Total Pageviews

Monday, October 2, 2017

Salam Bargaah e Imam e Hussain Aleyhissalam

https://youtu.be/8absrhtDBAY

*SALAAM BA HUZOOR IMAAM AALI MAQAAM ARSH MARAM SAYYEDUH SHUHADA IMAM HUSSAIN(Alaihis Salaam)*

*Tumhare sajde ko kaaba salam kehta hai*
*Jalaal e quba e khazra salaam kehta hai.*

*Chaman ka har gul wa guncha salaam kehta hai*
*Hussain tum ko zamana salaam kehta hai.*

*Charaag wa masjid wa mimbar salaam kehte hain*
*Nabi rasool payamber salaam kehte hain*

*Ali wa Fatima Shabbar salaam kehte hain*
*Khuda gawaah ke Nana salaam kehta hai.*

*Khuda ki raah me sar ko kata diya tumne*
*Nabi ke deen pe ghar ko luta diya tumne*

*Nishaan e kufr ko yaksar mita diya tumne*
*Tumhe khuda bhi tumhara salaam kehta hai.*

*Tumhein falak ke sitaare salaam kehte hain*
*Tumhein Quraan ke paare salaam kehte hain*

*Tumhein Haram ke minaare salaam kehte hain*
*Imaam tum ko Madina Salaam kehta hai.*

*Sana Tumhari wazeefa hai mera Aabai*
*Tumhari madh to shewah hai mera mawlai*

*Bas ek nazar ho jo mujh par to meri ban aayi*
*Tumhara SAYYID shaida Salaam kehta hai.*

*Written by: SAYEDUL ULEMA SAYED SHAH MUSTAFA QADIRI BARKAATI (Alayhir Rahma)*