Compiled by : Hazrat Allama Syed Shah Aley Rasool Hasnain Miya Marehravi
Aleyhir Rehma
Transliterated by : Moinuddin Siddiqui Barkati.
First Chapter:
Topic : Noor e Mohammadi
Post No : 5
8) Riwayat hai ki Huzur Sallallahu alaihi wasallam ke Dada Hazrat Abdul Mutalib ne Huzur Sallallahu alaihi wasallam ki Paidaish se kuch arsa pahley aap ko khawab me dekha ki ek sonay ki Zanzeer aap ki peeth se nikli ki ek taraf zameen me
Aur ek taraf mashrik me hai aur
Ek taraf maghrib me hai aur eske baad wah Zanzeer ek Darakth ho gayi ki uski pattiya par aisa Noor hai ki Suraj se Sattar Darja ziyada chamak raha hai ki vaisa Noor unhonay kabhi nahi dekha tha aur es Noor ki kirnay har ghadi badhti ja rahi thi aur Mashriq aur Maghrib wale es Darakth me liptay hue hai aur Arab aur ajam ke log esay Sajda
Kar rahe hai aur Quresh ke kuch log eske sath latkay hue hai. Aur Quresh ke kuch log esay kaatna chahtay hai jab eskay paas aatay hai tho ek haseen jawan unhay pakad kar unki peeth thod daalta hai aur unki aankhein phod daalta hai.
Hazrat Abdul Mutalib ne yeh khawab Quresh ki ek jadu tona karne wali aurat se bayan kiya, usnay tabeer batayi ki Teri peeth se ek ladka paida hoga ki Mashriq aur Maghrib ke rahnay wale uskay mureed hongye aur Zameen Aasmaan ke rahnay wale uski hamd karengye . Esi wajah se Hazrat Abdul Mutalib ne aap ka Naam Muhammad rakhkha.
(Nuzhatul Qari ).
Hawala Kya aap jantay hai page 11-12 Hindi Edition).
Jari hai ............
No comments:
Post a Comment