Total Pageviews

Tuesday, October 15, 2024

Short Introduction on Life of Hazrat Shaikh Abdul Qadir Jilani Badhdadi Aleyhir rehma

Short introduction on life of Hazrat Shaikh Abdul Qadir Jilani 

Name :- Abdul Qadir 

Titles : Mehbob e Subhani,
Muhiyuddin , Ghaus al  Thaqlain, Sultanul Auwliya

Kunyah : Abu Muhammad 
Date of Birth : 1St Ramdhan 470 Hijri 

Place of Birth : Jilaan 

Father : Abu Saleh Moosa Jangi Dost RadhiAllahu Anhu

Mother : Ummul khair Hazrat Fatima RadhiAllahu anha 

Grand Father ( Nana) :
Hazrat Abdullah Sumaai 
Rehmatullahi alaih

Peer o Murshid :
Hazrat Qazi Abu Saeed Mubarak Mukhrami

Spritual Miricales : 
Memories 18 parah of Quran in Mother's womb.
Dead person became Alive 

Books :- 
Gunyatut Talibeen 
Fathul Ghaib 
Maktubat e Mehboob e Subhani
Risala Ghause Aazam

Demise (Yaume Wisaal ) : 11th Rabiul Akhir 
561 Hijri .
At age of 90 years .

Holy Shrine :- 
Baghdad Sharif (IRAQ) 

Compiled By
Moinuddin Siddiqui Barkati 
11 Rabiul Akhir 1446 Hijri 
Tuesday 2.20 Pm 



Monday, October 14, 2024

Namaz e Ghausiya Padhnay Ka Tareeqa

Namaz e Ghausiya 

Humare silsila ke Buzurgo se yeh Namaz Padhna sabit hai.
Humare Akabireen eski apnay Mureedo aur khulfa ko Baqaida eski ijazat likh kar diya kartay thae .
Huzur Sayyedul Ulma ke Baradar e Asghar Huzur Ahsanul ulma Hazrat Maulana Sayyed Shah Mustafa Haider Hasan Miya Marehravi Aley hir Rehman ne apni kitab Dawa e Dil me es Namaz ko Tehrir Farmaya hai
Allah paak Aap ki Qabr e Anwar par Rehmato Noor ki Barish Farmaye.

Namaz e Ghausiya 
Padhne ke Tareeka 
Maghrib ki Namaz ke baad 
2 Rakaat Namaz e Nafl ada kare Har Rakaat me 11 baar Surah e Ikhlaas (Qul hu wallah...) padhe phir Namaz padhkar 11 baar Durood e Ghausiya padhe
Phir 11 Qadam Iraq ki taraf Chale. Har Qadam par Huzur Ghause paak ka naam le aur 11 Qadam chal kar khada ho jaye Shahenshah e Baghdad Hazrat Ghause Aazam Shaikh Abdul Qadir Jilani Badhdadi ke wasila se 
Allah se Dua karen.
In sha Allah Har Hajat Puri hogi.

Jab bhi yeh Namaz Padhen
Es faqeer e Barkati 
Moinuddin ke liye bhi Zarur Dua karen

Duao ka Talib :
Khalifa e Huzur Waqare Millat,  Ashiq e Huzur Sayyed e Millat 
Abul Akmal  Moinuddin Siddiqui Qadri Barkati .
14/10/2024
10 -Jamadil Akhir 1446 Hijri 

Tuesday, October 8, 2024

Hazrat Ghaus e Aazam RadhiAllahu anhu ke 11 Naam Yaad Karen

Hazrat Peerane peer Ghaus e Aazam Dastagir 
Sayyedna Shaikh Abu Muhammad Mohiuddin Sayyed Abdul Qadir Jilani Badhdadi 
Aley hir Rehma ke 11 Naam
Enko Yaad Karen aur enke waseela se Dua karen
In sha Allah 
Har Dua maqbool hogi.

1) Hazrat Sayyed Mohiuddin 
2) Hazrat Sultan Mohiuddin 
3) Hazrat Qutub Mohiuddin 
4) Hazrat Khawaja Mohiuddin 
5) Hazrat Makhdoom Mohiuddin 
6) Hazrat Wali Mohiuddin 
7) Hazrat Badshah Mohiuddin 
8) Hazrat Shaikh Mohiuddin 
9) Hazrat Maulana Mohiuddin 
10) Hazrat Ghaus Mohiuddin 
11) Hazrat Khaleel Mohiuddin 

Talibe Dua :-
Faqeer e Qadri 
Khalifa e Waqar e Millat 
Aashiq e Sayyed e Millat Abul Akmal Moinuddin Siddiqui Barkati 
8/10/2024.
4 Rabiul Akhir 1446 Hijri .

