen o Sunniyat ka Bahut kaam kiya jiske liye ek Book likhi ja sakti hai.
Aaj jahan Sonapur Nake ki Masjid jaha hai Woh Jagah Umar Seth ne kuch kaam ho gaya tha tho Nazar me Abba ko de diya tha waha unka Bail bandha jata tha Bailo ki ghari thi . Walid sb ne umar Seth se kaha ki maine kubul kar liya ab aap ko Mai kahta hu ki yaha choti si masjid bana do Umar Seth ne Masjid banai aur uska Sadar Abba ko bana. Pahley Daragh aur Mohammadi masjid Sonapur Unar compound ki ek jamat thi aur Uskay sadar Bhi walid sb thae.
Zakariya Compund Qadriya Masjid jo nai bani hai uski buniyad bhi walid sb ke haatho rakhkhi gayi thi.
Walid sb Gaon gaye tho yaha ke deobandio ne dargah aur sonapur ki masjid me apna imam rakh diya tha
Walid sb Maghar gaye Bade Hazrat (Huzur Sayyedul ulma) se milnay Hazrat ne Farmaya
Bambai kyu nahi gaye
Abba ne kaha Huzur Safar ka Mahina Hai. Hazrat ne Daantkar kaha Safar Me Hasnain Safar kar sakta hai aur tum nahi , Phir Aap ne kaha " Bhandup ki Falti Phoolti Deobandiyat ka Mehshar me tum jawab dena ".
Abba usi haftay me Basti se Mumbai aagye, yaha aakar dekha ki Nake pe bhi Deobandi imam hai Aur Dargah masjid me bhi Deobandi imam hai.
Badi Hiqmat aur badi danaai se dono jagah se imam ko hatakar Sunni Imam ko rakhkha
Mujahid e Sunniyat thae Mere Walid Kadar Baba
Deobandio ne Zakariya Compund Bhandup sonapur me Tahir Gayavi ka Prgm rakhkha tha aur sab ko pata hai ki woh kis tarah se bakwas Kiya karta tha....
Sunni bhi gaye thae ki dekhen kya bolta hai
Walid sb Hafiz Sabir sb Aur kai logo ke sath Pahli ya dusri saf me thae jab Tahir Gayavi ne bakwaas shuru kiya Aala Hazrat ko kaala Hazrat kaha aur Nabaligh ke wazu aur gusul ka masla cheda aur usme Aala Hazrat ko bura kahne laga Mere Walid sb Hazrat Baba Abdul Qadir Siddiqui Barkati ne Majme me khade hokar usko lalkara ki khabees hawala dekar baat kar aur jhoot mat bol aur band kar Takrir
Abba ka itna lalkaarna tha ki Sunnio ne Naray Risalat buland kiya aur Akhir usko Takrir band karna pada aur aaj tak Phir deobandio ki itni himmat na hui ki phir Us khabees ko bula saken.
Es tarah ke saikdo waqiyat hai
Unki zindagi ke...
Shadi aur Aulaad :-
Aap ki Pahli Shadi Basti zila Ke Gaon Gajauli Me aap ki Sagi Phuphi ki beti Sadrun Nisa bint e Mohammed Hanif Sb se hui thi.
Aap ki pahli biwi Shadi ke 2-3 saal me hi TB ho jane se Intaqal kar gayi.
Parsa shaikh ke Gulam Rab Seth (Farooq aur Zubair bhai ke Walid) aap ke sage Sadhu thae.
Aap Ki Dusri Shadi zila Basti me hi Naugarh ke paas Lotan Thana ke paas gaon Pokhar Bhinda me Janaab Mukhtar Hussain sb ki Sahabzadi Se Hui
Jin se 4 Betiya aur 1 Beta hua
1) Tahira khatoon
2) Moinuddin Siddiqui
3) Arifa Khatoon
4) Zainab Khatoon
5) Rabia Khatoon (Khalida)
Aadat aur Khubiya :-
Sab Se Badi khubi yeh thi ki 5 waqat Ki Namaz ki pabandi thi eske Alawa unke murshid ne 6Rakaat Nafal Maghrib baad Padhne ki aadat daali thi usko bhi kabhi nahi chortay thae.
Dalailul khairat Sharif bhi pabandi ke sath padha kartay thae, Kabi Bahut emergency ya koi bada problem ho jaye tho Uski bhi Qaza kiya kartay thae.
Akhari Akhari Saalo se me Tahajuud ki bhi pabandi kiya kartay thae.
Ek saans me 100 baar Qulhu wallah padha kartay thae.
