2 January 2025 mutabiq 1 Rajjabul Murajjab 1446 Hijri dophar 2bajkar 25 min par Walida e Mohtarma Sabira Bi Siddiqua ka Intaqal hogaya
Ammi ek Saal se Bistar e Alaalat par thi Hip replacement hua tha magar uske baad se ammi Bistar se uth nahi paayi chal nahi paayi
Pichle 2 Mahina se tabiyat ziyada hi kharab Rahnay lagi thi
Ek mahina pahley Dr ne jawab de diya tha khana pina chut Gaya tha
Nalli laga di gayi thi usi se liquid diya ja raha tha
Dr Mumtaz sahab regular ammi ka case dekh rahe thae aur ghar par hi treatment kar rahe thae 10 din pahley Dr Gaikwad ko bulaya gaya unhonay bhi same baatey kahi aur Dr Mumtaz ne kaha tha kahi le jakar koi faida nahi hai Ghar par illaj karen
Protein ki kami se haat pair suj gaya tha protein powder bhi diya ja raha tha 15-20 din se Ammi ki awaaz band hogayi thi Magar bulane par ankh khol kar kabhi kabhi dekha karti thi.par 2 din se ankh bhi nahi khol Rahi thi bahut ziyada takleef thi bedsore ho gya tha haath pair sooj gaya tha itni takleef thi ki dekhi nahi jati thi 2 din se liquid fees jo pipe se daal rahe thae woh bhi wapas aa ja raha tha Ghar ghar kar ke ulti saans chal rahi thi..aur phir 2jan ko dophar 2.20 ko BP low hogaya aur saans dhiray dhiray kam hoti chali gayi
Akmal ne call kiya abbu jaldi aajao ghar dadi ki tabiyat bahut ziyada kharab ho gayi hai aap direct kar aajao dil Dar gaya aur mai ronay laga ki ammi es duniya se chali gayi Aisa mehsoos hua .... School se ghar aa raha tha Dr Mumtaz ka call aaya aur unhonay kaha ammi nahi rahi
Yeh khabar sunkar dil hil gaya aankhen ashk baar ho gayi.....
Ghar aaya ammi ki peshani chuma maafi manga aur logo ko Itla aur Tadfeen ke kaamo me lag gaya...
Isha baad 9.30 ko Gushul tayyari hui 10 baje ghusul hua 11.30 ko Namaz e janaza Dargah Gaibanshah Qadri ground me Maine Padhai aur phir juloos e janaza Qabristan pahucha Walid e majid Hazrat Baba Abdul Qadir Siddiqui ke bagal me Tadfeen hui
Allah Paak Apnay Habib ke sadqe me ammi ki Bakhsish aur Maghfirat Farmaye Jannat me aala se aala maqam ata farmaye aameen Hum Sab Ghar walo ko Allah Sabr e Jameel ata farmaye aameen
Talib e dua Moinuddin Siddiqui Barkati Ibne Hazrat Baba Abdul Qadir Siddiqui Barkati Mumbai 400078.moinbarkati@gmail.com