Total Pageviews

Monday, October 14, 2024

Namaz e Ghausiya Padhnay Ka Tareeqa

Namaz e Ghausiya 

Humare silsila ke Buzurgo se yeh Namaz Padhna sabit hai.
Humare Akabireen eski apnay Mureedo aur khulfa ko Baqaida eski ijazat likh kar diya kartay thae .
Huzur Sayyedul Ulma ke Baradar e Asghar Huzur Ahsanul ulma Hazrat Maulana Sayyed Shah Mustafa Haider Hasan Miya Marehravi Aley hir Rehman ne apni kitab Dawa e Dil me es Namaz ko Tehrir Farmaya hai
Allah paak Aap ki Qabr e Anwar par Rehmato Noor ki Barish Farmaye.

Namaz e Ghausiya 
Padhne ke Tareeka 
Maghrib ki Namaz ke baad 
2 Rakaat Namaz e Nafl ada kare Har Rakaat me 11 baar Surah e Ikhlaas (Qul hu wallah...) padhe phir Namaz padhkar 11 baar Durood e Ghausiya padhe
Phir 11 Qadam Iraq ki taraf Chale. Har Qadam par Huzur Ghause paak ka naam le aur 11 Qadam chal kar khada ho jaye Shahenshah e Baghdad Hazrat Ghause Aazam Shaikh Abdul Qadir Jilani Badhdadi ke wasila se 
Allah se Dua karen.
In sha Allah Har Hajat Puri hogi.

Jab bhi yeh Namaz Padhen
Es faqeer e Barkati 
Moinuddin ke liye bhi Zarur Dua karen

Duao ka Talib :
Khalifa e Huzur Waqare Millat,  Ashiq e Huzur Sayyed e Millat 
Abul Akmal  Moinuddin Siddiqui Qadri Barkati .
14/10/2024
10 -Jamadil Akhir 1446 Hijri 

No comments:

Post a Comment