Total Pageviews

Tuesday, January 25, 2022

Manqabat Hazrat e Abu Bakr Siddiq | Kalam e Nazmi Marehravi | Lyric Vazir e Shah e Risalat hai Hazrat e Siddiq

Vazir e Shah_e_Risalat |
Manqabat Hazrat Abu Bakar Siddiq RadhiAllahu anhu |
Kalam e Nazmi 

Vazir e Shah e Risalat hai Hazrat e Siddiq
Aseer e Zulf e Nabuwat hai 
Hazrat e Siddiq

Makeen e Qasr e Sadaqat hai 
Hazrat e Siddiq
Ameen e Aman o Amanat hai 
 Hazrat e Siddiq

Woh Jinko baad e  Nabi Afzalul Bashar kahiye
Sarapa Ahley Fazilat hai
Hazrat e Siddiq

Kalam e paak Jinko kahe Sani asnain
Rafeeq e Sahab e Hijrat hai Hazrat e Siddiq

Unho nay deen par sab kuch luta diya apna 
Haqiqi Saheb e Sarwat hai 
Hazrat e Siddiq

Mila hai Momin e awwal ka Iftekhar unhey
Nisaar e Maahe Nabuwat hai Hazrat e Siddiq

Mili hai baad e Nabi jinko Masnad e Irshaad
Woh Tajdar e khilafat hai Hazrat e Siddiq

Jinhey Nabi ne Musalla ata kiya  apna 
Woh Naaz o Shan e Imamat hai Hazrat e Siddiq

Na kyu ho Naaz Hame Unke Naam par Nazmi
Hamare Jad ki karamat hai 
Hazrat e Siddiq

Kalam Writeen by
Hazrat Sayed Shah Aley Rasool Hasnain Miya Nazmi Marehravi Aleyhir rehma
(Ba'adaz khuda page  no 291)













Sunday, January 23, 2022

Manqabat Sayyeda Fatimah Zahra Salamullah alaiha |By Moin Barkati

Dukhtar e Sarwar e kaunain  Sayyeda Zahra
Hasan Husein ke dil ka chain  Sayyeda Zahra

Jiske dar par aaye jibraiel sawali bankar
Nayab e sarware kaunain  Sayyeda Zahra.

Ali jaisa kamil khawind mila jisko
Bangayi mazmaul bahrain sayyeda Zahra.

Sayyeda Zainab e kubra ki Ammi jaan
Hasan Husein jinke naiyan Sayyeda Zahra

MOIN e aasi bhi mangta hai tumhare darka
Ese bhi aa jaye chain Sayyeda zahra 

Kalam writeen by Moinuddin siddiqui Barkati (Moin Barkati) 

10 September 2021

Manqabat posted Today on 20 Jamadil Akhir 1443 Hijri 23 January 2022. 

Saturday, January 22, 2022

Lyrics Alfaaz Nahi Miltay Sarkar ko kya khaiye |Kalam e Nazmi |

Alfaaz Nahi Milte Sarkaar Ko Kya Kahiye
Jibreel Salaami De Darbaar Ko Kya Kahiye.

Akhalqe Muhammad Ki Kya Shaan Niraali Hai
Dushman Bhi Padhe Kalma Kirdaar Ko Kya Kahiye.

Misaqe Azal Me Jo Iqraare Bala Thehra
Jaari Hai Wo Mehshar Tak Iqraar Ko Kya Kahiye.

Bas Ek Palak Jhapki Meraaj Hui Poori
Us Saahibe Rif’at Ki Raftaar Ko Kya Kahiye.

Thi Nutqe Muhammad Me Taasire Kalaame Rab
Fusha Bhi Bane Gunge Guftaar Ko Kya Kahiye.

Ek Ek Sahabi Par Firdaus Bhi Naazaan Hai
Siddique Umar Usman Karraar Ko Kya Kahiye.

Aye Toor Tujhe Shayad Wo Baat Na Bhooli Ho
Israar Ko Kya Kahiye Inkaar Ko Kya Kahiye.

Woh Gaar Ke Jisne Ek Tareekh Banaayi Hai,
Us Gaar Ko Kya Kahiye us Yaar Ko Kya Kahiye.

Nazmi Teri Naato Ka Andaaz Niraala Hai,
Mazmoon Anokhe Hai Ash’aar Ko Kya Kahiye.

Friday, January 14, 2022

Biography Of Huzur Sayyedul ulma Hazrat Maulana Syed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Marehravi Aleyhir Rehma (1915-1974)

Biography of Huzur Sayyedul ulma Hazrat Maulana Syed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Marehravi Aleyhir rehma.

