Total Pageviews

Saturday, June 20, 2015

Urse Khatoone jannat mubarak

🌹Yaume Wisale khatoone Jannat  Mubarak ho 🌹

Allama Nazmi Farmate hai

🌹 Jinke bete imam
      aur Shauhar imam
      Us Shahe deen ki
Dukhtar pe lakho salam 🌹
⭐ Bazme Barkaat Aley Mustufa Mumbai

Monday, June 1, 2015

Fazaile Shaban o Shabe Barat


Fazaail e Shaban o Shabe Barat:

▪Ummul Mominin Hazrat Ayesha siddiqa radiyallahu ta'ala anha se marwi hai ke Rasoolullah sallallahu ta'ala alaihi wasallam Shaban ka (Rozey rakhney me) is qadr ehtimam kartey ke itna kisi (aur mahiney) ka na kartey, phir Ramadhan ka chaand dekh kar roza rakhtey aur agar Abr (cloud) hota to tees din purey kar key roza rakhtey. (Abu Dawood / 318)
▪Hazrat Ayesha siddiqa radiyallahu ta'ala anha se marwi hai ke Huzur sallallahu ta'ala alaihi wasallam ney farmaya, "Shaban mera mahina hai aur Ramadhan Allah ta'ala ka mahina hai". (Jame Sagir /H.4889)
▪Ek aur riwayet me is tarah hai ke "Ramadhan Allah ta'ala ka mahina aur Shaban mera mahina hai, Shaban paak karney wala hai aur Ramadhan gunah mitaney wala hai". (Jame Sagir / H.4903)
▪Paanch mahiney ka chaand dekhna waajibe kifaya hai, Shaban, Ramadhan, Shawwal, Zul Qada, aur Zul Hijja.
▪Mahey Shaban ki yaadgaro me ek yaadgar yeh bhi hai ke khaas 15vi Shaban me Baitul Maqdis ki bajaye Khanae Ka'aba qibla qarar paya. (Tafseer Qartabi)



▪Rasoolullah sallallahu ta'ala alaihi wasallam ne farmaya, "Ramadhan ke baad sab se afzal Shaban ke rozey hain, taazime Ramadhan ke liye." (Tirmizi o Baihiqi)
▪Ummul mominin Ayesha siddiqa radiyallahu ta'ala anha farmati hain, "Huzur sallallahu ta'ala alaihi wasallam siwaye Ramadhan ke kisi mahiney ka pura roza nahi rakhtey they aur oos ke baad Aap ko Shaban se ziyada kisi mahiney me roza rakhtey main ne nahi dekha". (Sahih Bukhari / 264)
▪Hazrat Ayesha siddiqa radiyallahu ta'ala anha ne farmaya ke Huzur sallallahu ta'ala alaihi wasallam purey Shaban roza rakhtey, yahan tak ke oos ko Ramadhan se mila detey they." (Ibne Maja / 199) (purey Shaban se aksar ayyam murad hain)
▪Hazrat Ayesha siddiqa radiyallahu ta'ala anha farmati hain, "Huzur sallallahu ta'ala alaihi wasallam ko Shaban ke rozey tamam mahino se ziyada mehboob they phir Huzur oosey Ramadhan se mila detey". (Abu Dawood / 330)


▪Rasoolullah sallallahu ta'ala alaihi wasallam farmate hain, "Shaban ki 15vi shab me Allah azza wajalla apni makhlooq ki taraf khaas tajalli farmata hai aur sab ko bakhsh deta hai magar kaafir aur adaawat wale ko (nahi bakhshta).
(At'Targheeb wat-Tarheeb)
▪Hazrat Ayesha siddiqa radiyallahu ta'ala anha se riwayet hai ke Huzur sallallahu ta'ala alaihi wasallam ne farmaya, "mere paas Jibril alaihissalam aaye aur kaha yeh Shaban ki 15vi raat hai is raat Allah Ta'ala Jahannam se ootno ko aazad farmata hai jitney Bani Kalb ki bakriyo ke Baal hain magar Kaafir, Adaawat wale, Rishta katney wale, Kapda latkaney wale, Waalidain ke naafarman aur Sharaab ke aadi ki taraf nazre rehmat nahi farmata".
(Baihiqi)
▪Hazrat Ali radiyallahu anhu se riwayet hai ke Huzur sallallahu alaihi wasallam ne farmaya, " jab Shaban ki 15vi raat aajaye to oos raat ko Qiyaam karo aur oos (15vi) ke din me roza rakho ke Rabb tabarak o ta'ala ghurube Aaftab se aasmane duniya par khaas tajalli farmata hai aur farmata hai ke,
Hai koi bakhshish chahney wala ke oosey bakhsh du, hai koi rozi talab karney wala ke oosey rozi du, hai koi aisa hai koi aisa, aur yeh oos waqt tak farmata hai ke fajr tulu ho jaaye". (Ibne Maja / 100)
▪Huzur sallallahu alaihi wasallam ne farmaya, "Allah ta'ala chaar raato me khair o barkat ke darwaze khol deta hai, Eidul Ad'ha aur Eudul Fitr ki do raatein, 15vi Shaban ki raat jis me maut ke parwane aur Rizq likhey jaatey hain aur Arfa ki raat." (Tafseer Durre Mansoor)