Shab-e-Bar’aat
Mahe Shabaan ki 15vi Shab
Bakshish aur Najaat wali Raat
Jahannum se Azaadi wali Raat
Umr me Barkat wali Raat
Rizq me Barkat wali Raat
Jis Raat Zindagi aur Maut ka Faisla hota hai woh Raat
π Shab-e-Bar’aat 2025
πΉ Es Saal 2025 me:
π 13 February 2025 ko Maghrib ke baad shuru hogi
π 14 February 2025 subah 5:50 tak rahegi
π Shab-e-Bar’aat ke Aamaal
π’ 14 Shabaan & 15 Shabaan ko Roza Rakhna
✅ Maghrib se pehle 70 baar Astaghfaar padhein:
“Astaghfirullah hi Rabbi Minkulli Zambiw watubu illaih”
✅ 40 baar:
“La hauwla Wala Quwwata illah billahil aliyil azeem”
π’ Maghrib ke Baad Nafl Namaz (6 Rakaat)
π 2-2 karke ada karein:
1️⃣ 2 Rakaat Nafl – Daraz-e-Umr bil Khair ke liye
2️⃣ 2 Rakaat Nafl – Dafa-e-Baliyaat ke liye
3️⃣ 2 Rakaat Nafl – Kisi makhlooq ka mohtaj na hone ke liye
Har Rakaat me Surah Fatiha ke baad 3 baar Surah Ikhlas padhein.
π Salam ke baad:
1️⃣ Ek baar Surah Yaseen
2️⃣ Ek baar Dua-e-Nisf Shabanul Muazzam padhen
π’ Ibadat aur Zikr
✅ Qaza Namaz ka Ahmiyat den
✅ Zikr-e-Ilahi ki Mehfilon me shirkat karein
✅ Kam se kam ye Azkaar padhein:
πΉ 100 Baar – La ilaha illallah
πΉ 100 Baar – Ilallah
πΉ 100 Baar – Allah Allah
πΉ 100 Baar – Allah Hu
✅ Tasbeeh padhein (100 Baar)
πΉ Subhan Allah
πΉ Alhamdulillah
πΉ Allahu Akbar
πΉ Subhanallahi wabi hamdihi Subhanallah hil Azeem
✅ Salat-ul-Tasbeeh padhein
✅ Quran Sharif ki Tilawat k
arein
✡️ Talib-e-Dua
Moinuddin Siddiqui Barkati
14 Shabaan 1446 Hijri
No comments:
Post a Comment