Huzur Sayyedul Ulma Hazrat Allama Maulana Mufti Sayyed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Marehravi Aleyhir Rehma
Ka Naam Aulad e Haider Aley Mustafa hai.
Laqab : Sayyedul ulma , Sandul Hukma ,  
Muqtada e Ahley Sunnat etc.....
Kunniyat : Abul Hasnain
Takhallus : Sayyed Marehravi

Khandan : Aap Hussaini sadaat hai   Hazrat  zaid saheed ibne E Imam Zainulabideen Aley his Salam  ki aulad me  43 vi pusht me Aap ka Shajrah e Nasab Imam e Hussain AleyhisSalam se milta hai.
Maa ki taraf se bhi  ki taraf se bhi Aap Hussaini Sayyed hai.
42vi pusht me Sajrah e Nasab 
Hazrat Imam e Hussain AleyhisSalam se Jakar milta hai.

Paidaish : 25 Rajjab 1233 Hijri 9 June 1915 Baroz Budh ko Marehara Sharif me Paida hue

Walid : Aap ke walid Hazrat Sayyed Shah Basheer Haider  Aley Eba bin Hazrat Shah Husain Haider bahut bade Adeeb thae, Awara Takhallus farmatay thae aap Hazrat Qasim Miya Marehravi Aleyhir Rehma ke Damaad thae...
Walida : Sayyeda ShaherBano Beghum bint e Sayyed Shah Ismail Hasan Sb thi.

Bait o khilafat : Aap Apnay Nana  Shaikh e kaamil  Hazrat Sayyed Shah Abul Qasim Ismail Hasan Shahji miya se Mureed thae aur aap ke Khalifa bhi thae
Sath hi aapke Mamu jaan Hazrat Sayyed Shah Aulad e Rasool Muhammad miya Marehravi Aleyhir Rehma se bhi ijazat o khilafat hasil thi . Esi ke sath sath Hazrat Mehndi miya Marehravi Aleyhir Rehma ne Aur Hazrat SAYYED Shah Irtaza
Husein  bholey Miya sb Marehravi Aleyhir Rehma ne Apni Hayaat me hi aap ko Ijjazat o khilafat se nawaza Balki Apna wasi o janasheen bankar apni Gaddi par bitha diya.

Taleem o Tarbiyat : Aap ki Taleem o Tarbiyat aap ke Nana aur Mamu jaan ki aagosh me hui Khanqah shareef me hi Hifz e Quran kiya aur Bade umda Qari baney......Maualana  Hashmat Ali sb aur Sadrusshariya Maulana Amjad Ali Aleyhir Rehma ke khaas Shagirdo me aap ka shumar hota hai Jamiya Moiniya Se Dastar e Fazilat hasil farmayi.
MA Ke Barabar degree Deeniyat Molvi Aalim ki Punjab Board se Hasil ki, Aligarh Muslim University se Tibbay unani me  Hiqmat ka Diploma
DIMS  bhi kiya
Zahiri Taleem tho yeh thi Batni khuda jane  Hazrat Mufti Shareeful haq sb Amjadi  farmatay hai ki zaheeri taleem tho yeh thi batini khuda jane Machli ke bachcho ko tairna kab kaun sikhata hai,......

Ilmi kaarnama : 
"Mukadas khatoon" aur "Nai Roshani" do deeni Novel tehrir me milti hai ek Tanqeedi Maqala Faiz e Tambiya bhi shaya hua

Sher o Shayri 
Aap ne Kai Naat o Manqabat kahi hai Humne Apnay Hazrat se suna tha ki Aligarh se Marehra jatay hue Aap ki Dairy aur suitcase chori hogaya tha jisme me Yeh sarmaya bhi tha
Kai Naat o Manqabat milti hai Tanveer e Mustafa me Sayyed e Millat ne aap ke kai kalam jama kiya  hai
Mufti Taufeeq Ahsan Barkati ne bhi Aap ke kalaam ko Apni Kitab "Sayyedul ulma shakash wa Aks" me Jama kar diya hai
Aap ka Takhallus "Sayyed" tha.
Aap ka Mashoor e Zamana Sher Har khaas o aam ki zuban par rahta hai 
"Kisi ki Jai Vijay Hum kyu pukaren kya garaz humko
Hame Kafi hai Sayyed Apna Naara Ya RasoolAllah"
"Hussain tumko Zamana salam kehta hai " Aap ka bahut hi Mashoor salam hai jo Muharram ki majliso me aksar padha jata hai

Mumbai Me Khateeb o Imam. :
1949 Me Aap Mumbai Tashreef laye aur Masjid e khadak ki Khitabat aur Imamat ki Zimmedari Sambhali aur Akhari Dam tak (1974) Wahi rahe.......

