Nazim e Ijlaas kaisa hona Chahiye ??
SDI ke All India Convention me Qari Rizwan Khan sb ne ek Sawal kiya tha ki Ek achcha Nazim (Announcer) kaisa hona chahiye??
Bahut Saray Ahbab ne Nazim ki alag alag Quality Batayi
Maine bhi waha chand Baaten Qalam band Kiya tha
Qari sb ne Kai logo se pucha Mera no hi nahi aaya
Lekin kai logo ne likha tha maine bhi chand points likhe aur ab enko save karke Apnay Blog par daal raha hu ki log padhkar Faida utha sake.
Nazim Announcer kaisa hona chahiye ?
1) Nazim Padha likha hona chahiye khaas kar Urdu achchi aani chahiye.
2) Nazim e Ijlaas ko Waqare ka paband hona chahiye.
3) Quick decision lene aana chahiye ki achanak prgm ko tabdeel ho jaye tho situation ko Handle kar sake.
4) Nazim Soft bolnay wala ho
Chillanay wala na ho
5) Nazim ko achchay achchay alag alag shora ke ashaar yaad hona chahiye
6) Sahi ashaar ko sahi jagah padhne ka bhi Fun hona chahiye.
7) Nazim Khud Ziyada Time na len.
8) Nazim jisko Dawat e Sukhan de uske baaray me usko jaankari hona chahiye ki public ko uski zaat ke shayaan e shaan introduce Kara sake.
9) Nazim Ghulu se kaam Na le
Yani ki kuch bhi fekam faak na kare.
10) Prgm ko handle karne aur majme ko rok ke rakhnay ka usme fan hona chahiye.
11) Nazim Kabhi Fazilat bataye
Kabhi Sher padh den kabhi koi chota se zarurat padhne par waqiya suna de... Yani Nazim ko All Rounder hona chahiye.
12) Nazim ko achcha libaas bhi pahanna chahiye.
13) Sakhat kalami se bachna chahiye aur Muhabbat se pesh aana chahiye.
14) Waqat ijjazat de tho Takrir par ya naat par ya prgm par tabsara achcha karne ka usme fun ho aur karna chahiye.
15) Nazim ko ilm o Amal achchay Akhlaq wala hona chahiye.
16) Nazim Baat Baat me Nara na lagaye Mauka Mahal dekhkar Nara lagaye.
Subahan Allah MashaAllah Alhamdulillah bolta rahe.
17) Mukarir ya Naat Khawan ka Time ho jaye tho pair pakadnay, mic kheechany ya payjama kheechne ki bajaye
Payar se Jazakallah Jazakallah bol de ki samnay wala Samjh jaye ki waqat khatam ho gaya hai.
18) Jo jaisa ho usko usi adaab o alqaab se pukare ziyada badha Chadha kar Hawa me na Imarat bandhe .
Yeh Chand baaten Maine likh diya hai hai apnay 20 saal ke Nizamat ke Tajarbey ke baad.
Article By : Moinuddin Siddiqui Barkati
Email: moinbarkati@gmail.com
9821656862