Madine ki anguthi hai nageena Ghause aazam ka
Jahaa(n) me bat-ta hai har soo khazeena Ghause Aazam Ka
Mureedi La Ta-Khaf ki di tasalli Hum Ghulamo ko
Dubo sakta nahi toofaa(n) safeena Ghause Aazam ka
Wasila Qurbe Rab ka hai Muhammad Mustafa Beshaq
Muhammad tak Pahuch ne ka hai Zeena Ghause Aazam ka
Na jaane kis bina par mushk o amber naaz karte hai
Zara sunghwao un sab ko paseena Gause Aazam ka
Har ek sunni ke ghar me gyarahvi ka jashn hota hai
Wahabi soz hai pyara mahina Ghause aazam ka
Qadam mera sabhi waliyon ki gardan par hai farmaya
Qadam aisa to kaisa hoga seena Ghause Aazam ka
Muhiyuddin woh aur ye Moinuddin Ajmeri
Mera Khwaja Wilayat ka dafeena Ghause Aazam ka
Hamari Zindagi bhi Khidmate Makhlooq me guzrey
Illahi kar ata Humko kareena Ghause Aazam ka
Sare Mehshar pukaara jayega yu naam Nazmi ka
Ye Nazmi kaun hai, ha(n) ha(n) wahi na Ghause aazam ka
Manqabat written by Allama Sayyed Shah Aley Rasool Hasnain Miya Nazmi Marehravi Aleyhir Rehma
No comments:
Post a Comment