Khitabat : 
Huzur Sayyedul ulma Hazrat Maulana Syed Shah Aley Mustafa Sayyed Miya Marehravi Aleyhir Rehma Bahut paye ke Khateeb thae..
Balki Apne zamane ke khateeb e Azam thae .
Muharram Shareef Me Chimna buther Street Mumbai me 10 din Tak khitaab farmate thae.
(Balki Mumbai me Muharram commetteeya Qayam farmayi 
Puray Hindustan se Ulma ko bulatay aur Unko alag alag jagah par Takrir ke liye bheja kartay , agar koi Aalim rah jata tho apne zebe khaas se usko nazrana dekar bhejtay thae.)
11Vi Shareef Me 11Din Bhisti Mohallah Dongri MUMBAI me Bayaan farmate thae.
Khitabat me aap ka apnay zamanay me koi Sani nahi tha
Ek Martaba Ahmedabad me Fajr ki Subah tak Akele bayan farmaya tha ......
Bahtareen Munazir bhi thae aap ne Kai jagah Munazara bhi   kiya khaas karke Zuri ka Munazara , Bhiwandi ka Munazra kabil e zikr hai
All India Sunni Jamiyatul ulma ki Conference (1963)  me  kanpur me Woh Tareekhi khutba diya ki aaj tak yaad kiya jata hai aaj bhi Ahley Sunnat us par amal kare tho Kamyabi hasil karen.
Aap ke kai khitaab Ko Sab se pahley Barkaati channel ne 
youtube par Upload kiya hai.
Aap ke khutbaat ka Majmua es Faqeer e Barkati (Moin Barkati) ki farmaish par Mufti Taufeeq Ahsan Barkati ne Qalam band kiya aur Bazm e Barkaat Aley Mustafa Mumbai ne usko chapa .

Talbeegi Dauray :
Hindustan ke Mukhtalif hisso me  dehato me gaon me  Mumbai Maharashtra Karnataka Gujarat MP UP Bihar me  Rajasthan me Talbeegi Dauray farmatay 
India ke Bahar Nepal ka bhi Daura farmaya kai log  Aap ke haato par musharaf ba Islam bhi hue....
Hazaro lakho Mureed thae lekin Hamesha Gareebo ko tarjeeh di  Mere Walid Hazrat Baba Abdul Qadir siddqui  Barkati farmaya kartay ki Sayyedul ulma agar chahtay apni khanqah  Sonay ke einto se banwa letay ...lekin woh ek sachchay Durwesh e kaamil thae jo duniya ki daulat ke peechey kabhi na gaye....
Apney Mureedo ko Hamesha Taleem dete ki Beta Faldaar darakhth Bano  Faldar darakth hamesha jhuka hota hai aur Khali jhaad tana hua rahta hai..
Kabhi farmatay phool Bano taki log Dastar me sajayen Galey ka haar banaye Pathhar na bano ko woh Logo ki Thokar me hota hai.
Farmatay Beta Hamesha Dastarkhan wasi Rakhkho kabhi Rizq tang nahi hoga.
Apnay ek Bayan me Farmatay hai ki Ek Martaba Ek Shaqkh me Black board par ek Lakeer kheench di aur kaha esko kaatna nahi hai Mitana nahi hai 
Esko chota karke dikhao 
Sab pareshan hogaye 
Ek Aqal mand aaya aur Chalk lekar aaya aur usnay us lakeer ke  barabar apni thodi badi lakeer kheench di.... Woh pahley wali  lakeer apnay aaphi 
 choti hogayi , Aap phir farmatay hai yehi Mai kahta hu Unko kaatao mat Mitane ki kosish mat karo bas apni lakeer badi bana do.