Zikar padhne ka bahut Shauk tha aur yeh unko apnay Walid se wirsay me mila tha Har mehfil ya prgm ke baad kaha kartay thae ki 10 min padh liya jaye.
Saadgi pasand insaan thae Bahut saafgo aur Hamesha Haq ki awaaz buland kartay thae, Shariyat ke khilaf kuch bardasth nahi tha kisi ki bhi ghalti hoti bila jhijhak bila rok thok Bola kartay thae.
Khandan e Barkaat ke tamam Makhdoomo par apni jaan Nichawar karne ko Hamesha tayyar rahtay thae Marehra Sharif ya kisi bhi Makhdoom ke khilaf ek lafz bhi bura nahi sunsaktay thae.
Sadaat koi bhi bas pata chal jaye uska haath pair sab chum daaltay thae. Bahut bahut Adab kartay thae.
Sadaat ke sath hi ulma se bahut bahut Muhabbat kartay thae aur ulma nawaaz thae.
Bahut sada libas zebtan kiya kartay thae . safed colour ziyada pasand tha Do Pallli topi lagaya kartay thae.
Khandan ke Afraad :-
Aap ke 6 Bhai aur 6 Bahney hai
Bhai o me
1)Baba Abdul Rehman Siddiqui
2)Baba Abdul Mustafa Siddiqui
3)Baba Abdul Nabi Siddiqui
4)Baba Abdul wali Siddiqui
5)Baba Abdul Gani Siddiqui
6)Baba Abdul Hai Siddiqui.
Enme se Baba Abdul Mustafa aur Maulana Abdul wali aur Haji Abdul Nabi sb ka intaqal ho chuka hai. Allah unsab ki Maghfirat Farmaye aur Jannat me aala maqam ata farmaye aameen.
Bahno me
1) Sahran
2) Sahrun
3) Fatima
4) Zohra
5 Qayamun
6) Enka naam Malum Nahi hai
Enme se Qayyamun Phuphi Zinda hai Baki sab ka intaqal hogaya hai.
Allah sab ki maghfirat farmaye ameen
Intaqal Purmalal :-
Aap ne apnay Intaqal ki khabar Ek Hafta pahley Masjid e Dargah Gaibanshah Qadri
Me Juma ke khitab me de diya tha aur kaha tha ki " Yeh Meri Akhari Takrir hai eske baad mai Takreer nahi karunga"
27 January ko aap Isha ki Namaz aur wazaif se Fariq hokar lete thae achanak raat me 11.30 ke aas paas Seene me dard hua apna likha hua pani piya Utara kiye istinja kiye farmaya Rkshaw bulao aur mai aur bahen Rkshaw me sath lekar ja rahe thae mujhse kah rahe thae kuch padho mai kalma aur dua padhta raha Hospital pahuchtay pahuchtay mere Haatho me hi dam nikal gaya takreeban 12 baje ke aas paas aap ne Wisal farmaya.
28 January 2011 juma ke baad
Dargah Gaibanshah Qadri Aleyhir Rehma Bhandup ke Ground me Namaz e Janaza ada ki gayi.
Hazaaro Hazaar ka majma tha anginat sar thae Record hai ki aaj tak Khindipada me Kisi janaza me Itni public jama nahi hui.
Ulma Aaimma huffaz aur awaam ke alawa Neta har party ke , Nagar sewak, MLA, MP, shaka Parmukh, senior SP DCP Senior Mulund Bhandup ke sab Shareeq thae.
Amar nagar se Traffic band Kara Diya gaya tha....
Namaz e Janaza :
Hindustan ki Mashoor o Maroof Khanqah, Roohaniyat ka Markaz Marehra Sharif ke Sahib e Sajjadah Huzur Sayyed e Millat Hazrat Allama Sayyed Shah Aley Rasool Hasnain Miya Nazmi Marehravi ne Padhai .
Aap Qabristan tak bhi sath tashreef le gaye aur kadi Dhoop me ek Pathar par baithe rahe.
Qabar Par Huzur Waqare Millat Hazrat Allama Sayyed Shah Sibtain Haider Barkati Zaidi ne Fatiha Padha aur azaan bhi aap ne hi di.
Allah paak Khandan e Barkaat ke Es Wafadar Mureed aur Aashiq e Murshid Khadim e Barkatiyat Ko apnay Musrhid ke Sadqe me Karwat karwat jannat ata farmaye unki Bakshish aur Maghfirat Farmaye aameen.
Yeh Mazmoon Maine 28 Jan 2023 ko likhna shuru kiya aur Allah ke karam se 29 Jan ko Isha me Mukammal hua.
Khadim e Barkatiyat
Moinuddin Siddiqui Barkati
moinbarkati@gmail.com
29/01/2023.