Total Pageviews

Sunday, November 21, 2021

Kisi ki jay Vijay Hum kyu pukaren kya garaz humko Lyrics | Kalam Sayyedul ulma

Kisi ki jay Vijay Hum kyu pukaren kya garaz humko Lyrics | Kalam Sayyedul ulma

Khuda ne Khud tumhe aisa sawara Ya Rasool Allah
Nahi Mumkin ki ho sani Tumhara Ya RasoolAllah

Karam tera jisay chahe woh ho Jannat Makaa(n) aaqa
Ki hai Firdous pe tera Ijazra Ya RasoolAllah

Janab e Shaikh Naza hai Bahut kuch  zohd o taqwa par
Hame tho hai Faqat tera Sahara Ya RasoolAllah

Safeena Teri Ummat ka Bhawar me Fas gaya Aaqa
Khudara ab  mile usko  kanara ya Rasool Allah

Gulamaney Dare aqdas tamanna leke aaye hai
Ki chamkay Sunni o ka Sitara ya RasoolAllah

Abhi Bigday hue sare Hamarey kaam ban jaye 
Teri Rehmat agar kar de Ishara Ya RasoolAllah

Na kyu Aala ho woh Parcham na kyu uncha ho woh Parcham
Ki Zeenat jiski ho Gumbad Tumhara Ya RasoolAllah

Yeh Surkh o Sabz Rangat Mashade Sibtain ne di hai
Alam Hasnain ka parcham Humara ya RasoolAllah

Jalale Qubbay khazra ke aagye kham hua Pahley
Utha ke sar ko Phir parcham Pukara Ya RasoolAllah

Kisi ki Jai Vijay Hum kyu pukaren kya garaz Humko 
Hame Kafi Hai sayyed Apna Naara ya RasoolAllah

Kalam : Huzoor Sayyedul ulma Hazrat Allama Maulana Mufti Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Marehravi Aleyhir Rehma

Sunday, November 14, 2021

Madine Ki Anghuti hai Nageena Ghause Aazam ka Manqabat Lyrics


Madine ki anguthi hai nageena Ghause aazam ka
Jahaa(n) me bat-ta hai har soo khazeena Ghause Aazam Ka

Mureedi La Ta-Khaf ki di tasalli  Hum Ghulamo ko
Dubo sakta nahi toofaa(n) safeena Ghause Aazam ka

Wasila Qurbe Rab ka hai Muhammad Mustafa Beshaq
Muhammad tak Pahuch ne ka hai Zeena Ghause Aazam ka

Na jaane kis bina par mushk o amber naaz karte hai
Zara sunghwao  un sab ko paseena Gause Aazam ka

Har ek sunni ke ghar me gyarahvi ka jashn  hota hai
Wahabi soz hai pyara mahina Ghause aazam ka

Qadam mera sabhi waliyon ki gardan par hai farmaya
Qadam aisa to kaisa hoga seena Ghause Aazam ka

Muhiyuddin woh aur ye Moinuddin Ajmeri
Mera Khwaja Wilayat ka dafeena Ghause Aazam ka

Hamari Zindagi bhi Khidmate Makhlooq me guzrey
Illahi kar ata Humko kareena Ghause Aazam ka



Sare  Mehshar pukaara jayega yu naam Nazmi ka
Ye Nazmi kaun hai, ha(n) ha(n) wahi na Ghause aazam ka

Manqabat written by Allama Sayyed Shah Aley Rasool Hasnain Miya Nazmi Marehravi Aleyhir Rehma

Saturday, November 6, 2021

Barkaati Noori Wazifa

*Barkaati Noori Wazifa* 
Chand Raat yani Chand ki pahli shab me 

Hazrat Noorulaarifeen 
Sayyed Shah ABUL Hussain Ahmed e Noori Miya Marehravi Aleyhirrehma ne 
Apni Kitab Sirajul awaarif fil wasaya wal maarif me Tehrir farmaya hai ki 
✳️ 1000 Baar kalima Tayyaba Aur ✳️ 41  baar Surah Fatiha es tarah padhen ki Bismillah ki mem ko Alhamd ke laam se milkar padhen 
Awwal Akhir Durood e paak padhen
InshaAllah es Amal ki Barkat se Mahina bhar khair o aafiyat rahegi 
Rizq me Barkat hogi.

Talib e Dua 
Moinuddin Siddiqui Barkati Mumbai

Wednesday, October 27, 2021

Nazmiji ke ashaar

Apnay paray se begaana lagta hai
Yeh tho Muhammad ka Dewaana lagta hai