Ahem Kaarnama :
Puray Hindustan me Madaris 
 e Ahley Sunnat ka Qayaam
1956 me All India Sunni Jamiyatul ulma ka Qayam.
✓ Juloos e Ghausiya Ka Qayaam
✓ Salana Shaheed e Azam Conference ka Qayaam 
✓ Ahley Sunnat ko ek Parcham diya Jisme Gumbad e khizra hai aur usi ke niche sab ko jama bhi kiya ek platform par
✓ Ruyat e Hilal commette ke head tahe Jama masjid Mumbai Jaya kartay thae aur Ahley Sunnat ki Numaindagi ka haq ada farmaya, Aap ka faisla akhiri faisla hua karta tha aap 29 ko Haji Ali Samndar me kashti se Ahbab ke sath khud chand dekhne jaya kartay thae..
Hazrat Hafeez e Millat Maualana Abdul Aziz sb ki Dawat par Aljamiyatul Ashrafia Mubarakpur Arabic University ka Sange Buniyad Mufti e Azam ke sath milkar rakhkha.
✓ Hafiz e Millat se Tareekhi jumla farmaya Jaha Aap ka paseena girega Yeh sayyed apna khoon baha dega Ashrafia ke liye......
✓ Mumbai ki Sunniyat ko Mazboot karne ke liye Huzur Ashraful ulma Hazrat Maulana Syed Hamid Ashraf kichochawi ko Mubararpur se Mumbai bulaya aur Zakariya masjid ki Imamat saupi 
Huzur Ashraful ulma ke Sath milkar Daruluoom Muhammadiya ka Qayam farmaya aur unka bharpur support Kiya Balki jaha jaha Daftar se Khateeb Muharram Shareef me jatay bayan karne ya Ramzan me taraveeh ke liye unko Muhammadiya ki Raseed Book diya kartay ki Chanda karke layen....
✓ Fatwa lene koi aata Usko Madanpura Badi Masjid Maualana Mehboob Ali Sb ke paas bhejtay
✓ Mureed honay log aatay unko Zakaria masjid bheja kartay thae ......(yeh unki Muhabbat thi aur dusro ko aagaye badhane ka Zazba tha jo aaj logo me nahi raha )
Marehra Sharif se seh Mahi Risala Ahley Sunnat ki awaaz nikala kartay thae uskey mudeer e aala (chief Editor) thae.
✓ Masjid e Aqsa Par Hamley ke khilaf Tareekhi Ahtejaj
✓ Nasbandi ke khilaf Mulkgeer Ahtijaz kiya 
Hukumat e Hind Se aksar farmaya kartay Bitya Indira kaan kholkar sun lo Tumhare paas Kursi hai Humaray paas Aytul kursi Hai 
*Hukumat ne Rajyasabha ki seat offer kiya tha usko tukra diya aur farmaya "Humare paas Aytul kursi hai Hame kursi ki zarurat nahi hai".


Wisaal : Aap ka Wisal 10 Jamdil Akhir ka Din guzarkar 11 Jamadil Akhir 1394 Hijri ki raat 11.40 min par Mumbai ke Ismailiya Hospital me Wisaal farmaya
Angrezi Tareek thi 1 July 1974.
Wisaal ke waqat aap ke seene par Shifa Shareef rakhkhi hui thi......

Namaz e Janaza : 
Pahle Namaz e Janaz Huzur Ashraful ulma Hazrat Maulana Syed Hamid Ashraf jilani  kichochawi ne Mumbai me jhula maidan me padhai
Huqumat e Hind ki taraf se  Toopo ki salami di gayi aur sarkari aijaz se ruksat kiya gaya....janaza Plane Se Delhi waha se Marehra Sharif laya gaya waha Aap ke Eklowtay sahabzade Hazrat Allama Aley Rasool Hasnain Miya Nazmi Marehravi ne padhai.

Aulaad :  Aap ke ek Sahabzade thae Hazrat Allama Sayed Shah Aley Rasool Hasnain Miya Nazmi Marehravi aur 5 Sahabzadiya thi.
Khulfa : -
1) Hazrat Sayyed Aley Rasool Hasnain Miya Nazmi Marehravi
2) Hazrat Sayyed Ashraf Miya sb
Marehravi.
3) Maulana Abdul Qadir khatri sb Mumbai 
4) Sufi Sakhawat Ali sb Maghar UP
5) Maulana Gulam Abdul Qadir Alvi sb Barawan Sharif UP 
6) Mufti Zaish Muhammad sb Nepal
7) Sufi sb Bihar 
Mazaar e Mubarak : 
Aap ki Tadfeen khanqah e Barkatiya Marehra Sharif me aap ke Murshid aur Nana jaan Shah Qasim Miya Marehravi Aleyhir Rehma  ke mazar e Mubarak ke sehan me hui

Apnay Murshid Hazrat Nazmi
Miya Marehravi Aleyhir Rehma ke es Sher par Apna Mazmoon khatam karta hu
Nazmi Aasi ne Yeh Kahkar rakhkha apna Qalam
Hum pe Thae Allah ki Rehmat Hazrat e Sayyed Miya

Duao ka Talabgaar
Khadim e Barkatiyat  Gulam e Nazmi 
Moinuddin siddiqui Barkati
Khadim Bazm e Barkaat Aley Mustafa Mumbai.
11 Jamdil Akhir 1443
14 Jan 2022. Juma
Allah es choti si khidmat ko kubul Farmaye aur toshaye akhirat banaye .
Aameen