Sunday, September 29, 2024

Aao Har roz Ek Sunnat Par Amal Karen

Har Din ek Sunnat par Amal karen

Aaj ke Es daur me Hum apni Zindagi ko apnay Tareekay se zeetay hai 
Humara khana 
Humara peena 
Humara Sona Humara jaagna sab Hum apnay system se kartay hai.
 Apni Sahuliyat dekhkar kartay hai.
Lekin Hona kya chahiye 
Hume kisko follow karna chahiye 
Allah taala Quran e Muqaddas me Farmata hai 
" Aur RasoolAllah ki Zindagi tumare liye behtareen Namuna hai"
The Life of the Prophet is best Example for you 
Hume  Har haal me Apni Zindagi  ko Nabi ke Tareeka ke mutabiq jeena hoga 
Tabhi hume Chain Aur Sukoon Naseeb hoga.
Hume Khanay me peenay me Uthanay baithnay me chalnay me sonay me jaagnay me  sab Me Allah ke Rasool ko follow karna padega .
Eske Duniya me bhi Faiday hai aur Akhirat me bhi faida hai ........
Aaj Dr hame bolta hai  tho uski baat hum badi pabandi se follow kartay hai Magar Humare Rasool ne jo kiya aur Humare Rasool ne jo kaha usko nahi maantay .
Apnay Dost ko Razi karne ke liye uski khushamad kartay hai Manatay hai maska lagatay hai.
Magar Allah aur uskay  ke Rasool ko Razi karne ke liye hum kya kartay hai ??

Aao Hum Hum Apnay Rasool ko Razi karnay ke liye unki Sunnato par Amal karen.
Har din Koi Sunnat par Amal karen  sirf Apnay Rasool ki Raza Hasil karne ke liye karen.
Apnay Rab ke Mehbob ko khush karnay ke liye .
Kyu ki unki Raza me hi Allah Ki Raza hai.
Allah Sab se pahley Mujhe Aur aap ko Amal karne ki Taufeeq ata farmaye aameen.
Hame karni hai Shahenshah e Batha ki Raza joie.
Woh Ho gaye Apnay Tho Rehmat e Parwardigar Apni 
⭐⭐⭐🌟🌟🌟⭐⭐⭐

Article By 
Moinuddin Siddiqui Barkati 
moinmsdi@gmail.com 
9821656862 

Saturday, September 21, 2024

Dilo ki Suntay hai Hazrat e Bahauddin Shah Baba

Dilo ki Suntay hai Hazrat e Bahauddin Shah Baba
Apnay Gulamo par Karam ki Nazar bhi kartay hai.

Kal raat Sufiyan ke Nikah ki Takreeb se fariq hokar Khatri Hall se Sidha Hazrat Bahauddin Shah Baba Ashfahani Aleyhir rehma ke aastanay par Hazri ka Sharaf hasil hua raat ke 11 bajne wale thae ..aastana band ho chuka tha.
Hum log Dawaze par Hazir hue jaliya pakad kar salam pesh kiya darwaza ke piche kaala gilaf tha dil me khayal aaya kya khadim hai jalio me gilaf kyu laga diya ....kash yeh gilaf hat jata kash darwaza khul jata abhi yeh sab soch hi Raha tha Fatiha start Kiya aur dua shuru kiya hi tha ki 
Andar se khadim aaya aur khilaf ata diya aur phir darwaza khul gaya jalio se dargah Sharif laki si Nazar aanay lagi ...kya khoob karam ho gaya  dil me kaha hi tha unhonay sun liya aur karam farma diya ....
Itni jaldi tamanna Puri hui ki yaqeen ho nahi ho raha tha...
Yeh yaadgaar Hazri rahi
Allah kabul Farmaye 
Aameen
Nooruddin Bhai aur unke ghar walo ke liye khaas  gaya tha arzi laganay 
Allah paak unki tamam Pareshanio ko dur farmaye aur Dushmani ko zer farmaye.
Apna Hifz o Amaan sab ko ata farmaye aameen.


Article By 
Moinuddin Siddiqui Barkati 
21/9/2024

Sunday, September 15, 2024

Eid e Milad kaise Manayen ??

Eid e Milaadun Nabi 
Sallallahu alihi wa 
Par kya karen ?????

Humare Aaqa Nabi e Kareem Sallallahu alihi wa sallam ka Yaume wiladat .
12 Rabiul Awwal  ko Har saal manaya jata hai.

