Sayyedul ulma ne apna madarsa kyu nahi banaya
Huzur sayyedul ulma Maulana Shah Aley Mustafa sayyed miya ka ek zamana tha jab aap ke naam se Hukumaten Kanpa karti thi
Jo Wazir e aazam ko Lalkar kar kahtay thae....
"Bitya Indira kaan khol ke sunlo tumhare paas
Kursi hai tho Humare paas
Aaytul kursi hai ".
Unke naam par us zamne me 50 hazaar ka Lakho ka majma hua karta tha .
Aap Marehra Sharif ki Khanqah ke Sahib e Sajjadah bhi thae .
All India Sunni jamiyatul ulma ke president rahe
Phir bhi sawal hai ki aap ne apna zati koi madarsa kyu nahi banaya ???
Uski sab se badi wajah thi ki Aap sab Madarso ko apna madarsa samjhtay thae ....puray hindustan me ghum ghumkar Madarso ki buniyad daali aur sunniyat ko mazboot kiya.
Mumbai me Huzur Ashraful ulma se Muhammadiya ki buniyad rakhkhi aur
Mubarak pur me Hafiz e Mullat ka khul kar sath diya aur farmaya "Jaha aap ka paseena bahega waha Marehra ka yeh sayyed Apna khoon bahayega ".
Yeh Himmat aur Supoort tha jis se Hafiz e millat ko boosting mili aap ne Arabaic university Aljamiyatul Ashrafia ki Buniyad dali .......
Aur uske liye Huzur sayyedul ulma ko bulaya
Mumbai se Aap ne kaha tha ki Mufti e Aazam ko mai leke aaunga.
Phir dono buzurgo ne apnay dastay Mubarak se Aljamiyatul Ashrafia ki Buniyad rakhkhi
Es Tarah sayyedul ulma ne Madarso ko Gaon Gaon jakar uski buniyad rakhkhi
Maghar Darul uloom Barkaatiya bhi uski ek missal hai....
Allah Huzur sayyedul ulma ki En khidaamat ko Kabul farmaye, Aap ki Qabar par rehmato noor ki barish farmaye.
Aameen
An Article by
Moinuddin Siddiqui Barkati
B.sc. B.ed