Total Pageviews

Saturday, December 6, 2025

Jab Huzur Sayyedul ulma ko wajad aagaya

 Jab Sayyedul ulma ko wajad aagaya .....


Marehra Sharif me urs e Qasmi ki mehfil chal rahi thi

Aur Kisi Shayar ne jab yeh Sher Hazrat Maula Ali ki shan me padha ki

"Yeh Ali ke Amal se hai sabit hua Asal ibadat Teri bandagi hai....".

Es sher ko kai baar padhnay ka hukum diya aur phir ek alag kaifiyat ho gayi

Aur aap apnay aap me nahi rahe . Wajad me aagaye 

Phir aap ke chotay bhai

Huzur Ahsanul ulma ne aap ko pakada aur aap ko pakad kar huzur sahibul barkaat ko aastanay me legaye aur mazar Sharif par daal diya aur ro ro kar duaen ki phir aap par se woh kaifiyat khatam hui aur aap hosh me aye.


Yeh waqiya kai baar Apnay Walid se aur apnay murshid se suna jitna yaad raha usko Qalam band Kar diya .


Mazmoon by:

Moinuddin Barkati 

7 dec 2025.

No comments:

Post a Comment