Hume Apnay Aaqa ki Wiladat khoob Dhoom se manana chahiye.
Wiladat e Mustafa ke Mauke par 

1) Subah e Sadiq ke waqat Durood o Salaam padhen 

2) Apnay Ghar Par Parcham e Risalat lagaye 

3) Gharo par chiragah ( Lighting ) karen

4) Agar Aap ke area me masjid me yaha kisi Khanqah me ya Ghar par Mue Mubarak Ho Uski Ziyarat karen

5 Gareebo aur yateemo ka khayal karen 

6) Ration baantay Gareebo me 
7) Hospitals me Fruits Distribution karen patients ko

9 ) Mareezo ke liye Dawai ka Intezam kar den

10) 12 School ke bachcho ki fees bharden agar sahib e sarwat hai tho warna ek ki hi fees bhar den

11) Juloos e Muhammadi Durood o salam padhtay hue nikalen 
Aur usmay Shirkat karen

Article By 
Moinuddin Siddiqui 
Barkati 
Barkati Manzil 
Bhandup 

Friday, September 13, 2024

Khudkushi Samaaj ka Sulagta hua Masla

Meri Qaum ke Naujawano 
Assalamualaikum 
Aaj Humare Bhandup me ek Naujwan ka janaza me Shirkat kiya kal usnay Faansi laga liya tha .....
2 chotay chotay Bachcho ka baap hai ....ek 4 saal ek 2 saal ki betiya hai en bachcho ka kya kasur tha jo en ko zindagi par le liye yareemi ka daagh jhelna padega ........
2 bachchay aur aurat ghar me 
Phir bhi sukoon nahi ghar me 
Zimmedar kaun hai ?????
Biwi ke hotay hue En sahab ne extra Marital affair chala rakhkha tha woh bhi ek 3ri aurat se .......
Bahut afsos hua tha sunkar 
Meeting bithai gayi 2-2 baar ...Magar Natija kuch bhi nahi nikla lakh sabne samjhaya par hasil kuch nahi hua😭😭
Aaj Society me yeh Chalan aam hota ja raha 2-3 bachcho ki Maa hai kabhi kisi aadmi ko fasa liye ....kabhi kuware Naujwan ko Fasa liye aur phir samnay wale ka ghar barbaad sath me apna bhi ghar barbaad😭😭
Society me es par kahi kahi bedaari lane ki zarurat hai 
Kahi na kahi logo ko batane ki zarurat hai ki yeh sab haraam se bacho warna aanay wali naslay kharab ho jayengi .....
Aurato me bedari laane aur taleem aur Tarbiyat ki bahut zarurat hai
Aao sab milkar
Es burai ke khilaf 
Awaaz uthaye ....
Aur ek Dusray ka sath de Burai ke khilaaf

Article By
Moinuddin Siddiqui Barkati
13/09/2024

Monday, April 22, 2024

Fazail e Hazrat Maula Ali Radhiallahuanhu Ahadees ki Roshani me

یہ وہ احادیث ہیں، جوہمیشہ بتانے کے بجائے چھپانے میں چودہ سو سال لگا دئیے، یہ احادیث کتابوں میں درج ہیں اور اب سوشل میڈیا پر شائع ہوتی ہیں

حدیث :- 1
"علی کا چہرہ دیکھنا عبادت ہے"۔
حوالہ :- (مستدرک الحاکم جلد 3 صفحہ 11) 

حدیث نمبر :- 2
"علی کا ذکر عبادت ہے"۔
حوالہ :- ( کنز العمال جلد 11 
صفحہ 601)

حدیث نمبر :- 3 
"علی کو مجھ سے وہی نسبت ہے،جو موسی کو ہارون سے تھی سواے اس کے کہ میرے بعد کوی نبی نہیں"۔
حوالہ :- ( صحیح بخاری جلد 3 صفحہ 1142)
(صحیح مسلم جلد 31 صفحہ نمبر 5931)

حدیث:- 4
یوم خیبر ، "کل علم اس کو دوں گا جو اللہ،اسکے رسول کا محبوب ترین ہوگا"۔
حوالہ :- ( صحیح مسلم جلد 31،صفحہ 5917)

حدیث:- 5
"میرے بعد جو چیزیں باعث اختلاف ہوں گی ، ان میں علی کی عدالت سب سے بہترین ہے" ۔
(کنز اعمال جلد 13، صفحہ 120)

حدیث نمبر:- 6
"علی تمہارے درمیان بہترین حاکم ہے"۔
(کنز اعمال جلد 13،صفحہ 120)

حدیث نمبر:- 7
" میں سردار فرزندان آدم ہوں، (علی) سرور عرب ہے"۔
حوالہ :- (مستدرک الحاکم جلد 3، صفحہ 123)

حدیث نمبر:- 8
"یوم خندق ضربت علی, ثقلین کی عبادت سے افضل ہے "۔
حوالہ :- (مستدرک الحاکم جلد 3 صفحہ 34)

حدیث نمبر :- 9 
"علی کے گھر کے علاوہ مسجد نبوی کے اندر کھلنے والے تمام دروازے بند کر دیے جائیں" ۔
حوالہ:- (مستدرک الحاکم جلد 3،صفحہ 125)

