Total Pageviews

Thursday, October 27, 2022

As-hab e Arba ke Naam

As-hab e Arba ke Naam 
1) Hazrat khawaj Abdul Raheem Mashriqi Aleyhir Rehma
2) Hazrat khawaja Abdul Kareem Maghribi Aleyhir Rehma 
3) Hazrat khawaja Abdur Rasheed Shumali Aleyhir Rehma
4) Hazrat Khawaja Abdul Jaleel Junubi Aleyhir Rehma.

Thursday, October 6, 2022

Kya Aap Jantay hai?? Post #5 Hazrat Sayed Shah Aley Rasool Hasnain Miya Nazmi Marehravi Aleyhir Rehma

Kya Aap Jaantay hai ??
Compiled by : Hazrat Allama Syed Shah Aley Rasool Hasnain Miya Marehravi
Aleyhir Rehma
Transliterated by : Moinuddin Siddiqui Barkati.

First Chapter: 
Topic : Noor e Mohammadi
Post No : 5

8) Riwayat hai ki Huzur Sallallahu alaihi wasallam ke Dada Hazrat Abdul Mutalib ne Huzur Sallallahu alaihi wasallam ki Paidaish se kuch arsa pahley aap ko khawab me dekha ki ek sonay ki Zanzeer aap ki peeth se nikli ki ek taraf zameen me 
Aur ek taraf mashrik me hai aur 
Ek taraf maghrib me hai aur eske baad wah Zanzeer ek Darakth ho gayi ki uski pattiya par aisa Noor hai ki Suraj se Sattar Darja ziyada chamak raha hai ki vaisa Noor unhonay kabhi nahi dekha tha aur es Noor ki kirnay har ghadi badhti ja rahi thi aur Mashriq aur Maghrib wale es Darakth me liptay hue hai aur Arab aur ajam ke log esay Sajda
Kar rahe hai aur Quresh ke kuch log eske sath latkay hue hai. Aur Quresh ke kuch log esay kaatna chahtay hai jab eskay paas aatay hai tho ek haseen jawan unhay pakad kar unki peeth thod daalta hai aur unki aankhein phod daalta hai. 
Hazrat Abdul Mutalib ne yeh khawab Quresh ki ek jadu tona karne wali aurat se bayan kiya, usnay tabeer batayi ki Teri peeth se ek ladka paida hoga ki Mashriq aur Maghrib ke rahnay wale uskay mureed hongye aur Zameen Aasmaan ke rahnay wale uski hamd karengye . Esi wajah se Hazrat Abdul Mutalib ne aap ka Naam Muhammad rakhkha.
(Nuzhatul Qari ).

Hawala Kya aap jantay hai page 11-12 Hindi Edition).
Jari hai ............




Sunday, October 2, 2022

kya Aap Jantay hai ?? post #4

Kya Aap Jaantay hai ??
Compiled by : Hazrat Allama Syed Shah Aley Rasool Hasnain Miya Marehravi
Aleyhir Rehma
Transliterated by : Moinuddin Siddiqui Barkati.

First Chapter: 
Topic : Noor e Mohammadi
Post No : 4

9) Zahoor e Nabuwat ki ibtada Ruyahey Sadiqa yani Sachchay Khawabo se hui jin ki Muddat 6 Maah thi . Surah Iqra ka Nujool Ramdhan me hua Es tarah Sabit hua ki Ruyahey Sadiqa ki ibtada Rabiul awwal Sharif se hui. 
Es Tarah Rabiul awwal Sharif ko Huzur Sallallahu alaihi wasallam
Ki Zaat e Tayyaba se 4 khususiyat hasil hui hai.
Wiladat, Wisaal, Takmeel e Hijrat, aur Zahoor e Nabuwat.

10) Imam e shaabi ne farmaya ki beshat e Aqdas ke Ibtadai 3 saal 
Hazrat Israfeel Aleyhis Salam wahi laanay par muqarar thae phir yeh khidmat Hazrat Jibraiel Aleyhis Salam ko saupi gayi unhi ki wasatat (Zariye) se pura Qura'an Nazil hua.

11) Huzur Sallallahu alaihi wasallam Kabah ke kabah hai esi liye Aap ki wiladat e paak par Kabah e Muazzama ne Hazrat e Amina Khatoon ke maqam ya Maqam e Ibrahim ki taraf Sajdah kiya tha.
                           Jari hai................

Saturday, October 1, 2022

Kya Aap Jaantay hai?? Post #3 Hazrat Sayyed Shah Aley Rasool Hasnain Miya Nazmi Marehravi Aleyhir Rehma

Kya Aap Jaantay hai ??
Compiled by  : Hazrat Allama Syed Shah Aley Rasool Hasnain Miya Marehravi
Aleyhir Rehma Marehra Sharif.
Transliterated by : Moinuddin Siddiqui Barkati.

First Chapter: 
Topic : Noor e Mohammadi
Post No : 3

6) Hazrat e Jabir Radiallahu anhu
Se Marvi hai ki Sayyed e Aalam Sallallahu alaihi wasallam ne Farmaya Mai us Patthar ko pahchanta hu jo Beshat se Pahley Mujhe Salam kiya karta tha .

7) Hazrat Anas Radiallahu ta'ala anhu se riwayat hai ki Allah Ta'ala ne Takhleeq e kainaat se 2 Hazaar saal pahley Huzur Sallallahu alaihi wasallam ka Naam Muhammed rakhkha.

8) Rooh ki Tarakki 9 Qism par hai
1- Momin 2- Aabid 3- Zahid 4- Aarif
5- Wali 6- Nabi 7- Mursal 8- Ululazm
9- Khatim . Huzur Sallallahu alaihi wasallam me Kul Maratib Jamaa hai. Magar Huzur Sallallahu alaihi wasallam ka Martaba kisi me Jama Nahi .  
                          Jari hai...................