حدیث نمبر:- 10
"علی مجھ سے ہے اور میں علی سے ہوں"۔
حوالہ جات :- (مسند احمد ابن حمبل جلد 5،صفحہ 606)
( صحیح ترمذی جلد 13،صفحہ 168)

حدیث نمبر:- 11
لشکر روانہ کرتے وقت فرمایا، "خدایا مجھے اس وقت تک موت نا دینا جب تک علی کو دوبارہ دیکھ نہ لوں ،راوی ام ایمن " ۔
حوالہ :- (صحیح ترمذی جلد 13 صفحہ 178)

حدیث نمبر:- 12
علی حق کے ساتھ ہے اور حق علی کے ساتھ ہے۔ حوالہ :- ( صحیح ترمذی جلد 31،صفحہ 166) 

حدیث نمبر:- 13
اہل سنت کے مفسر امام جلال الدین سیوطی نے تفسیر در منثور میں درج کیا ہے جب قرآن کی یہ آیت آئی کہ :-
اے رسول ! پہنچا دیجئے اپنے رب کی طرف سے جو آپ پہ نازل ہوا... (سورہ مائدہ 67)
اس آیت کے بعد آخری حج سے واپسی پر خم غدیر کے مقام پر رسول (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ) نے سوالاکھ صحابہ کرام کے مجمعے میں علی (علیہ السلام ) کا ہاتھ بلند کر کے اعلان کیا :- "جس جس کا میں مولا ، اس اس کا علی( علیہ السلام ) مولا

حدیث نمبر :- 14 
"جس نے علی کو ستایا ، اس نے مجھے ستایا" ۔ حوالہ :- (مسند امام احمد ابن حمبل جلد 4 صفحہ 534)
حدیث نمبر:- 15

"جس نے علی سے دشمنی کی ، اس نے مجھ سے دشمنی کی"۔
(مناقب علی ابن ابی طالب صفحہ 192)

حدیث نمبر:- 16
"اے علی ! مومن کے علاوہ کوئی تم سے محبت نہیں کرسکتا، منافق کے علاوہ کوئی تم سے بغض نہیں رکھ سکتا"۔
حوالہ :- (صحیح ترمذی جلد 13 صفحہ 177)  
مسلم شریف میں اسی حدیث کا مفصل طرق موجود ہے 
مسلم شریف حدیث نمبر 240

حدیث نمبر:- 17
"علی کی دوستی برائیوں کو یوں کھاتی ہے جیسے آگ لکڑی کو" ۔
حوالہ:- (کنز العمال جلد 11،صفحہ 125)

حدیث نمبر:-18
"اے علی ! جو ہماری اطاعت کرے گا اس نے خدا کی اطاعت کی"، راوی ابوذر غفاری 
حوالہ:- (مستدرک الحاکم جلد 3،صفحہ 123)

حدیث نمبر:- 19
(میرا پروردگار مجھے رات کو آسمان لے گیا اور علی کے بارے میں مجھے 3 چیزوں کی وحی کی )
"علی پرہیز گاروں کا پیشوا ، مومنین کے ولی ، اور نورانی چہروں کے رہبر ہے"۔
حوالہ:- (مستدرک الحاکم جلد 3،صفحہ 138)

حدیث نمبر:- 20
میں علم کا شہر ہوں اور علی اسکا دروازہ ہے۔
حوالہ جات:- (کنز العمال جلد 13 صفحہ 148)
(مستدرک الحاکم جلد 3،صفحہ 127)

حدیث نمبر:- 21 
مواخات مدینہ ، "اے علی تم دنیا آخرت میں میرے بھائی ہو"۔
حوالہ(تاریخ ابن کثیر جلد 3،صفحہ 223)
کاپی پیسٹ
Naushad Alam Chisti sb ke wall se Shukriya ke sath 

Thursday, February 1, 2024

Juma Mubarak

Apna Kaun

Aaj Ke Daur me Apna kaun hai Paraya kaun hai yeh pahchannay bada mushkil kaam ho gaya hai 
Aaj Ki Duniya bilkul Matlabi ban gayi hai . Sirf Logo ko jab matlab hota hai woh aap ke hotay hai aap ke aagye pichay ghumtay hai
Jab matlab nikal gaya log aap ko akela chor dete hai .
Aap lakh dil o Jaan se kisi ke liye khade ho jao bas Allah ummed rakhkho woh hi kuch sunega aur dusra tho sirf tamasha dekhta hai aur tamasha banata hai.
Allah par bharosa rakhkhen insaano se ummed rakhna chor den.
Allah ka Zikr kare Insha Allah dilo ko zarur sukoon milega .

Article by 
Moinuddin Siddiqui Barkati